Chali hai thaam k badal k hath, Khushbu. !
Hawa k sath safar ka muqabla thehra. . !
=================
Chamakta hai shaheedo’n ka lahu fitrat k parday mein. . !
Shafaq ka husn kia hai phool ki rangee’n qaba kia hai. . !
=================
Baham Rah Kar
Agar barh jain, dil k faslay yak dam
Bicharr janay ka phir faisla ye kar bhi sakti hai
Muhabbat marr Bhi Sakti Hai. !
=================
Chori chori hum tum se aa kar mily thy jis jaga. . !
Muddat’ain guzree’n per ab tak wo thikana yaad hai. . !
=================
Cheiz karwi hai, jigr dhoop se bachnay k liye. . !
Neem ka pairr bhi aangan mein laga laitay hain. . !
=================
Chaak-e-parda se ye ghamzay hain to ae parda nasheen. . !
Ik mein kia sabhi chaak-e-gireba’n hon gay. . !
=================
Hawas ki sab zabano’n per..
Dehekty khaar ugtay hain. . !
Hawas ki aankh maqtal hai haya ka, parsaai ka
Hawas hai naar ki surat
Muhabbat noor jaisi hai
Zamee’n aur aasma’n se bhi ziada fasla hai in mein
Hawas ko tum muhabbat ka kabhi bhi naam mat dena. . !
=================