Quantcast
Channel: Shayari
Viewing all 1232 articles
Browse latest View live

Gham Shayari – Lagta Hai Iss Baras Mohabbat Ho Hi Jaye Gi

$
0
0

Lagta Hai Iss Baras Mohabbat Ho Hi Jaye Gi,
Mainee Khawab Main Khud Ko Martay Dekha Hai.

=======================

Bohat Khud Per Jabar Ker Ke,
Mohabbat Ka Safar Ker Ke..
Usay Panay Ki Chahat Main,
Mohabbat Ki Musafat Main..
Bas Itna Jaan Paye Hum,
Mohabbat Maar Deti Hai..!!!

=======================

Pal mein hamare dekhte dekhte hanste baste logon ko,
Kese lag jaya karti hai, Kabhi na tootne wali chupp..

=======================

Be-talab kis ke galey mein daal doon is haar ko,
Mujh se meri zindagi bhi maangta koi nahin..

=======================

Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra mohsin,
Aaj phir raat na guzre gi suhaani apni..

=======================

Badlaa hai magar bhay’ss gham-e-ishq ka tu ne,
Bass aye gham-e-doraan tujhe pehchaan gaye hum..

=======================

Urrta Hua Ghubaar Sar-e-Raah Dekh Kar,
Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye..


Gham Shayari – Waqt acha zaroor ata hai

$
0
0

Waqt acha zaroor ata hai,
Par aksar, waqt par nahi ata…!

=======================

Mumkin hai palat kar main chala aaon safar se,
Woh naam tou ley rooh ki gehraayi se mera..

=======================

Ghamon Mein Mubtala Rakha Gaya Hai,
Mujhe Mujh Se Judaa Rakha Gaya Hai..

=======================

Insaan ka yeh haal ho gaya hai,
Har chehraa sawaal ho gaya hai..

=======================

Aansoo, Aahein, Tanhai, Veeraani, or Gham-e-Musalsal,
Ik zara sa ishq hwa tha, kya kya virasat mein de gaye.

=======================

Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se,
Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain…

=======================

Ab Bus Bhi Kar Dy Logon Ko Toot Kar Chahna.
Wo Daikh Aik or Shakhs Tujhy Chor Kar Ja Raha Hai..

=======================

Muu‘n chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj,
Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai….

Gham Shayari – Kuch aur bhi hain kaam humain gham-e-jaana,

$
0
0

Kuch aur bhi hain kaam humain gham-e-jaana,
Kab tak koi uljhii hui zulfon ko sanwaarey..

=======================

Gham bhi ik naimat hai, ik soghaat hai,
Jo sakoon rone mein hai, muskurane mein nahin..

=======================

Shayed tere bagair na aye ga phir kabhi,
Iss be’khudi ke sath mausam bahaar ka..

=======================

Khud apne saaye ke agey khara hoon hath phelaye,
Talab duniyaa se kya karta, main sayel hoon faqat apna..

=======================

Gham ki tashrih bohat mushkil thi,
Apni tasveer dikha di hum ne..

 

=======================

Khafaa rehne ka shoq bhi pura kar lo tum,
Lagta hai tumhe hum zinda ache nahi lagte..

=======================

Jo sunaayi anjuman mein shab-e-gham ki aab‘beeti,
Keyi ro ke muskuraye keyi muskuraa ke roye..

Sad Shayari – Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy

$
0
0

Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy
Tu jis ka mustahiq tha wo chahat na di tujhy

Apny hi roz-o-shab k jhamelo’n mein gum raha
Jis per tera tha haq wo rafaqat na di tujhy

Tu paas tha tou meri anaa k ghuroor ne
Pathar k aik but ki bhi wuq’at na di tujhy

Dariya tha mein khuloos ka har shakhs k liye
Per boond bhar bhi meine muhbabbat na di tujhy

Kaghaz k qamqam’on ko jalanay k shauq mein
Afsos, koi sham-e-rafaqat na di tujhy

Tu sochta tou ho ga k shayar k piyar ne
Apni kisi ghazal ki bhi surat na di tujhy

Mein kia karu’n k meray both se azaab they
Bus is liye kabhi koi zehmat na di tujhy. . !
======================
Mata-e-dil hi bachi thi bus ik zamanay mein
So hum usey bhi teri anjuman mein haar aaye. .
======================
Muflisi hiss-e-latafat ko mita deti hai. .
Bhook aadab k saanchay mein nahi’n dhal sakti. .
======================
Gali gali meri waraftagi k charchay hain
Kahan Kahan Mery ehsaas ko chupaogay. .
======================
Gohr-e-wafa ki muhabbat k roz-o-shab ka khayal
Ye meri aankh bhi kia kia uchalti jaye. .
======================
Gae ruto’n k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?
======================

Funny Shayari – Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye

$
0
0

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,
Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,
Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,
Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,
Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..
=========================
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,
Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,
Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,
Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..
=========================
Nigaahain aaj bhi us shakhs ko talash karti hain Faraz,
Jis ne kaha tha bass “Matric” karlo agey parhai asaan hai..
=========================
Uska rishta na hone ka bayas uska abba tha,
Sab khairaan the usne aisa abba kahan se labba tha,
Samajh nahi aati bati dhaarein wo kiss se bahkhshaye,
Uski maa to feeder thi, aur suke doodh ka dibba tha,
Us jagah par kafi loki manatein mangne pohanche,
Pichle ware jaha par humne, moya kukad dabba tha.
=========================
Wo HamSafar Tha Magar Uske Achi Kamai Na thi,
K Soup, Chai Usne Kabi Pilai Na Thi…
Sardiyan Thin, Flu Tha, Cough Thi Magar,
Pagal Ke Pass Sab Kch Tha, Ek Dawai Na Thi… 😀 😀
=========================
Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?
Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?
Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nhai.
=========================

SMS Shayari – FRIEND means

$
0
0

FRIEND means
f=free frm all formalities
r=right to say any thing
i=in anyway
e=either good or bad
n=no sorry no thnx
d=daantna peetna allowed 24 hours 😉
====================
?FEELiNG?is a painting never spoil it
?FACE?is a book try to read it
?LOVE? is precious be ready to sacrifice for it
?FRiENDSHiP? is a mirror never?break? it.
====================
Look Outside its So Pleasant!
Sun Smiling 4 U !
Trees Dancing 4 U !
Birds Singing 4 U !
Because, I Asked Them All 2 Wish You
A Happy Friendship Day
====================
True friends are like mornings,
u cant have them the whole day,
but u can be sure,
they will be there when u wakeup tomorrow,
next year and forever.
====================
My heart?s like an open book,
it depends on how u read me.
Don?t judge me by my cover..
Look in and discover..
i will be ur True friend for ever?
====================
a friend gives hope when ur life is low,
a friend is place wen u hav no place to go,
a friend is a precious,
a friend is ??”?”?”?”?u?”?”?”?”?”
====================
When clouds break rain falls.
When coconut break water falls.
when love break tears falls
but
when friendship break life falls
so never break friendship.
====================

Islamic Shayari – Ager Alif Se Lo Insann Ali

$
0
0

Ager Alif Se Lo Insann Ali
Be Se Kamil-Burhan Ali

Te Se Tatheer Ki Jaan Ali
Se Se Saqlain Ki Shaan Ali

Har Makhfi Baat Ka Raaz Ali
Aur Jeem Se Pak Jawaz Ali

Makdoor Ali Taqdeer Ali
He Se Haq Ki Tasweer Ali

Khe Se Khatmul-Quran Ali
Aur Khaliqa Ka Shahkar Ali

Shazada-E-Husun-O-Jamal Ali
Re Se Rehbar Har Haal Ali

Wahid Ki Qasam Wajid Bhi Ali
Hai Ze Se Zahid Bhi Ali

Be-Badal Ali Baaqi Bhi Ali
Mera Sin Se Hai Saaqi Bhi Ali

Sucha Sacha Kafi Bhi Ali
Aur Sheen Se Hai Shafi Bhi Ali

Hai Suad Se Sabik Zikr-E-Ali
Aur Zuad Se Zamin Fiqr-E-Ali

Ta Se Tarfain Mein Noor-E-Ali
Za Se Purnur Zahoor-E-Ali

Rutba Hai Khuda Ke Wali Ka Ali
Aur Ain Se Naam Ali Ka Ali

Hai Gain Se Pak Gani Bhi Ali
Fe Se Fazal-E-Rabbi Bhi Ali

Mera Kaaf Se Kibla Ali Ali
Aur Kaaf Se Kaaba Ali Ali

Hai Mim Se Shan-E-Ma Bhi Ali
Aur Mun Kunto Maula Bhi Ali

Hai Noon Se Noor-E-Khuda Bhi Ali
Wow Se Wajhul-La Bhi Ali

Sun Lo Ain-Ul-Lah Peer Ali
Aur Ye Se Yad-Ul-Lah Peer Ali

Emaan Ali Eeqaan Ali
Sultan Ali Meri Jaan Ali

Funny Shayari – Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne

$
0
0

Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi daant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to marorr diya us ne!
Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny..’
=========================
Aaj woh hamse jannat mein takra gaye,
Aaj woh hamse jannat mein takra gaye,
Aur hamare dil se awaaz nikli,
“Fitteh Moon” Tum idhar bhi agaye..
=========================
Once A Keera saw a piece of Gurr,
He went to eat it,
But
On the way he saw a keeri,
He left the Gurr & went with keeri.
MORAL:
*Gurr nalo ishq mitha*;-
=========================
Mohabaat mein Dil Torne ke Liye Itna He Kafi hai
Faraz..
.
Ap Ka Matluba Number Dosri Line Pr Masruf Hai 🙂
=========================
Tere Hathoun k taqadus ka Khyaal Ata hai Warna
Warna Yasu Panju ma to hum Maaf Kia Nahi Kartay
=========================
Likhna Parhna chhad de bandeya, Nekiyan te rakh aass…
Chuk Chaadar tey soja bandya Rab karey ga pass …!!!
.
.
Students ka sufiana kalam 🙂
=========================
Pathan : Mobile Me Kuch songs Load Krwane Hein…
Dukandar : Memory Card Hy?
Pathan : Shanaakhti Card hai Memory card to abhi nahi banwaya…
=========================
Ek sal es ko bholny may lag hi jai ga
Phir ye bhi soch lo ke bahi pora sal hy


Yaad Shayari – Unhe hum yaad ate hain fursat ke Lamhaat main

$
0
0

Unhe hum yaad ate hain fursat ke Lamhaat main,
Par yeh bhi sach hai, Unhain fursat nahi milti ..!

===========================

Tarha Tarha Se Bhulaya Magar Ye Haal Hua,
Har Ek Khayal Se Paida Tera Khayal Hua…

===========================

Kam Yaad Karoon Usko Meray Haq Mein Yahi Bahtar Hai,
Yah Alfaaz Mujhe Tabeeb Nay Hath Jourr ke Kahe Hain..
(tabeeb;doctor)

===========================

Is zindagi mein itni faraghat kisey naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum..

===========================

Jee bhar gya to apni jawani samait kar,
yadon ki mehfiloon mai khala chorh jain ge..

===========================

Yaad aata hai shab-o-roz koi,
Humse rootha hai be-sabab koi..
(shab-o-roz;day & night)

===========================

Apni tanhai mere naam pe abaad kare,
Kaun hoga jo mujhe uski tarah yad kare..

===========================

Main na hoonga to meri yaadon ki baarish hogi,
Ek pal ke liye bhi tujhe tanha na hone dunga..

===========================

Yaad Shayari – Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko

$
0
0

Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko.
Doobte doobte awaz teri sun jaun.

Akhri baar tu sahil se sada de mujhko.
Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin.

Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko.
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah.

meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko.
Roothna tera meri jaan lie jata hai.

Aese naraz na ho haske dikhade mujhko.
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse.

Uski galion main pari khak banade mujhko.
Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai.

Main bhi is ishq mani aya hun, dua de mujhko.
Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main.
Koi kamzor sa lamha hun. bhulade mujhko.

===========================

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko,
Chale aao ke yeh hijr ki raatain bohat rulaati hain mujhko,

Tere aashiyane ko jaana, hum bhala kese aajaye,
Tere sheher ke log bohat satate hain mujhko,

Tu chahe kitna hi chupaa le, Mein phir bhi janta hoon,
Teri soch har mehwar yaad karta hai mujhko,

Khud mein jhaankta hoon tou yeh khayal ata hai,
Bin tere jeena bhi muhaal lagta hai mujhko,

Mein andheron ki nagri ka kamzor sa musafir,
Ab ujaalon ki musaaftain kahan raas ati hain mujhko,

Tere deed ki pyaas hi ab taskeen deti hai,
Teri miti huyi arzuyain hi chain deti hain mujhko,

Ae Husnain tamasha dekhne wale koi kam tou na they,
Ruswayiyon ke soghaat diye tere apnon ne mujhko..

===========================

Zindagi Shayari – Dastakain itni zeyada hain ke ddar lagta hai

$
0
0

Dastakain itni zeyada hain ke ddar lagta hai,
Zain goya kisi maqrooz ka ghar lagta hai..

======================

Mere mizaaj pe hairaan hai zindagi ka shauur,
Mein apni maut ko aksar galey laga ke mila..

======================

Umar-e-daraaz maang ke laaye they chaar din,
Do aarzu mein katt gaye do intizaar mein..

======================

Guzr hum ne yun zindagi ki hai,
Har qadam hum ne aashiqi ki hai..

======================

Gar na ho suurat to seerat hi sahi,
Kuch to hona chahiye insaan main..

======================

Guzar na jaye kahin umar ehteyaaton main,
Jo kaam karne hain woh deewana-war* kar daloon..
(deewana-war;like crazies)

======================

Sirf zinda rehne ko zindagi nahin kehte,
Kuch gham-e-mohabbat ho, kuch gham jahaan ka ho..

======================

Zindagi Shayari – Zindagi jis ko tera pyaar mila woh jaane

$
0
0

Zindagi jis ko tera pyaar mila woh jaane,
Hum to nakaam rahe chahne walon ki tarah..

======================

Tujh me bhi kuch adaayain khawhish’mandana aa gayin,
Tujh se bhi bad’gumaan hain aye dil-e-deewana him..

======================

Hai koi janaza parhne wala…??
Main apny dil ko maar betha hun…!!

======================

Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai..

======================

Is tarah loot liya sheer-e-tamanna ne hume,
Zindagi bhi chheen li, or jaan se maara bhi nahi.!!

======================

Mere Paon Ki Zanjeer Hai Zindagi !
Saans Be-Rabt Jhankaar Hai Aur Kia ?

======================

Wohi Kaarwaan, Wohi Raastay, Wohi Zindagi, Wohi Marhalay –
Magar Apne Maqaam Par Kabhi Tum Nah!n Kabhi Hum Nah!n..

======================

Dard Shayari – Mat kar pyar mujh se aae ajnabi

$
0
0

Mat kar pyar mujh se aae ajnabi
sab janty hain main? zamany main badnam hun

tery samny zindagi pari hai guzarny k liye
main to likh ker mittaya hua ik nam hun

============================

Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko
zakham khulty hain to aziyat nahi hoti mujh ko

itna badla hun tery sheher ka pani pi kar
jhoot bolun to ndamat nahi hoti mujh ko

ab koi aae chala jae main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko

itna masroof hun jiny ki hawas main Shahid
sans leny ki bhi fursat nai hoti mujh ko

============================

Aisa karo dil se bhula do mujhy
tum se bichrun to moat a jaye
dil ki ghehraiy se dua do mujhy

============================

Wo ik shakhs jis shikayaten thin bohot
wohi aziz tha os se mohabaten thin bohot

wo kab mila to dil main talab hi na thi
bichar gya to hamari zarurten thin bohot

wo youn mila jesy kabhi mila hi na ho
hamari zaat pe oski inayaten thin bohot

hamen apny hi yaron ne kr dia ruswa
k bat kuch bhi na thi aur wazahaten thin bohot

har moor pe hum tootty bikharty rahy
hamari zat pe tanha qayamten thin bohot

============================

Lipat kar apni tanhai se jagta rehta hun main
tamaam rat teri yad mujhy sony nahi deti

teri koi masoom si shararat jab bhi ati hai yaad
udaas to kar jati magar roony nahi deti

log kehty hain bhool kr usy nai zindgi shuru kr
wo rooh par qabiz hai mujhy kisi aur ka hony nahi deti

============================

Dard Shayari – Yeh kashmakash alag hai ke kis kashmakash mein hoon

$
0
0

Yeh kashmakash alag hai ke kis kashmakash mein hoon,
Aata nahin samajh mein, bohat sochtaa hoon main..

=====================================

Butt banay bethna , Pahlo main badaltay rahna,
Milna khosh khosh magar andar sa Pighaltay rahna..

=====================================

Sadaa-E-Yaar Key Chaltey Bahaar Aatee Hai!
Zarrey-Zarrey Mein Eik Andaleeb Gaatee Hai!

Dil-O-Dimaag Mein Kuchh Goonjataa Hai Rah-Rah Kar!
Rooh Ko Rooh, Na Jaaney Kahaan Bulaatee Hai?

============================

Woh, Agar, Waqt Key Pahiley Hi, Kabhi Aa Paataa
Na Koyee Sheir Kahaa Jaataa, Na Gazal Hotee

Na Kabhi Koyi Heer Tarhapti Ranjhey Key Liye
Na Shab-O-Roz Sarey Bazm Shaayaree Rotee

============================

Saaqiyah! Meiney Deykhee Hai Wo Raah Bhi
Jis Pai Reig-E-Rawaan Thee, Na They Naqsh-E-Paa

Koyee Bhi, Saath Jis Key, Fasaanah Na Thaa
Baad-E-Sarsar Thee, Baad-E-Khizaan Sirf Yaa

Fir Bhi, Raah-E-Talab Kaa Diwaanah Thaa Mein
Aur, Wasl-E-Sanam Keen Umeedeyn Jawaan

Mujh Ko, Aagey Badhhaaney Ko, Purjosh Theen
Ab Tah-E-Jaw Hoon, Leykin Akeilaa Naheen

============================

Unke Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi,
Kyu Hum Hi Unke Deedar Ke Kabil Nahi Hue.

Na Samajh Sake Wo Hame Ya Hum Nahi Samajhe,
Chune Chale The Chand Ko Aur Khud Jhulas Gaye.

Kuch Gam Nahi Phir Bhi Hame Jab Bhi Kabhi Socha,
Pyar Na Sahi Hum Dard Ke Layak To Ho Gaye.

Gar Pyar Mein Jeete Toh Wo Bhi Tha Kya Jeena,
Iss Dard Ki Kasak Mein Unki Yad Toh Shamil,

Wo Na Samajh Sake Hame Toh Gam Nahi Uska,
Har Pyar Ko Hoti Nahi Manjil Kabhi Hasil

============================

Zindagi Shayari – Kese guzar rahi hain sabhi puchte hain

$
0
0

Kese guzar rahi hain sabhi puchte hain,
Kese guzaarta hoon pooche koi nahin..

======================

Khamosh zindagi jo bassar kar rahe hain hum,
Gehre samandaron main safar kar rahe hain hum..

======================

Khawhishein kahan chain se rehne dain gi,
Tere kehne pe aye dil agar chaliye..

======================

Zinda rehna hai to halaat se darna kaisa,
Jangg laazim ho to lashkar* nahin dekhe jate..
(lashkar:group of fighters)

======================

Behter dinon ki aas lagatey huye Habib,
Hun behtreen din bhi ganwatey chale gaye..

======================

Zindagi shaam se pehle hi agar thak jaye,
Khawb ankhon mein jo paltey hain kidar jayen..

======================

Zindagi tera bhi ehsaan kyun reh jaye,
Tu bhi le ja iss khaak se hissa apna..

======================


Zindagi Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai

$
0
0

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai…
Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai…

Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai…
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai..!!!

======================

Samandar k safar mei i$ tarha awaz dain humkø
hawain tez ho or kashteyon mei shaam ho jain

ujaly apnî yadon k hmare saat rehne dain
najane ki$ gali mei Zindgi ki §haaM Ho jain

======================

Hum teri aarzoo main jeetey hain
Ye nahi hai tu zindagi nahi…:-(

======================

Ye door wo hai k bethe raho charagh tale,
Sabhi ko bazam me daikho magar dikhai na de.

======================

Hazar rang bhare zindagi k khake me,
Tere baghair ye tasveer na mukamal hai.

======================

Wo bachpane ki nend to abb khawab ho gai,
Kia umer thi k raat hoi aur so gae.

======================

Nabina janam laiti hai olad bhi us ki,
Jo nasal dia karti hai tawan me ankhen.

======================

Zindagi Shayari – Najane zindagi badale gi apna rasta kab tak

$
0
0

Najane zindagi badale gi apna rasta kab tak,27
Azal se hai nizam e khair o shar k sath wabaste.

======================

Me zindagi ki sakhawat pe kanp uthata hon,
K be daregh ye zalim luta rahi hai muje.

======================

Muje shadabi sehan e chaman se khof ata hai,
Yahi andaz the jab lot gai thi zindagi apni.

======================

Muje ye ijtamai khod koshi ka moor lagta hai,
K log abb ghar nahin rakhate magar hathiyar rakhate hain.

======================

Lakh hum marhala dar o rasan se guzare,
Zindagi se na hoe phir bhi garizan yaro.

======================

Loh e jabeen pe sabat hai radad e zindagi,
Har chand be zaban hon magr be zuban nahin.

======================

Lagta nahin hai dil mera ojare diyar me,
Kis ki bani hai aalam napaidar me.

======================

Zindagi Shayari – Likhana mere mazar k kutbe pe ye haroof

$
0
0

Likhana mere mazar k kutbe pe ye haroof,
Marhoom zindagi ki hasrat me mar gea.

======================

Kehte hain us gali ki hawa me hai zindagi,
Yon hai to apne sath adam ko bhi le chalo.

======================

Kehte hain teri zulaf e pareshan ko zindagi,
Ae dost zindagi ki tamana buri nahin.

======================

Kuch to lateef hotin gharian musebaton ki,
Tum aik din to milte do din ki zindagi me.

======================

Kia bataon kis tarah abb kat rahi hai zindagi,
Meri har har sans ik talwar hai tere beghair.

======================

Katoti ho rahi hai lamha lamha,
To kia ye zindagani laiz par hai.

======================

Fitrat e insan ko raas ati nahin asodagi,
Choor kar sahil ko tofan me utar jate hain log.

======================

Dard Shayari – zaruri nahin k zindagi ka koi sahara ho

$
0
0

zaruri nahin k zindagi ka koi sahara ho
hum chahen jisy wo hamara ho

doob jay karti hain kashtiyan aksar
zaruri nahi k har kashti ka naseeb kinara ho

============================

Bazid hai dil tumhary bin guzara ho nahin sakta
magar hum manty hain tu hamara ho nahin sakta

tmhary bin bari berang hogi zingagi apni
tmhary bahd koi b sahara ho nahi sakta

tmhara b to hoga hath meri is tabahi main
faqat taqdeer ka to kheel sara ho nahi sakta

============================

Dil k kareeb a k jab wo door ho gaye
sary haseen khawb mery choor ho gaye

humne wafa nibhai to badnamiyan milin
jo log bewafa thy wo mashhor ho gaye

============================

Teri Bheegi Palkon Se Aansoon Chura Lenge Hum,
Apni Yaad Se Tere Har Pal Ko Saja Denge Hum,

Pass Rahne Se Hi Pyar Sacha Nahin Kahlata,
Door Rah Ke Bhi Pyar Nibhana Jante Hai Hum

============================

Kitaab Si Lagti Hai Yeh Zindagaani
Jinme Milengi Tumko Dhero Kahani,

Kuch Ankahee Si Baaten,Jo Alfaz Banke Rehgaye,
Aur Kuch Aise Khayalaat Jo Tufan Khadaa Kargaye

Khuch Panno Me Khushi K Rang Bhar Diye Gaye,
Kuch Be-Rang Hogaye Toh Kahi Rang Phike Padh Gaye

Har Kahani Ki Ajab Si Hai Daastan,
Hai Kahi Shuruwat Toh Kahi Khatam Hojate Hai Kaarwaa

Ashko Se Mit Chuke Hai Kuch Nishan,
Toh Kahi Daag Banke Reh Gayi Hai Galtiyan

Mohabbat Bhi Hai Yaha Jawan,
Toh Kahi Dard De Jati Hai Bewafaiyaa

Kuch Panne Aandhiyo Me Gumh Hogaye,
Toh Kuch Haalat Se Bebas Phaad Diye Gaye

Kuch Armaano Ko Liye Intezr Me Takhti Rahi,
Kuch Ro Roke Apno Ko Yaad Karti Rahi

Kai Panne Bagaawat Pe Utar Aayi,
Toh Kuch Maayus Hoke Kuch Na Keh Payi

============================

Zindagi Shayari – Arsa e umer me kia kia na rutain ain magar

$
0
0

Arsa e umer me kia kia na rutain ain magar,
Koi thehri na yahan dard k mosam ki tarah.

======================

Aalmi hai muskarahat ki zuban,
Ye zaban sekho bahot kaam ae gi.

======================

Umer kat jae gi andhi khawaishon ko pojate,
Waqat e rukhsat sirf ehsas e zeyan reh jae ga.

======================

Tool e rah e hayat se ghabra raha hon me,
Ghabra raha hon aur chala ja raha hon.

======================

Zaror kuch to hai apni hayat ka maqsad,
Suna hai cheez koi deher me fazol nahin.

======================

Sadak o safae qalab se mehrom hai hayat,
Karte hain bandagi bhi jahanam k dar se hum.

======================

Shoq kehta hai k har jisam ko sajda kijiye,
Ankh kehti hai to ne abhi daikha kia hai.

======================

Viewing all 1232 articles
Browse latest View live