Kyun maqbar’on pe charhata hai zar ki chadar’ain?
De zindagi k nangay badan ko ghilaaf tu. . !
======================
Kaee sir-mast hoty hain, piayalay pee k saaqi se. .
Magar kaafi mujhay yaaro! Nigah-e-chasm-e-mastana. . !
======================
Kon janay ye tera shayar ashifta mizaaj. .
Kitney maghroor khuda’on ka raqeeb aaj bhi hai. .
======================
Kar de ‘Qateel’ kund jo zehn-o-zameer ko. .
Behter hai jhonpra mera us takht-o-taaj se . .
======================
Khud ko taqseem karoon, kuch bhi na haasil aaye. .
Khuli fiza se tumhain bhi boht lagao hai. . !
======================
Khud ko taqseem karoon to kuch bhi na haasil aaye. .
Khuli fiza se tumhe bhi boht lagao hai. . !
======================
Kia mila zalium tujhy? Kyun dil k tukrey kar diye?
Rung-e-mehfil dekh kar mehfil k tukrey kar diye. . !
======================
Kaj kalaah-e-ishq tha wo shaan se zinda raha. .
Pathar’on mein tann k sheesh’on ka faida raha. .
======================
Sad Shayari – Kyun maqbar’on pe charhata hai zar ki chadar’ain
Sad Shayari – Kehtay hain jeetay hain umeed pe log
Kehtay hain jeetay hain umeed pe log.
Hum ko jeenay ki bhi umeed nahi. . !
======================
Kitna phailay ga ye ik wasl ka lamha aakhir?
Kia sameto gay k ek umer ki tanhai hai. .
======================
Kon tha, us ko kahan rang-o-qalam kho baithy. .
Wo musawir k jo khood shami-e-tasweer bhi tha. .
======================
Go bazahir mery afsanay pe woh hansty rahy
Aankh mein aansu magar be-ikhtiyar hi aa gya. .
======================
Gumaan na kar k mujhy jurat-e-sawal nahi. .
Faqat ye darr hai tujhy lajawaab kardunga . !
======================
Kisi ko sheher mein ab hum se laag hai na lagao
Koi to tum se bhi nazar’ain churanay wala ho. . !
======================
Ye jo guldaan parra hai
Mein tery dil mein
Iski manid hoon
Jab chaha
Koorray mein phenk diya
Kia sab ko muhabbat mein
Yehi kuch milta hai?
======================
Two-Line Shayari – Qismat mein hamari wohi teerah shimi hai
Qismat mein hamari wohi teerah shimi hai!
Haalat k jo pehly thi hamari wo abhi hai. . !
=======================
Qareeb tha tou koi waswasa na tha dil mein. .!
Gaya to zehn mein laakho’n sawaal chorr gya. .
=======================
Ki wafa hum ney to ghair is ko jafa kehty hain . .
Hoti aai hai key achon ko bura kehty hain. .
=======================
Kon seh sakta hai hayat-e-jawedan ki talkhiyan
Zindagi par mout ka kitna bara ehsan hai. .
=======================
Kanto’n se dil lagao key taa-umar saath dain. .
Phoolon ka kia jo sans ki garmi na seh sakain .
=======================
Kis darja dil shikan thay muhabbat kay hadsay..
Hum zindagi main phir koi arman na kar sakay!
=======================
Kuch aur mangna mery mushrab main kufr hai…
Laa apna hath de mery dast-e-sawal main!
=======================
Two-Line Shayari – Faslay dil ky hotay hain judai ky nahi.
Faslay dil ky hotay hain judai ky nahi..
Chahny walay tasawor main mila karty hain.!
=======================
Falak py chand sitaron ka jashan ho jis rat..!
Tmhari yad ka roshan alao hota hai..
=======================
Fikr ye thi ky shab-e-hijr katay gi kiun kr..?
Lutf ye hai ky hmain yad na aya koi..
=======================
Fiza main pheli chali meri baat ki khushbu..!
Abhi to main ney hwa’on sy kuch kaha bhi nahi..
=======================
Fikr ye thi ky shab-e-hijr katay gi kiun kr..?
Lutf ye hai ky hmain yad na aya koi..
=======================
Fiza main pheli chali meri baat ki khushbu..!
Abhi to main ney hwa’on sy kuch kaha bhi nahi..
=======================
Faslay aisy bhi hon gy kabhi socha na tha..
Samnay baitha tha meray aur wo mera na tha..
=======================
Ishq Shayari –
Bardi ajeeb hy ye dasta-n ashaq hamey
sawera hony sy pehly ho jesy sham-o-shuru
======================
Ana parast hy itna ke baat sy pehly
wo uth ke band meri har kitab kar dy ga
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Ishq ishq karta hai, jab hoga to pata chal jayee ga
Mit jayee ga tu, jab rog ye tujhe lag jayee ga.
Bazm-e-wafa mai hamari garibi na pooch,,
Ek dard-e-dil hai wo bhi kisi ka diya hua..
kadam thak gaye hai dur nikalna chhod diya hai,,
par aisa nahi hai ke maine chalna chhod diya hai..
fasle aksar mohabbat badha dete hai,,
par aisa nahi hai ki maine kareeb aana chhod diya hai..
maine chirago se roshan ki hai aksar apni shaam,,
par aisa nahi ki maine dil ko jalana chhod diya hai..
aaj bhi akele hai duniya ki bheed mai,,
par aisa nahi ki maine zamana chhod diya hai..
bhulana mushkil hai jante hai unko,,
par kisi ko yado mai lana chhod diya hai.!!
Soch Shayari – Rya K Nam Par Sathi thy By-Shumar
Rya K Nam Par Sathi thy By-Shumar,,
jin me tha Kuch khlo0s, Wo Dushman B Chand Thy………!
========================
Amal ki sookhti rag mein zara sa khoon shamil kar,
Mere humdum faqt bateen bana kar kch nahi milta!
========================
Mein sar-ba-sajda jo kabhi hua, toh zameen se aane lagi sada
Tera dil toh hai sanam aashna, tujhe kya milega namaaz mein?
========================
Kitnay Mukhtasir Se Waqt K Liye Aye Thay Hm Jahan Me
K Aatay Huy Azan Hui Aur Jaatay Huy Namaz. . . . . . .!!
========================
W0 Humein BH00L GYA T0 K0I BAT Soch Shayari – ..!
Aj W0 WaQt Hai K L0g0 K0 KHUDA Bhi YaaD Nahi..!
========================
Apnay kirdaar ko mousam SAY bachaey rakhhna
Lout kar phool maiN wapas nahi aati khushboo.
========================
Bina “Libaas” aaye they Hum sab is Jahan mein
itna Safar kia Bus ik “Kafan” ki khatir…
========================
Tu Ne Tu Irade Hi Mere Tor Diye Hain
Guzre Ga Safar Kaise,Khara Soch Raha Hoon
========================
Soch Shayari – Sabat kis tarah ho ga tujhe safina e jaaan
Sabat kis tarah ho ga tujhe safina e jaaan,
Howa ki zaaad pe agar tere badban rahe.
========================
Thehroo zara ke marag e tamana se peshtar,
Apni rafaqaton ko palat kar bhi daikh lain.
========================
To mere samne betha hai aur me sochata hon,
Ke ate lamhon me jena bhi ik saza ho ga.
========================
Panhan hai kehkahon me sada e shikiste dil,
Dunia usi ka naam hai parwardigar kia.
========================
Phir sochate hain dida e tamanak ke lie,
Hum dil ko khoon karen ke jagar ko lahoo karen.
========================
Baat be baat rothane wale,
Waqat be waqat tuj ko socha hai.
========================
Bohat is ko bulata hoon, bohat samjhata hoon lekin
Yeh ayiney mein betha shakhs bahar kyon nahin ata…
========================
Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe,
Main dil k sulagne ka sabab soch raha hun,
Duniya ki to aadat hai badal leti hai aankhein,
Main uske badalne ka sabab soch raha hun
Soch Shayari – kitaab merii, qalam mera, sooch bhi merii
kitaab merii, qalam mera, sooch bhi merii………
magar jo likhay hain main nay woh baab uss kay hain……..!
========================
maine yeh soch kar nhi boye khwaabon k darakht..
Kaun sehra me lage shajar ko pani dega ???
========================
barish hui to ghar k dareechae se lag k hum
chup chaap sogawar tujhe sochte rahe………
========================
nazar se door reh kar bhi kisi ki soch main rehna…
kisi ke pass rehne ka tarika ho to aisa ho………..
========================
Jo zann paasdari na kar saki apne baap ke naam ki
Woh kya zamanat de gi tere maal o jaan ki…
Thande dimagh se soch, baat hai yeh itminaan ki
Mat kar woh kaam jo baayes-e-ruswayi hai tere khandan ki
========================
Quaid_e_Azam ka latest beyan
.
.
Na cheeno mere mulk k nojawanon se FACEBOOK ki service
“FaraZ”
.
Aik yehi to book hai jo wo dil laga kar parhtay hain:D
========================
Mein uska hoon, yeh tou main jaan geya hon lekin
Woh kis ka hai, yeh sawaal mujhe sonay nahin deta..
========================
Sad Shayari – Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Chahatoon kay azaab kia likhoon
Apni auqaat se to waqif hoon
Khud ko mein maahtaab kia likhoon
Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon
Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon
Sadmey pehley bhi seh liye hein magar
Ab jo toota ataab kia likhoon
Tashnagi to na bujh saki
Kitney aaye saraab kia likhoon…!!!
========================
Abhi Tak Saada Rakha Hai Yeh Kaaghaz Apni Chaahat ka
Munaasib Jab bhi Samjhein Gey koi Paighaam likh dein gey
Koi Paighaam kya Likhna hai Ik chotey se Kaaghaz par
Jisey Ham Chahtey hain Bus Ussi ka Naam Likh dein gey
========================
Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota…!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota…!!! :'(
========================
TumhaiN BhoooLna He Awal To Dastras Mai Nahi,
Jo ikhtiyaaR Bhi Hota To Kya Bhula Detay?
========================
Ye waqt bhi sayad mere mehboob ka kasid hai,
Chain se ik pal bhi kahin rehne nahin deta….
========================
Wohi Ranjishen, Wohi Haasraten, Na Hi Dard e Dil Main Kami Hui
Ajab si Hai Mri Zndagi Na Guzr Saki Na Khatam Hui
========================
TuMSe DiL Jo LaGaYa Do JaHaaN MeNe PaYa ..
KaBhi SoCha Na THa Ye MiLo Dur HoGa SaYa …
KyU KhuDa TUNe MuJhe Esa KhaWab DikHaYa ..
JaB HaQiQuT Me Use ToDNa Tha …
Ek doOje Se Hue JuDa , Jb eK DoOje Ke LiYe BaNe ..
========================
Ghreeb Maa apnay Bachon ko Baray Pyar se yun Manati hay
Phir bana lain ge Naye Kapray, ye Eid to her Saal aati hey
========================
Tum Bohat Jazib-o-Jameel Sahi
Zindagi Jazib-o-Jameel Nahi
Na Karo Behas Haar Jao Gi
Husn Itni Badi Daleel Nahi..!!~
Sad Shayari – To uska sath kya mangon
” to uska sath kya mangon!
“Zara c umr hy gham se nijaat kya mangon
“Wo sath hota to hoti zarurtein b boht
…
“Akeli jan k liye kainaat kya mangon
========================
Teri be wafayoo par teri kajh aadayo par,
Kabhi sir jhuka ke roye kabhi munn chupa ke roye,
Meri daastan-e-hasrat wo sunna sunaa ke roye……….
========================
Bicherny ki aziat kO..
Ager tum janna chahO..
To kuch pal kO..
Zara sAans apni roOk lyna..
Tumhain mehsoOs ye hOga..
…?K..
Bichrna ?MOAT? jesa hai..
========================
Jane kya sOoch ke lehrein sahil se takrati hain,
Aur phir se laut jati hain.. !
Samaj nahi ata ke wOh kinarO se bewafai karti hain,
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain.
========================
Jo khushi sabko deta hai
Aankhir me wahi rota hai
Jo mil na sake umar bhar
Kyu pyar usi se hota hai…
========================
Bhig Jaati Hain Palke Meri Jab Yaad Unaki Aati Hain,
Tham Lete Hain Hato Mein Hath Jab Wo Pas Aati Hain,
Sukh Jaate Hain Honth Lafz Kuchh Keh Paate Nahi,
Khwab Mein Hi Dekh Lete Hain Kyu Ki Wo Pas Aate Nahi.
========================
Us ne Raat k andhairay men..
.
Meray haath ki hatheli pe..
.
Likha tha apni ungli se..
….
“MUJHE PYAR HAI TUM SE”
.
Jane kaisi siyahi thi woh…
.
K mitti bhi nahin aur dikhti bhi nahin..
========================
QABAR KAY SANNATEY MAIN AWZ AYI
KISI NE PHOOL RAKH KAR ANSO KI DO BOND BAHAI
JAB TAK ZINDA THEY TAB TAK THOKAR KAHYI
ABB SO RAHEY HAIN TO LOGON KO HAMARI YAAD AYI
========================
Sad Shayari – Ulajhta Choor gya Wo Mujhe Sawalon me
Ulajhta Choor gya Wo Mujhe Sawalon me…
Wo ek Shakhs jo Apna tha Shehr walon me…
Agarchy Mujh se Taluq nahi raha lekin…
Wo Naam leta hy ab b Mera Hawalon me.
========================
Khatm Tha Hum Pe Mohabbat Ka Tmasha Goya
Rooh Or Jism Ko Hr Roz Juda Karte Rhe
Zindgi Hum Se Tere Naaz Uthaye Na Gye
Sans Lene Ki Faqat Rasm Ada Krte Rhe …!!!
========================
Rat gehri hai dar bhi saktey hain,
hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain,
aap jo roothey to yeh bhi na soocha,
hum to pagal hain mar bhi saktey hain..
========================
Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se?
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se?..
Duniya bhi mili hai
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha khuda se
========================
KoI KhUshiyO Ki ChAh MaiN RoyE.
Koi DukHon Ki PanaH SE RoyE.
AjEeb SilsiLa Hai IsHq AuR MohaBBat KA.
Koi WaFa kE LiyE RoyE AuR KoI WafA KaR kE RoyE
========================
yehi zindagi ka usol hai
jo bichar gaya usse bhol ja
jo mila hai dil sa use laga k rakh
jo nahi mila use bhool ja
========================
Wo Aam Si Sham Thi,
Jab Juda Hoey Thay Hum,
Na Toot Kar Piyar Kiya,
Or,
Na Ro Saky Thay Hum,
Tum Sey Gila kia,
Na Zamany Se Kuch Kaha,
Barbad Ho Gaey,
Bohat Sadgii Se Hum..!
========================
HAm Uski Khushi Ki Dua Mangty RahE
aur Be Panah Mangty RahE
Aj W0 Khush Hai Kisi or K sath
Ab Samjh Aya Hum “KHUDA” Say
ApnE Lye Hi Saza MangtE Rhe.
========================
Romantic Shayari – Mujhe kisi se mohabat nai unke siwaa
Mujhe kisi se mohabat nai unke siwaa,
Mujhe kisi ki zarurat nai uske siwaa,
Meri nazar ko thi talaash jiski,
Kisi k pas wo surat nai uske siwaa..
==========================
Hum ko halaat ne is tarah kiya tha yakjaa*,
Jese guldaan main do phool galey milte hain..
==========================
Jee chahta hai un se pyari si baat ho,
Haseen chand taray hon, lambi si raat ho,
Phir raat bhar yehi guftagu rakhen hum dono,
Tum meri zindagi ho, tum meri kainat ho…
==========================
Uss Shoki-e-Guftaar Pe Aata Hay Bohat Piyar,
Jab Pyar Say Kehti Hai Wo, Shaitaan Kahee’n Ka..!
==========================
Mohabbat haasil itni rahi un ki mujhe,
Yaad un saanson ke chehrey ho gaye..
==========================
Ajeeb lutf se guzren yeh din jo yu’n guzren,
Ke tere dil main rahen aur apne ghar mein rahen..
==========================
Subaah ke waqt ik dhulaa chehra,
Ik alag naghmaa* dikhaayi deta hai..
==========================
Apni zaat se nikal kar tujhe tanha chahoon,
Maloom tum ko bi na ho tumhe itna chahoon ..
Romantic Shayari – Zara chehre se zulfon ko hatao
Zara chehre se zulfon ko hatao,
Yeh kesi shaam hoti ja rahi hai..
==========================
Rukh-e-yaar pe yeh zulfain yu’n phissal rahi hain goya,
Kabhi din nikal raha hai kabhi raat dhal rahi hai..
==========================
Khafaa na ho ke tera hussn hi kuch aesa tha,
Main tujhse pyaar na karta to aur kya karta..
==========================
Itni sardi hai pass kuch bhi nahin,
Aao ik doosre ko aurrh lain hum..
==========================
Galat ho aap ka vaada koi, Khuda na kare,
Magar khuzoor ko aadat hai bhool jaane ki..
==========================
Jab bhi kehta hoon koi taaza ghazal tere liye,
Mere ehsaas mein khilte hain kanwal tere liye..
==========================
Baat Thehri Jo Adal Per Waaiz,
Phir Ye Minnat Ye Iltija Kya Hai?
“Chand Saa” Jab Kaha To Kehne Lage,
Chand Kahiye Naa, “Chand Saa” Kya hai?
==========================
Dastarass mein hai tera phool sa chehra lekin,
Is ko chooney se bikhar jane ka dar lagta hai..
==========================
Romantic Shayari – Hai qayamat bhi ik cheez lekin
Teri angrrayi jeet jaye gii..
==========================
Tere khamosh honton par mohabbat gun-gunati hai,
Tu mera hai, main teri hoon, bus yehi aawaz ati hai…
==========================
Uff teri masst adaayein, yeh shokhpan,
Kirnon ko bhi chooney na doon badan tera..
==========================
Toot jata hai zakhamon ka zour,
Hans ke lete hain jab woh angrrayi..
==========================
Itne dher se khawabon mein,
Mere khawb sambhaley rakhna,
Dil ka sheher ujaley rakhna,
Itne dher se chehron mein,
Mera chehra dheyaan mein rakhna,
Kuch yadain samaan main rakhna,
Itni dher se baton main,
Pehli baat bhula na dena,
Pehla ishq ganwaa na dena,
Itne dher se raston mein,
Tanhai ka ddar na dena,
Mujh ko tanhaa kar na dena,
Itne dher se naamon main,
Mera naam na khoney dena,
Meri shaam na honey dena..
==========================
Sadkey jaaon mein iss naaz ke andaaz ke,
Mera khat dekha, uthaya muskuraa ke rakh diya..
==========================
Apna samajh ke aap se karta hoon main gilaa,
Mere hain aap mujh ko shikaayet hai aap se..
==========================
Dard Woh geet jo tum ne suna nahin, meri umar bhar ka reyaaz tha
Woh geet jo tum ne suna nahin, meri umar bhar ka reyaaz tha,
Mere dard ki thi woh dastaan, jisey tum hanssi mein urra gaye..
===========================
Toot jata hai to sur aur bhi lau deta hai,
Dil jisey kehte hain woh saaz juda hai sab se..
===========================
Raat dhalne lagi hai badan thakan se choor hai,
Aye khayal-e-yaar taras kha sone de mujhe..
===========================
Tafseel se kaise sunayen yeh kissa muhabbat ka,
Ke tum masroof ho ab tak hamain barbaad karne mein …
===========================
Doston se bichra hua parinda dekh kar,
Bojh dil ka lag raha hai kis qadar halka mujhe..
===========================
Chalti hai ab to saans bhi is ehtiyaat se,
Jese guzar rahi ho kisi pul siraat se..
===========================
Dil tujh se bicharr kar bhi kahan jaye ga aye dost,
Yadon ke khilone se behel jaye ga aakhir..
===========================
Hum Jee Rahe Hyn Koi Bahana Kiye Bagair,
Us K Bagair, Us Ki Tamanna Kiye Bagair..
SMS Shayari – Samney beth key jo dil churaye koi
Samney beth key jo dil churaye koi!
Aisi chori ka pata khak lagaye koi..
Sar-e-mehfil mujhi sey parda kerna tha tujhey zalim!!!
Phir is per qayamat ghair key daman sey muh dhanpa..
Suna hai ghair ki mehfil mein tum na jao gey..
Agar kaho to saja lun ghareeb khaney ko!!
Seh lein gey teray chahney waley ye sitam bhi!
Shayed teray mushtaq thay jo khob ehl-e-‘Adam’ bhi..
Socha tha ab na laut key aain gey hum kabhi..
Awaz di kisi ney majboor ho gaye!!
Sach to ye hai key mein her bazm mein tanha raha.!!
Youn mgar pas meray kab nahi hota koi..
Husn lo to fasal-e-gul ki tamana na ker sako!
Jo dasta’n kehtay hein patey jhartey huay..
So rang bharey is mein bhi aaj ye rahi morat…
Ehsas tasawor mein, tasweer gada-gar hai!
SMS Shayari – Socha tha meray dukh ka madawa karei’n gey kuch
Socha tha meray dukh ka madawa karei’n gey kuch..
Wo pursish-o-malal sey agey nahi gaye..!
Sochtey kiun nahi tum daikh key weera’n ankh’ein..?
Hum ney bhi dil mein koi shehar basaya ho ga..
Samander hai meri takhleeq lekin..
Mein qatra hun uchalna chahta hun.!
Sham dhaley jab sarey panchi ghar ko janey lagtey hein..
Samey waley pairr pey bethi chiriya roney lagti hai!!
Shor to youn utha tha jesay ik toofa’n ho!
Sanatey mein janey keay doob gaya..
Shayad is dukh sey ujri chali jati hai zamee’n.
Ab to insaa’n ka sitar’on per basera ho ga..
Shayaro, naghma garo, nug tarasho, dekho..
Is sey mil lo to batana key hasee’n tha koi.!
Sad Shayari – Mujh Se Pathar Ye Keh Kar Bachne Lage
Mujh Se Pathar Ye Keh Kar Bachne Lage.
Tum Na Sambhlo Ge Thokaren Kha Kar….
==========================
Be-Sabab Hee Talaash Karta Hun,
Wo Mere Aas Paas Bikhra Hai…
==========================
Yahaan Mazdoor ko marney ki jaldi Yun bhi hai,
Ke zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye..
==========================
Kitabo’n Mein Rakh Kay Sula Gaya Hum Ko,
Aankhein Band Ki Or Bhula Gaya Hum Ko,
Ajeeb Musawwir Tha Jo Barisho’n kay Mousam Mein,
Kachi Diwaro’n Pay Bana Gaya hum ko….
==========================
Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai,
Hai Koi Haath Bataanay Waala ..??
==========================
Tumhari baat lambi hai daleel’en hain bahanay hain,
Hamari baat itni hai hamari aarzoo tum ho…
==========================
Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain
Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain
Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain
Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain
Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain
Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain
Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain
Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain
SMS Shayari – Safar ki dhoop mein jal ker kesay pukaar’on mein
Safar ki dhoop mein jal ker kesay pukaar’on mein..?
Key rastey mein ana ka shajar bhi ata hai..
Sach kah’on apni muhabbat pey nadamat si hui..
Jab bhi dekhi teri ujru hui sorat mein ney..!
Sitam pey khush, kabhi lot-o-karam sey ranjeda.!
Sikha’ein tum ney hum ko kanj adaa’ein kia kia..
Suna tha tutey huay saaz khob bajtey hein.!
Baraey khalus sey dil ka rubab laya hun..
Samayt leti shikasta gulaab ki khushbu..
Haea key hath mein aisa koi hunar hi na tha!!
Sarey mahol mein khusbo hai teri yaad’on ki..
Hum ney gham khaney ko phool’on sey saja rakha hai!
Saya talab gaye jidhar bol uthey wahin shajar..!
Aab aaye ho musafiro jab humain dhoop kha gae..
Two-Line Shayari – Kia dekhta hai hath mera chorr de tabeeb
Kia dekhta hai hath mera chorr de tabeeb. .
Yaan jaa’n hi badan mein nahi, nabz kia chalay. . !
=======================
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna
Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .
=======================
Kuch nishani to rahay mosam-e-gul ki ‘tashna’
Aik patta to hawa’on se bachaye rakhna. .
=======================
Kar raha tha ghum-e-jahan ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aye. .
=======================
Kehtay hain ik faraib musalsal hai zindagi
Is ko bhi wakf-e-hasrat-harmaa’n bana diya. .
=======================
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost . !
Tamaam raat sulagty hain dil k veeranay. .
=======================
Koi sota ho jaisay doobti kashti k takhtay per. .
Agar kuch hai to bus itni hi is duniya ki rahat hai. .
=======================