Doob kar suuraj ne mujhe aur bhi tanha kar diya,
Mera saaya bhi alag ho geya mere apnon ki tarah..
=======================
Hazoor ap shab arai’yan kar’ein lekin.!
Faqat namod-e-sehar tak charag jaltey hein…
=======================
Husn-e-barham ko nahi’n hal-e-pareshan sey gharz!!
Saz-e-dil ki dharkan’on sey hai taraana be-khabar..
=======================
Haif-sad-haif agar ghair key daam mein aye..
Mein is baat pey marta tha key tum ayyaar ho.!!
=======================
Hosla tujh ko na tha mujh sey juda honay ka.!
Warna kajal teri ankh’on ka na phela hota..
=======================
Halaat ka takaza tha ik bar mil key hum..
Bichrey kuch is ada sey key dobara na mil sakey.!!
=======================
Hirs key baghi parindey jab urey oonchi uraan!!
Lotney per bhol bethay sab key sab apney ashiya’n..
=======================