Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi
Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi
Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi
Hota Hai Jaha Zikr Muhammad (SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi
Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi
Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi
============================
Aey Saba Mustafa (SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Se Kih Dena,
Gham Ke Maare Salam Kihte Hein
Yaad Karte Hein Unko Sham-o-Sehar,
Dil Hamare Salam Kihte Hein
Allah Allah Hazoor Ki Baaten,
Marhaba Rang-o-Noor Ki Baaten
Chand Jin Pe Nisar Hota Hay,
Aur Taare Salam Kihte Hein
Jab Muhammed Ka Naam Aata Hay,
Rehmaton Ka Payam Aata Hay
Lab Hamare Darood Parhte Hein,
Dil Hamare Salam Kihte Hein
Allah Allah Hazoor Ke Gesoo,
Bheeni Bheeni Mehakti Wo Khushbu
Jin Se Mamoor Hay Fiza Har Soo,
Wo Nazare Salam Kihte Hein
Zaer-e-Taiba Tu Madine Mein,
Piyare Aaqa Se Itna Kih Dena
Aapki Gard-e-Raah Ko Aaqa Be Sahare Salam Kihte Hein
Aey Saba Mustafa Se Kih Dena,
Gham Ke Maare Salam Kihte Hein
Yaad Karte Hein Unko Sham-o-Sehar,
Dil Hamare Salam Kihte Hein
============================
thori si ibadat bohut sa sila deti hai
ghulab ki tarha cheha khila deti hai
ALLAH ki yaad ko dil se jane na dena
Kabhi kabhi choti si DUA arsh hila deiti hai
===========================