Gulaab ki sil’on mein kab se khila hua tha. .
Wahi’n thi deewar jis mein baandi chuni hui thi. . !
=======================
Gharri bhar k liye theheray thy tum jis pairr k neechay
Suna hai aaj tak us pairr ka saaya mehekta hai. . !
=======================
Go mery mahol ki kamzori’on ka zikr tha. .
Be-khataa ho kar bhi mein taa dair sharminda raha. . !
=======================
Ghar se daaman jhaar k nikley wehshat ka saamaa’n na pooch
Yani gard-e-raah se hum ne rukhsat safar ka kaam kiya. . !
=======================
Ghar se bahir to nikal aya safar k shauq mein
Jab gali mein pao’n rakha, samnay rasta na tha.
=======================
Gardaab mein, chonk parra un ki sadaa per
Ehsaan ye mujh per mery ehbaab na kartay. . !
=======================
Ghutan ko torr kar taza hawao’n ki taraf jana
Aazeezo tum bhi mery sath gao’n ki taraf jana. .
=======================