Ye husn ki adaa hai ya mein nashey mein hun..?
Kahin chand bhi chupa hai pardey ki ott mein..
=======================
Hoor’on ki talab aur mae-o-saghir sey hai nafrat..
Zahid teray irfan sey kuch bhool hui hai.!
=======================
Husn ki arai’yan thi chilman ki ot tak..
Jab utha parda to koi dekhnay wala na tha.!!!
=======================
Halat ki thakan sey mera choor tha badan..
Ban ker bahar, soch ki perwau aa gai!!
=======================
Husn sorat key talab gar bohat hein lekin!!
Husn-e-serat ka hai puristar koi koi…
=======================
Harf aye na kahi’n tarz-e-sitam per aye dost…
Khob jee bhar key sata ley abhi hum baki hein.!
=======================
Hosla hai to samander mein uter key dekh ley…
Youn lab sahil hi gehrai ka andaza na ker.!!!
=======================