Koi Faisla To Ho Ke Kidar Jana Chahiye,
Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye,
Har Baar Erriyon Pe Gira Hai Mera Lahuu,
Maqtal Main Ab Ba-Tarzz-E-Digar Jana Chahiye,
Kya Chal Saken Ge Jin Ka Faqat Masla Yeh Hai,
Jaane Se Pehle Rakht-E-Safar Jana Chahiye,
Jab Bhi Gaye Azaab-E-Dar-O-Baaam Tha Wohi,
Akhir Ko Kitni Dair Se Ghar Jana Chahiye,
Tohmat Laga Ke Jo Maaan Pe Dushman Se Daad Le,
Aese Sukhann-Faroshh Ko Mar Jana Chahiye..
*****************************
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi,
Sab Se Nazar Bacha Ke Woh Mujh Ko Kuch Aese Dekhta,
Ek Dafah To Ruk Gayee Gardish-E-Maah-O-Saal Bhi,
Dil To Chamak Sake Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lain,
Sheesha Giraan-E-Sheher Ke Haath Ka Yeh Kamaal Bhi,
Us Ko Na Pa Sake Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palatt Ke Dekhiye Baat Hi Kuch Muhaal Thi,
Meri Talab Tha Aik Shaks Woh Jo Nahin Mila To Phir,
Hath Dua Se Yoon Giray Bhool Gaya Sawaal Bhi,
Uss Ki Sukhnn Taraaziyan Mere Liye Bhi Dhaal Theen,
Us Ki Hansi Main Chupp Geya Apne Ghamon Ka Haal Bhi,
Shaam Ki Nasamajh Hawaa Puch Rahi Hai Aik Pata,
Mauj-E-Hawaa-E- Ku-E-Yaar, Kar Kuch To Mera Khayal Bhi..
*****************************
Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galay Ka Haar Ho Jao,
Wahin Se Laut Jana Tum Jahan Se Bezaar Ho Jao,
Mulaqaton Main Waqfa Is Liye Hona Zaroori Hai,
Ke Tum Ik Din Judayi Ke Liye Tayaar Ho Jao,
Bohat Jald Samajh Main Anay Lagte Ho Zamane Ko,
Bohat Aasan Ho Thore Bohat Dushwaar Ho Jao,
Balaa Ki Dhoop Se Aayi Hoon Mera Haal To Dekho,
Bas Ab Aesa Karo Ke Tum Saaya-E-Deewaar Ho Jao,
Abhi Parrhne Ke Din Hain Likh Bhi Lena Haal-E-Dil Apna,
Magar Likhna Tabhi Jab Laayeq-E-Izhaar Ho Jao..
*****************************
Chalne Ka Hauslaa Nahin Rukna Muhaal Kar Diya,
Ishq Ke Iss Safar Ne To Mujh Ko Nidhaal Kar Diya,
Ae Meri Gul-Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki,
Ehl-E-Kitaab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya,
Milte Huye Dilon Ke Beech Aur Tha Faasla Koi,
Uss Ne Magar Bicharrte Waqt Aur Sawaal Kar Diya,
Mumkinaa Faislon Main Aik Hijr Ka Faislaa Bhi Tha,
Hum Ne To Ek Baat Ki Uss Ne Kamaal Kar Diya,
Mere Labon Pe Mohr Thi Pr Mee Sheesha-Ru Ne To,
Sheher Ke Sheher Ko Mera Waaqif-E-Haal Kar Diya,
Chehera O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake,
Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawb O Khayaal Kar Diya,
Mudatton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gilaa Kiya,
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahaal Kar Diya..
*****************************
Bichrra Jo Aik Baar To Milte Nahin Dekha,
Iss Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahin Dekha,
Ik Baar Jisse Chaat Gayi Dhoop Ki Khawhish,
Phir Shaakh Pe Uss Phool Ko Khilte Nahin Dekha,
Yak-Lakht Gira Hai To Jarren Tak Nikal Aayin,
Jiss Pairr Ko Aandhi Main Bhi Hilte Nahin Dekha,
Kaanton Main Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin,
Titlee Ke Paron Ko Kabhi Chhilte Nahin Dekha,
Kiss Tarah Meri Rooh Ko Harri Kar Geya Akhir,
Woh Zeher Jisse Jism Main Khilte Nahin Dekha..
*****************************