Quantcast
Channel: Shayari
Viewing all 1232 articles
Browse latest View live

Zindagi Shayari – Zindagi qaid e musalsal ka siwa kuch bhi nahi

$
0
0

Zindagi qaid e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Kiya tha‚ jurm- e -wafa‚ is‚ k siwa kuch bhi nahi

Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han
Dawa teri muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
…‚
Khnchti‚ ha‚ appni‚ taraf‚ gulshan‚ ki‚ rang- o- bu
Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi

Bhool‚ jana‚ aik‚ naymat‚ ha‚ kuda‚ ki‚ ‚ islia
Bhoolna tera‚ haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi

Thora‚ ha‚ farq‚ baqi‚ insan aur‚ hewan‚ ma
Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi

======================

Taash ke patton ki manind hai zindagi apni
Jis ne bhi khela taqseem kar dia

======================

Wo Jo Badla Tu Roobroo Hum Bhi Badal Gy
Wafa Ki The Us Se Bandgi Tu Nahi

Zindgi Tu Faqt U He Kut Jay Ge,
Hasrt-E-Zindgi Tha Wo
Shart-E-Zindgi Tu Nahi..

======================

Ae Zindagi Khatm Kar ab Ye Yadoon K Silsilay . .
Mein Thak Sa Gaya Hoon Dil Ko Tasaliyaan Detay Detay. ..!

======================

?”Kabhi lay mujh say meray “shab-o-roz” ka hisab”
“Phir dhoond apne siwa, kuch or meri zindagi me”

======================

Zindagi Ek Dukaan Khilono’n kee…….
Waqt Bigraa Huwa Sa Bacha hai……!!!

======================

Tum nay daikhi hai wo jabeen wo rukhsaar wo hont?
Zindagi jin ke tasawwur mein luta di ham nay.

======================

 

Ase bhi kai rang dikhati hai zindagi,
Phir uski mujhko yaad dilati hai zindagi,

Sham o shahar sukoon ki chahat liye huae,
Thak haar ke mere hi paas aati hai zindagi,

Badla meri wafaon ka mujhko nahi mila,
Kyun baar baar ye sawal uthati hai zindagi,

Kyun mere haq mai koi bhi karta nahi dua,
Ro roke mot ko gale lagati hai zindagi,

Ae shamsh apna haal e dil khahena fuzool hai,
Kab umar bhar ka saath nibhati hai zindagi.


Two-Line Shayari – Go dil-shikan hain unki taghaful shoari’an

$
0
0

Go dil-shikan hain unki taghaful shoari’an
Is per mujh ko un se muhabbat hai kia karun. .

=======================

Ghani zulfo’n k saye mein chamakta chand sa chehra. .
Tujhy dekhoo’n to kuch ratain sohani yaad aati hain. !

=======================

Gulshan k dil mein aaj bhi mehfooz hain wo phool
Murjha gaye jo daagh-e-bahar’an liye huay. . !

=======================

Guzar hi jaye gi tery baghair bhi lekin
Boht udaas, bari be-qarar guzrey gi. . !

=======================

Ghar to basa liya hai hum ne mil kar apna
Sheeshay k ghar mein kaisy rah paingy batao?

=======================

Guzar gaya jo kai baar be-niazana. .
Wo shakhs bhi hai meri umer-e-be’talab ki tarha. . !

=======================

Gar bahar tamasha wo lab-o-baam per aaway
To sari khudai ka tamasha nazar aaway. . !

=======================

Two-Line Shayari –‘faiz’ zinda rhain wo hain to sahi

$
0
0

‘faiz’ zinda rhain wo hain to sahi..
Kia hoa agar wafa shanas nahi!!

=======================

Faida kia hai agar ab wo milay bhi to ‘muneer’..!
Umar to beet gae rah par latay is ko..

=======================

Faraib-e-dosti to kha gaya hun main..!
Magar kuch tery nazdek agya hun main..

=======================

Qabar mein rakh k aziz-o-aqaarab ye kah gaye. .
Hum yahin tak sath aaye aagy teri taqdeer hai. . !

=======================

Qasar-e-jahan per to ghiray rehty hain baadal maut k. .
Qabar pe abad hayaat-e-jawidaa’n aaya to kia?

=======================

Qissa-e-shauq mein hain wo youn nigah’ain barham
Jaisy hum aaty hain kuch shikwa-e-heeja le kar. . !

=======================

Qadmo’n ko tery choomna aasaan hai lekin
Mein soch raha hoon tu khuda hai k bashar hai. .!

=======================

Two-Line Shayari – Girafta dil hain boht aaj tery deewanay

$
0
0

Girafta dil hain boht aaj tery deewanay
Khuda karay koi tery siwa na pehchanay. .

=======================

Gino sab hasratain jo khoo’n hui hain tan k maqtal mein
Mery qaatil hisaab-e-khoon aisay nahi hota. . !

=======================

Guzar Raha hai jo lamha usey aer kar lain. .
Mein apny khoon se likhta hoon tum gawahi do. .

=======================

Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai
Toot toot jata hai silsila takallum ka. . !

=======================

Girta hai apny aap pe deewar ki tarha
Ander se jab chatakhta hai pathar ka aadmi. . !

=======================

Girafta dil andleeb, ghayal gulaab dekhay
Muhabbato’n ne sabhi ruto’n mein azab dekhay. . !

=======================

Gar lams nahi to lafz bhe bhej!
Mein tujh se juda rahoo’n kab tak?

=======================

Two-Line Shayari – Guzar gaye isi gardish mein apny lail-o-nihaar

$
0
0

Guzar gaye isi gardish mein apny lail-o-nihaar
Shab-e-firaaq gai roz-e-intezar aaya. . !

=======================

Go zara si baat per baarso’n k yaranay gaye
Lekin itna to hua k kuch log pehchanaya gaye. . !

=======================

Go k waada kiya tum ne aur khaai qasam lekin
Taskeen dil apna kuch ae yaar nahi paata. . !

=======================

Ghar ka darwaza khula rakha hai
Wakt mil jaye to zehmat karna. . !

=======================

Gum sum kharra tha aik shajar dasht-e-khauf mein
Shayad wo manzer kisi andhi hawa ka tha . . !

=======================

Gul-o-paimana, sarahi-o-shama shab-e-taar hai
Lagta hai teri nigaho’n mein ik intezar hai. .

=======================

Giraft-e-aqal mein hai raaz-e-kainat, magar
Koi samajh na saka qadar’daan hai tu kis ka. . !

=======================

Two-Line Shayari – Kaash un k amal bhi hon achay

$
0
0

Kaash un k amal bhi hon achay. .
Jin ki baatain boht hi piyari hain. .

=======================

Kehtay hain jeetay hain umeed pe log.
Hum ko jeenay ki bhi umeed nahi. . !

=======================

Kitna phailay ga ye ik wasl ka lamha aakhir?
Kia sameto gay k ek umer ki tanhai hai. .

=======================

Kon tha, us ko kahan rang-o-qalam kho baithy. .
Wo musawir k jo khood shami-e-tasweer bhi tha. .

=======================

Go bazahir mery afsanay pe woh hansty rahy
Aankh mein aansu magar be-ikhtiyar hi aa gya. .

=======================

Gumaan na kar k mujhy jurat-e-sawal nahi. .
Faqat ye darr hai tujhy lajawaab kardunga . !

=======================

Guzar gaye isi gardish mein apny lail-o-nihar
Shab-e-mazaq gae roz-e-intezar aya. . !

=======================

Two-Line Shayari – Gulaab ki sil’on mein kab se khila hua tha

$
0
0

Gulaab ki sil’on mein kab se khila hua tha. .
Wahi’n thi deewar jis mein baandi chuni hui thi. . !

=======================

Gharri bhar k liye theheray thy tum jis pairr k neechay
Suna hai aaj tak us pairr ka saaya mehekta hai. . !

=======================

Go mery mahol ki kamzori’on ka zikr tha. .
Be-khataa ho kar bhi mein taa dair sharminda raha. . !

=======================

Ghar se daaman jhaar k nikley wehshat ka saamaa’n na pooch
Yani gard-e-raah se hum ne rukhsat safar ka kaam kiya. . !

=======================

Ghar se bahir to nikal aya safar k shauq mein
Jab gali mein pao’n rakha, samnay rasta na tha.

=======================

Gardaab mein, chonk parra un ki sadaa per
Ehsaan ye mujh per mery ehbaab na kartay. . !

=======================

Ghutan ko torr kar taza hawao’n ki taraf jana
Aazeezo tum bhi mery sath gao’n ki taraf jana. .

=======================

Two-Line Shayari – Gul kia, samar bhi bant rahy they basad-e-khuloos

$
0
0

Gul kia, samar bhi bant rahy they basad-e-khuloos
Apna naseeb samjhay huay sang-e-wehshat log. . !

=======================

Gum-gushta safar ko jab apni khabar mili
Rasta dikhanay wala sitara nahi raha. . !

=======================

Gumaa’n na kar k mujhy jurat-e-sawaal nahi
Faqat ye dar hai tujhy la-jawab kar doonga. . !

=======================

Guzray gi ab na ghum ka madawa kiye baghair
Banti nahi ajal se taqaza kiye baghair. . !

=======================

Ghar mein tha kia? k tera ghum usey ghaarat karta
Wo jo hum rakhtey they ik hasrat-e-tameer, so hai. . !

=======================

Gulshan ko aag lag rahi thi rang-e-gul se ‘Meer’
Bulbul pukari, dekh k sahab paray paray. . !

=======================

Gar zindagi mein mil gaye tum ittefaq se
Poochaingy apna haal teri be-basi se hum. . !

=======================


Two-Line Shayari – Gunah gin k mein kyun apny dil ko chota karo’n

$
0
0

Gunah gin k mein kyun apny dil ko chota karo’n
Suna hai tery karam ka koi hisaab nahi. . !

=======================

Giray shabnam k qatray aur bharhi phool’on ki rangeeni
Jahan mein raae’gaan koi bhi qurbani nahi jati. . !

=======================

Go qatray mein dariya’on ka toofan samaye
Per shauq ki rudaad kab alfaz pe aaye. . !

=======================

Lo wo bhi kah rahy hain ye be nang-o-naam hai
Ye janta agar to lutata na ghar ko mein. . !

=======================

Lamha-e-Rukhsat K Goongay Sannatay Ki. .
Two Lines how to desable java script and open webPoetry
Lamha-e-rukhsat k goongay sannatay ki . .
Aik gawah tou is ki chashm-e-tar bhi hai. .

=======================

Laghzish zara si aur saza sari umer ki. .
‘Shehzad’ dosti na hui khoon baha hua. . !

=======================

Lo ho chuki shifa k madwaye dard-e-dil
Ab teri dastaras se bhi bahir lagay mujhy. .

=======================

Two-Line Shayari – Gard nafrat ki na gali’on mein urrai jaye

$
0
0

Gard nafrat ki na gali’on mein urrai jaye
Aag ghar ghar siyasat ki na lagai jaye. . !

=======================

Gulshan parast hoon mujhy gul hi nahi aziz
Kaanto’n se bhi nibah kiye ja raha hoon mein.

=======================

Ghoongat k peechay dekh k tera haseen rukh
Seekha hai mahtaab ne chupna sahaab mein. .

=======================

Gali gali meri waraftagi k charchay hain
Kahan Kahan Mery ehsaas ko chupaogay. .

=======================

Gohr-e-wafa ki muhabbat k roz-o-shab ka khayal
Ye meri aankh bhi kia kia uchalti jaye. .

=======================

Guzarney walay youn sarsari na guzar dil se
Muskan shikasta sahi per makeen rakhta tha. !

=======================

Gae ruto’n k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?

=======================

Two-Line Shayari – Log janay kin raat’on muraad‘ain manga karty hain

$
0
0

Log janay kin raat’on muraad‘ain manga karty hain
Apni raat to wo jo tery sath guzar gai jana’n. . !

=======================

Lejiye ab suniye afsana-e-furqat mujh se. .
Aap ne yaad dilaya to mujhy yaad aya. . !

=======================

Log kyun karty hain ab chaara gari k tazkaray. .
Ab bujz harf-e-tasalli kia hai ghum khuwara’n k pas?

=======================

Liye phira jo mujhy darbadar zamanay mein. .
Khayal tujh ko dil-e-beqaraar! Kis ka hai?

=======================

Lo mein aabkhain band kiye leti hun, ab tum rukhsat ho
Dil to janay kia kehta hai lekin dil ka kehna kia. . !

=======================

Laazim nahi k usko bhi mera khayal ho. .
Jo mera haal hai wohi uska bhi haal ho. .

=======================

Laash parwane ke aage sy hata de koi
Shama masoom hai badnaam hui jati hai!

=======================

Two-Line Shayari – Laakh koshish ki magar phir bhi nikal kar hi rahay

$
0
0

Laakh koshish ki magar phir bhi nikal kar hi rahay
Ghar se yusuf, Khald se aadam, Teri mehfil se hum . .

=======================

Lo hum mareez-e-ishq k teemar daar hain
Acha agar na ho tou, maseeha ka kia elaaj. .

=======================

Log karty hain muhabbat mein tammana-e-wisaal. .
Khuwab ka husn ganwa detay hain tabeer k sath. . !

=======================

Meray daaman mein shararo’n k siwa kuch bhi nahi’n
Aap phoolo’n k kharidaar nazar aaty hain. .

=======================

Meine chaha tha andoh-e-wafa se chootu’n
Wo sitam‘gar mery marnay pe bhi razi na hua. . !

=======================

Mein phool chunti rahi aur mujhy khabar na hui. .
Wo shakhs aa k mery sheher se chala bhi gaya. .

=======================

Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai. .

=======================

Two-Line Shayari – Mushkil boht tha ishq ki baazi ka jeetna

$
0
0

Mushkil boht tha ishq ki baazi ka jeetna. .
Hum jeetnay k shauq mein haaray chalay gaye. .

=======================

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. .
Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray. .

=======================

Meri zindagi pe na muskura, Mujhy zindagi ka alam nahi’n. .
Jisay tery ghum se ho waasta, Wo khizaa’n bahaar se kam nahi’n. . !

=======================

Meray hissay ki be-taabi mujhay mil hi jaye gi. .
Wo nahi’n aata, na aaye mera kia le jaye ga. . !

=======================

Mujh se kafir ko tery ishq ne youn sharmaya. .
Dil jo tujhy dekh k dharka tou khuda yaad aya. .

=======================

Munhasir ehl-e-sitam per hi nahi’n hai ‘Mohsin’
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. .

=======================

Mata-e-dil hi bachi thi bus ik zamanay mein
So hum usey bhi teri anjuman mein haar aaye. .

=======================

Two-Line Shayari – Mein sheher bhar mein aik hi eeza-pasand hoon

$
0
0

Mein sheher bhar mein aik hi eeza-pasand hoon
Gar chahiye dua tou mera dil dukhaiye. . !

=======================

Meray fann ka daaira phailay ga meray baad bhi
Phool murjhaye to khushbu ka safar rukta nahi’n. .

=======================

Majrooh jin se dil hi nahi’n, Rooh tak hui. .
Wo teer ittefaq se ik aashna ka tha. . !

=======================

Mae se gharz nishaat hai kis rosiyah ko. .
Ik gona-e-be-khudi, Mujhy din raat chahiye. .

=======================

Muflisi hiss-e-latafat ko mita deti hai. .
Bhook aadab k saanchay mein nahi’n dhal sakti. . !

=======================

Mein akela hi chala tha janib-e-manzil,
Log sath aaty gaye aur kaarwa’n banta gaya. . !

=======================

Na ganwao nawik-e-neem-kash, Dil-e-reza reza ganwa diya
Jo bachay hain sung samait lo, Tan-e-dagh dagh luta diya.

=======================

Two-Line Shayari –‘Nadeem’ tark-e-muhabbat ko aik umer hui

$
0
0

‘Nadeem’ tark-e-muhabbat ko aik umer hui
Mein ab bhi soch raha hun k bhool jaun usey. . !

=======================

Na gul khilay hain, na un se milay, na mae pi
Ajab rung mein ab k bahaar guzri hai. . !

=======================

Najanay dushmano’on ki konsi baat yaad aa gai. .
Labo’n tak aatay aatay bad-dua hi aur ho gai. .

=======================

Nibhai waza-e-bismil inteha tak. .
Na manga qaatil’on se khoo’n baha tak. . !

=======================

Naam le k mera tum us ko pukaro tou sahi. .
Is bharay sheher mein jis shakhs ko tanha dekho. . !

=======================

‘Nasir’ boht si khuwahishain hain dil-e-be-qaraar mein
Lekin kahan se laun wo be-fikr zindagi. . !

=======================

‘Nadeem’ jo bhi mulaqaat thi, adhuri thi. .
K aik chehray k peechay hazaar chehray thy. .!

=======================


Two-Line Shayari – Na itni taiz chalay, sir phiri hawa se kaho

$
0
0

Na itni taiz chalay, sir phiri hawa se kaho. .
Shajar pe aik hi patta dikhai deta hai. . !

=======================

Nazar utha dil-e-nadaan, ye justuju kia hai?
Usi ka jalwa tu hai, aur robaroo kia hai?

=======================

Wakt wo mujh per kathan guzry hain sari umer mein
Ik teray aaney se pehlay, ik teray janay k baad. . !

=======================

Wo baat saray fasaanay mein jiska zikr na tha,
Wo baat un ko boht nagawaar guzri hai. . !

=======================

Wo dil nawaz hai lekin nazar shanaas nahi’n
Mera ilaaj mery charagar kay paas nahi’n. . !

=======================

Wo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki manid
Mein zakhm zakhm hoon phir bhi galay lagaun usey..!

=======================

Wohi kaarwa’n, wohi rastay, wohi zindagi, wohi marhalay
Magar apny apny maqaam per kabhi tum nahi, kabhi hum nahi. . !

=======================

Two-Line Shayari – Wo kon hain jinhai’n tauba ki mil gai fursat

$
0
0

Wo kon hain jinhai’n tauba ki mil gai fursat
Humain gunah bhi karny ko zindagi kam hai. . !

=======================

Hamari taraf ab wo kam dekhtay hain. .
Wo nazrain nahi, jinko hum dekhtay hain. . !

=======================

Tumhain bhi dekh k hum zindagi k sehra mein. .
Khilay huay hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarha. . !

=======================

Hum rooh-e-safar hain, humain naamo’n se na pehchaan
Kal aur kisi naam se aa jaingy hum log. . !

=======================

Honay lagy hain ghar mein bhi sauday khuloos k. .
Jo cheiz karobaar hai bazaar tak rahy. . !

=======================

Hai dil k liye mout, masheeno’n ki hakumat!
Ehsaas-e-murawwat ko kuchal daity hain aalaat!

=======================

Zeenay pe rakh gaya koi tehni gulaab ki. .
Aisay diya kisi ne sandesa bahaar ka. . !

=======================

Two-Line Shayari – Saray parind so gaye, khuwab nagar mein kho gaye

$
0
0

Saray parind so gaye, khuwab nagar mein kho gaye, ,
Ows mein bheegta raha, raat ko baagh mein koi. . !

=======================

Hum ehl-e-qafas tanha bhi nahi, har roz naseem-e-subha-e-watan
Yaado’n se mo’atar aati hai, ashko’n se munawwar jaati hai. . !

=======================

Hum sehel-talab kon se farhaad they lekin. .
Ab sheher mein tere, koi hum sa kahan?

=======================

Hum ne khud se bhi chupaya aur saray sheher ko. .
Teray janay ki khabar deewar-o-dar karty rahy. . !

=======================

Hum tou samjhy thy k ik zakhm hai bhar jaye ga
Kia khabar thi k rag-e-jaa’n mein uter jaye ga. . !

=======================

Hum se pehly bhi ye martaba-e-daar na tha
Ishq ruswa tha magr yun sar-e-bazaar na tha!

=======================

Hamary paao’n mein tum ne zanjeer-e-wafa daali, ,
Tumhary haath se kyun rishta-e-mehr-o-karam choota. . !

=======================

Two-Line Shayari – Hum cheen laingy tum se ye shaan-e-be-niazi

$
0
0

Hum cheen laingy tum se ye shaan-e-be-niazi, ,
Tum maangty phiro gay, apna ghuroor hum se. . !

=======================

Ho umr-e-khizar bhi to kahaingy ba-wakt-e-marg
Hum kia kar rahy yahan, abhi aaye abhi chalay. . !

=======================

Haan! nahi teri rafaqat ki zarurat mujh ko
Meri monas, meri humdum, meri tanhai hai. !

=======================

Hum ‘Sana’ manzilain paa hi laity agar
Humsafar raah-guzar se jo darta nahi. . !

=======================

Honay ko un se sainkarro’n batain hui’n magar
Jis baat ka gila tha, wohi baat rah gaee. !

=======================

Hum ne bana liya hai naya phir se aashiya’n . .
Jao ye baat phir kisi toofan se se kaho. . !

=======================

Hum na hoty to kisi aur k charchay hoty, ,
Khalqat-e-duniya tou kehny ko fasanay mangay. . !

=======================

Two-Line Shayari – Hum jis pe marr rahy hain, wo hai baat hi kuch aur

$
0
0

Hum jis pe marr rahy hain, wo hai baat hi kuch aur
Aalam mein tujh se laakh sahi, tu magar kahan?

=======================

Hum ne ishq gunah se bartar jana tha. .
Aur dil per ye pehla pathar afsos ka hai. !

=======================

Ham kaj-adaa charagh. . k jab bhi hawa chali
Taaqo’n ko chorr kar sar-e-deewar aa gaye. . !

=======================

Haaye! ab bhool gaya rang-e-hina bhi tera. .
Khat bhi kabhi khoon se tehreer hua karty thy. . !

=======================

Hum hi mein na thi koi baat jo yaad na tum ko aa sakay
Tum ne humain bhula diya, hum na tumhain bhula sakay. . !

=======================
Har lafz tery jism ki khushbu mein dhula hai
Ye tarz, ye andaz-e-sukhan hum se chala hai. . !

=======================

Humain bhi yaad rakhna jab likho tareekh gulshan ki. .
K hum ne bhi lutaya hai chaman mein aashiya’n apna. . !

=======================

Viewing all 1232 articles
Browse latest View live