Jo Meri Ankhon Se Khawab Daikho
To Aik Shab Bhi Shab Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazaar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khawab Kia Hain Aazaab Hain Yeh
Mere Dokhon Ki Kitaab Hain Yeh
Rifaqatain In Main Chotti Hain
Mohabbatain In Me Rothati Hain
Pinapti Hain In Me Wahshaten Se
Aziaten In Main Photati Hain
Unhi Ke Dar Se Khizan Hain Jazbe
Unhi Se Shakhen Se Totati Hain
Ghamon Ki Bandish Hain Khawab Mere
Dhokon Ki Barish Hain Khawab Mere
Obhal Raha Hai Dukhon Ka Lava
Rahen Atish Hain Khawab Mere
Khayal Sare Jholas Gae Hain
Sulagti Khwahish Hain Khuaab Mere
Okharti Sansain Hain Zindagi Ki
Lahoo Ki Sazish Hain Khawab Mere
Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
****************************
Kal Hamesha Ki Tarha Us Ne Kaha Ye Fone Par
Me Bahut Masrof Hon Mujh Ko Bahut Se Kaam Hain
Iss Liye Tum Ao Milney Me To Aa Sakti Nahin
Har Riwayat Torh Kar Is Baar Me Ne Keh Diya
Tum Jo Ho Masrof To Me Bhi Bahut Masrof Hon
Tum Jo Ho Mashhoor To Me Bhi Bahut Maroof Hon
Tum Agar Ghamgen Ho Me Bhi Bahut Ranjor Hon
Tum Thakan Se Chor To Me Bhi Thakan Se Choor Hon
Jan-E-Man Hai Waqt Mera Bhi Bahut Hi Qemti
Kuch Purane Doston Ne Milne Ana Hai Abhi
Mein Bhi Ab Farigh Nahin Mujh Ko Bhi Lakhon Kaam Hain
Warna Kehne Ko To Sab Lamhe Tumhare Naam Hain
Meri Ankhein Bhi Bahut Bojhal Hain Sona Hai Mujhe
Ratjagon Ke Bad Aab Nendon Me Khona Hai Mujhe
Mein Lahoo Apni Anaoon Ka Bhaha Sakta Nahin
Tum Nahin Ati To Milney Me Bhi Aa Sakta Nahin
Us Ko Ye Keh Kar Wasi Me Ne Reciever Rakh Diya
Aur Phir Apni Aana Ke Paon Pey Sar Rakh Diya
****************************
Qalam Ho Taigh Ho Taisha K Dhaal Mat Cheno
Kabi Kisi Se Kisi Ka Kamal Mat Cheno
Khushi Isi Me Agar Hai To Har Khushi Lay Lo
Yeh Dukh Yeh Dard Yeh Huzan O Malal Mat Cheno
Isi Khalash K Sabab Phir Muje Obharna Hai
Khuda K Wastay Ahed-E-Zawal Mat Cheno
Me Chor Sakta Nahin Sath Istiqamat Ka
Meri Azan Se Josh-E-Bilal Mat Cheno
Abi Kitab Na Cheno Tum In K Hathon Se
Hamare Bachon Ka Hussan-O-Jamal Mat Cheno
Hamari Ankh Me Yaadon K Zakham Rehnay Do
Hamare Hath Se Pholon Ki Dhaal Mat Cheno
Abi Bhojao Na Candle Na Cake Katon Abi
Kuch Aar Dair Mera Pichla Saal Mat Cheno
****************************
Us K Hathon Se Joo Khoshbo-E-Hina Atii Hai
Aisa Lagta Hai K Jannat Se Hawaa Atii Hai
Chomne Daar Ko Kis Dhaj Se Chala Hai Koi
Aj Kis Naaz Se Maqtal Mee Qaza Aati Hai
Na Kabhi Koi Kare Tujh Se Tere Jaise Salook
Hath Uthtay Hi Yehi Lab Pe Dua Aati Hai
Tere Gham Ko Ye Bar-Hana Nahin Rehne Deti
Meri Ankhon Pe Jo Ashkon Ki Rida Aati Hai
Us Ke Chehray Ki Tamazat Bhi Hai Shamil Is Main
Aaj Tapti Hoi Saavan Ki Ghata Aati Hai
Ghomnay Jab Bhi Tere Shehar Me Jati Hai Wafa
Bain Karti Hui Wapis Woh Sada Aati Hai
Hai Wohi Bat Har Ik Lab Pe Bohat Aam Yahan
Hum Se Jo Kehte Hue Un Ko Haya Ati Ha
****************************