Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay,
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k,
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay,
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!
Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain
*********************************
Main Logo?n Se Mulaqato?n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai?n Bhuul Bhi jao?n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahai?n Mujh Pe
Jin Logo?n Ki Parti Hyn
Nigaho?n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa?yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo?n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon
*********************************
Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge
*********************************
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ?Faraz?
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
*********************************
Ab aur kya kisi se maraasim barrhayein hum,
Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool jayen hum,
Sehra-e-zindagi mein koyi dusra na tha,
Sunte rahe hein aap hi apni sadaayn hum,
Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum,
Tu itni dil zada tau na thi ay shab-e-firaq,
Aa tere raaste mein sitaare luttayen hum,
Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz,
Haye haye khuda-na-karda tujhe bhi rulayen hum..