Kaash un k amal bhi hon achay. .
Jin ki baatain boht hi piyari hain. .
=======================
Kehtay hain jeetay hain umeed pe log.
Hum ko jeenay ki bhi umeed nahi. . !
=======================
Kitna phailay ga ye ik wasl ka lamha aakhir?
Kia sameto gay k ek umer ki tanhai hai. .
=======================
Kon tha, us ko kahan rang-o-qalam kho baithy. .
Wo musawir k jo khood shami-e-tasweer bhi tha. .
=======================
Go bazahir mery afsanay pe woh hansty rahy
Aankh mein aansu magar be-ikhtiyar hi aa gya. .
=======================
Gumaan na kar k mujhy jurat-e-sawal nahi. .
Faqat ye darr hai tujhy lajawaab kardunga . !
=======================
Guzar gaye isi gardish mein apny lail-o-nihar
Shab-e-mazaq gae roz-e-intezar aya. . !
=======================