Gul kia, samar bhi bant rahy they basad-e-khuloos
Apna naseeb samjhay huay sang-e-wehshat log. . !
=======================
Gum-gushta safar ko jab apni khabar mili
Rasta dikhanay wala sitara nahi raha. . !
=======================
Gumaa’n na kar k mujhy jurat-e-sawaal nahi
Faqat ye dar hai tujhy la-jawab kar doonga. . !
=======================
Guzray gi ab na ghum ka madawa kiye baghair
Banti nahi ajal se taqaza kiye baghair. . !
=======================
Ghar mein tha kia? k tera ghum usey ghaarat karta
Wo jo hum rakhtey they ik hasrat-e-tameer, so hai. . !
=======================
Gulshan ko aag lag rahi thi rang-e-gul se ‘Meer’
Bulbul pukari, dekh k sahab paray paray. . !
=======================
Gar zindagi mein mil gaye tum ittefaq se
Poochaingy apna haal teri be-basi se hum. . !
=======================