Quantcast
Channel: Shayari
Viewing all 1232 articles
Browse latest View live

Soch Shayari – Me khod pehal karon k other se ho ibtada

$
0
0

Me khod pehal karon k other se ho ibtada,
Barson guzar gae hain yahi sochate hoe.

========================

Lihaz e wazadari me kabhi mumkin na ho shaid,
Tumhara do qadam ana hamara do qadam jana.

========================

Kia koi nai baat nazar ai hum me,
Aina humen daikh k hairan sa kion hai.

========================

Kab talak yohi rahain ge ehal e dil mehroom e ded,
Jurat e bebak ya hasan e taqaza kuch to hai.

========================

Kahen ye ishq ka aalam kahen wo husan e tamana,
Ye sochata hon k me apne ro maro to nahin.

========================

Kisi k husan e tmana ka pass hai warna,
Muje kheal e jahan hai na khof e ruswai.

========================

Koi hath bhi na milae ga jo gale milo ge tapak se,
Ye nae mizaj ka sheher hai zara fasale se mila karo.

========================

Fehmo adraak se bala hai ye andaz e wafa,
Tuj ko andesha ruswai bhi hai piar bhi hai.

========================


Dard Ye nahi k saray jahan mein humsafar hi nahi mila

$
0
0

Ye nahi k saray jahan mein humsafar hi nahi mila
Sabhi ‘Aitbar’ k sath thy, koi mo’tabar hi nahi mila

Meri nabz choo k to dekhta k shikasta dil ki sadaa hai kia
Mera la-ilaaj marz na tha, koi chara gar hi nahi mila

Kabhi sheher chaan liye gaye, kahi’n khaimay taan liye gaye
Jisay dekhta tha mein khuwab mein, mujhy wo nagar hi nahi mila

Mujhy wo makee’n hi nahi milay jinhain meri zaat se pyar ho
Jisy apna ghar mein samajh saku’n, mujhy aisa ghar hi nahi mila

Raha muztarib mera shauq bhi mera sajda karny ka zauq bhi
Mujhy sang-e-rah to boht milay, Tera sang-e-dar hi nahi mila

Sabhi apny apny giroh k, gham-aarzu ka shikar thy
Kisay mein dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda war hi nahi mila

======================

Meri rooh mein jo uter sakain wo muhbbatain mujhy chahiyain
Jo saraab hon na azab hon, wo rafaqat’ain mujhy chahiyain

Kahin mil sakain to samait lo mery roz-o-shab ki kahaniyan
Jo ghubar-e-wakt mein chup gaeen, wo hikayatain mujhy chahiyain

Jo meri shab’on k charagh thy, jo meri umeed k baagh thy
Wohi log hain meri aarzu, wohi soorat’ain mujhy chahiyain

Teri qurbat’ain nahi chahiyain meri shayari k mizaj ko
Mujhy faaslo’n se dawaam de, teri furqat’ain mujhy chahiyain

Mujhy aur kuch nahi chahiye ye duain hain mery saae’baan
Karri dhoop mein kahi’n mil sakain to yehi chatain mujhy chahiye. .

==================

Koi aisa gehra dukh bhi nahi
Jisay dukh samnjhoo’n
Aur tum se kahoo’n

Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon

Kisi ujray ghar ki mamti per
Jab sham dhalay
Kisi cheel ko sir nehuwrraye huay mein paata hoon
Kho jata hoon
Tum poochtay ho : Koi dukh tou nahi?
Mein aik nazar tumhain dekhta hoon
Aur kehta hoon
Koi aisa gehra dukh bhi nahi
jisay dukh samjhoo’n
Aur tum se kahoo’n
Jab dekhta hoon aisa manzar
Mein maazi mein kho jaata hoon

Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon. . !

 

 

Mother Shayari – Aye raat mujhe Maan ki tarah gaud mein lele

$
0
0

Aye raat mujhe Maan ki tarah gaud mein lele,
Din bhar ki mushakat se badan toot raha hai..

 

=============================

Aaj mujhe aaukat ka andaza ho gaya
Maa ne chhua sukha gulab to taza hogaya

Raat maine ghar p nahi khaya khana
Kal meri maa ka bhi faaka hogaya

=============================

Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko

pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi

zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko

muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya

=============================

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Ishq Shayari – Kabhi lay mujh say meray “shab-o-roz” ka hisab

$
0
0

”Kabhi lay mujh say meray “shab-o-roz” ka hisab”
“Phir dhoond apne siwa, kuch or meri zindagi me”

===================

Agr hota hai itifaq to youn Q nahi hota,
Wo chaly us rah par jo mujh pay khatam ho..

===================

Wöh ki§i äur kä högä tou Qäyämät hö gi
Phir kisi kö bhi kisi se nä muhäbbät hö gi

Usy dekhäy köi ächä nähi lägtä mujh kö
is se bärh kar bhi köi åur muhäbbät hö gi

Räät käl chäänd kö dekhä töu yéh ehsääs huä
Wöh äkelä håi usåy meri zärurät hö gi

Aey “KHUDA” uskö kisi äur kä höne nä denä
Zindägi bhär mujhe phir tujh säy shikäyät hö gi.

=========================

AshiQon ke marne pe kafan bhi nahi milta,
or haseeno ke marne pe tajmahal banta hai..

=========================

Kitni Dilkash Hai KHamoshi Uski,
Batain sari Fuzool Ho Jesain..

=========================

Ae ishq aa k phr say koi tajarba karain
Main bhulnay laga hun pUrani kahanian

=========================

Ye Ulfaten b ajeeb hen, Ye Chahten b ajeeb hen
Kbi Mil k b na Pas hain Kbi pas ho k b na mil saky

Kbi Yad ayi to Beshumar, kbi Ro diye to Behisab
Ye Dil ki Halten b ajeeb henye Sazishen b ajeeb hen

Kbi Lrzishenkbi Rnjishen, Kbi DurianKbi Mjburian
Ye Uljhanenb ajeeb henYe Mushkilen b ajeeb hen

TUM hansty to Sirf Mery Liye, TUM Roty to sirf mery liye
Ye Khahishen b ajeeb henYe Hasraten b ajeeb hen.

=========================

Sharab e ishq ko chupake pine ka alag hai nasha,
Dikha dikha ke pine se kya khaak maza aayega.

Soch Shayari – Wo tere pass se chop chap guzar kaise gea

$
0
0

Wo tere pass se chop chap guzar kaise gea,
Dil be taab qiyamat na utha di tum ne.

========================

Wo muj se chahta kia tha muje khabar na hoi,
Bakherta bhi raha aur sametata bhi raha.

========================

Na poch wasat e dil mukhtasir se qalib me,
Makan tang hai angan magar kashada hai.

========================

Nahin mere lie kia aur koi,
Usi ka rasta kion daikhata hon.

========================

Na anjaman me sakon hai na kanj khalot me,
Khuda gawah qayamat k aztarab me hon.

========================

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Har taraf khalq ne kiyun shor mcha rakha hai,

Roshni din ki wohi,
Taron bhari rat wohi,

Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,

Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,

Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,

Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai
WaRNa in aankhon ne deikhe hain naye saal kai…

========================

Sad Shayari – Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai

$
0
0

Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai ,
Tere Lout ane Ka Imkan Saja Rakha hai,
Sans tak bhi nahi lete hain tujhe,
Sochte waqt hum ne is kaam ko bhi kal pe Utha rakha hai,
Ruth jate ho tu Kch or haseen lagte ho,
Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hay,
tum jisse rota hue chor gaye the ek din,
hum ne is shaam ko seeney se laga rakha hay,
chain layne nahin deta yeh kisi tor mujhe,
teri yadon ne jo toofan utha rakha hay,
jane wale ne kaha tha ke wo lotay ga zarur ik issi aas pe
Darwaza Khula rakha hai ,
terey jane se jo ik dhool uthi thi ghum ki,
Hum ne is dhool ko ankhoun me bassa rakha hai,
mujh ko kal shaam se woh yaad buhat ane laga,
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai,
akhri bar jo aya tha mere naam wasi,
main ne us khat ko kalaije se lagha rakha hai
========================
Jiski band Akhoun main Mere Khawab Hain,
Jiski Sansuon me bajhte Rubab hai ,
Laboun ki pankhari jEse Gulab hai ,
Jiski Zindagi main band mere sarey baab hai,
Wo Mujasma-E-hayat Tum hi to ho
Haaan wo tum hi to houn ,
Jis se mansoob mere sarey armaan hai
Andaaz jiske takkubur k hashr ka saman hai,
Jiski Sadgi me Husn bhi Qurban hain,
JIski be rukhi me sarey guman hain,
Woh Meh Parwar haseena tum hi to ho,
haan wo tum hi to ho,
Jab hawa tumhe choo kar guzar jati hain,
Aik aag se seene me bharak jati hain ,
tum pass nahi hoti to GOya Zindagi Ruth jati hain ,
Quwat-E-Goyayi jis k samney Salb ho jati hai
Wo Naveed-E-zindagi Tum hi to ho,
haan wo tum hi to houn,
tere pero se wo tapakta hua pani,
teri sheeri zaban ki Uf woh rawani,
Roshan cherey per dhamakti ankhein wo noorani,
Woh shakr-E-husn tum hi to houn ,
Haan wo tum hi to houn ????
========================
Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
========================
Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka
Ghum mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
Jab mere saare charaag-e-tamanna hawaa k hain
Jab mere saare khawab kisi bewafa k hain
Phir mujhe chahne ka tumhein koi haq nahin
Tanha karahne ka tumhein koi haq nahin
========================
Hamaari dastaan poori sunaa na namah?bar, lekin..
Wahan se rukh palat dena jahan maathay pe bal aaye?
========================

Mother Shayari -Main choti si ik bachi thi

$
0
0

Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi

tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi

khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi

Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi

Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se

Jeevan kai gehre bheydon ko
main samjhi teri batoon se

Mein teree yaad kai takiye per
ab bhi rat ko sotee hoon

Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi roti hoon

=======================

Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai,
Yeh meri Maan ki duaayon ka assar lagta hai..

=======================

Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh,
Kahan phiro ge shayer sahab, dast-e-sawaal liye..

=======================

Meri khawhish hai ke main phir se farishta ho jaaon,
Maan se is tarah lipat jaaon ke bacha ho jaaon..

=======================

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai

Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab
Mere wujood ka saara nizam tum se hai

Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin o nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai

Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai

Sad Shayari – Kal RAAT Urr rahay thay SITAARAY HAWA kay Saath

$
0
0

Kal RAAT Urr rahay thay SITAARAY HAWA kay Saath
Aur MEIN UDDASS Baith?ha tha Apnay KHUDA kay Saath
Ya to QABOOLIYYAT ka Tareeka Sikha MUJHE
Ya MERE DIL ko BAANHD day APNI RAZA kay Saath?!!!
========================
Ek Gulaab Tha
Zara Der Ka kOi
Khwab Tha,
Jo Guzar Gaya Si
Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop
Samait Ker
kahin Wadiyo?n Main
Utar Gaya
Usay Ab Na De Mere
Dil Sada
Jo Guzar Gaya So
Guzar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna
Taveel Hy
Yahan Waqt Kitna
Qaleel Hy
Kahan Laut Ker Koi
Aaye Ga
o Guzar Gaya So
Guzar Gaya ?!!
========================
Koi Dhoond Aisa
Humsafar
Jo Tujhy Mujh Se Barh
k Chah Saky
Tu Kahe Tou Raat Ho
Aur Wo Chanadni Luta
Saky
Tere Aansuo?n Ko Yun
Samait Le
K Koi Na Tujh Ko Rula Saky
========================
Zindagi Itni MUkhtasir kyun hai
Mukhtasir hai to dar badar kyun hai..
mere pal pal ki khabar rakhnay wala..
ajj mujhsay be khabar kyun hai?!
========================
Kabhi Tmhara Dil Udaas Ho
Qayas Krna k Pass Main Hoon
Kbhi Kisi Ki Kami Lage Tou
Qayas Krna k Pass Main Hoon
Tmhare Apne Jo Duur
Bethe Tmhari Nazrai?n
Utarte Hyn
Jo Tum Na Un Ko
Qareeb Pao Tou
Qayas Krna k Pass Main Hoon
Ye Mera Wada Bhi Yaad Rkhna
k Main Na Tum Ko Bhula
Sakonga
Jo Tum Bhi Mujh ko Bhula Na Pao
Tou Qayas Krna k Pass Main Hoon
========================


Sad Shayari – KIA TUM B Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho

$
0
0

*KIA TUM B . . .?
Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .
Or kisi awara patte ki ahat pr,
Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thak se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .
KIA TUM BHI. . .?
========================
Arz-e-Matlab Ka
Adhura Silsila Rehny Dia
Dastan Keh Di
Bayan-e-Mud?da Rehny Dia
Sirf Itna Yaad Hy Dastak
Hui Thi Ek Bar
Zindagi bhar Dil Ka
Darwaza Khula Rehny Dia
========================
rok lo qadam jee bhar ke dekhlo
hamara tumhara saath bas yahin tak tha
manzil mile na mile ab hamari kismat
ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha
tum chal nahi sakte is se aage ek qadam
ruk jao ke phoolon ke chaman yahin tak tha
aage arahe hain gham mujh se milne gale
ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha
uttho aur naye hamraahi talash karo
ke yeh khuwaab suhana bas yahin tak tha
========================
Yeh daagh daagh ujaala, yeh shab gazida sahar
Woh intizaar tha jis ka, yeh woh sahar to nahin
Yeh woh sahar to nahin jis ki aarzoo lay kar
Chaley tthey yaar key miljaegi kahin na kahin
Falak kay dasht mein tarron ki akhiri manzil
Kahin to hoga shab-e-sust ghum ka saahil
Kahin to jakey lageyga safina-e-ghum-e-dil
========================
Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho
Ek chadar main lipte Do Badan, ek Tera ho ek Mera ho
Tere Makhmali badan main, Khushbuon k Chaman main
Sadiyon tak wo Raat chale, Sadiyon door Sawera ho
Tere Hoton ko jab sil doon Main, apne Hoton k Dhaage se
Ek Sannate main Khamoshi se, Teri Bhaahon ne Mujh ko Ghera ho
Dono Lipte ek Dooje main, ek Gaanth si lag jaaye Badanon main
Mere Jism main Ghar mil jaye tujhe, Tere Jism main Mera Basera ho
Dil kehta hai kuch aisa ho, Tu ban jaye Main, aur Main ban jaon Tu
Bister per Tere Mere siwa, sirf Junoon or Khamoshi ka Dera ho
========================
Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
Bandaa paravar jaayiye achchhaa Khafaa ho jaayiye
Raah men miliye kabhii mujh se to azaraah-e-sitam
HoNTh apane kaaT kar fauran judaa ho jaayiye
Jii men aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se
Ab na miliye phir kabhii aur bevafaa ho jaayiye
Haaye re be-iKhtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
Us saraapaa naaz se kyuuN kar Khafaa ho jaayiye
========================

SMS Shayari – Sacrifice is greater than love

$
0
0

Sacrifice is greater than love,
Character is greater than beauty,
Humanity is greater than wealth,
But nothing is greater than friendship.
====================
There r times i find my hands full of friends?
i want 2 hold them hard
as i fear losing them.
I laugh when i realize that
they r the ones holding me. .
Thanks 4 being 1
====================
I feel happy.
Do u know y?
Coz i?m lucky
U know y?
coz GOD loves me
U know how?
coz god send me a wonderful friend
U know who?
ITS U!!!
====================
When heart beats it says ?lub-dub?.
Do U know whats it means?
LUB says ?Live Ur life Best?
DUB says ?Do Ur Best in life?
Enjoy every heart beat.
?Happy Friendship Day.?
====================
From MY side to YOU-
knowing a friend like u
has made me happy in
a million ways and if
I ever have to let u go?
i?ll find a million reasons to make u stay. 🙂
====================
Sweet but not honey,
precious but not money,
bright but not sunshine,
Improves with time but not wine,
dont know?? ,it?s friendship..!
====================
Life is like a novel.
Many chapters read and forgotten.
But there is one I wont forget.
It?s the chapter
?I met u and we became friends?.
====================

Romantic Shayari – Main to jeeti hoon tum main hi

$
0
0

Main to jeeti hoon tum main hi,
Tum kyun Mujh pe marte ho …

==========================

Poocha ke un se chaand nikalta hai kis tarah,
Zulfon ko rukh pe daal ke jhatkaa diya ke yoon..

==========================

Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko,
Yeh meri umar mohabbat ke liye thori hai..

==========================

Tum ko hazaar sharam sahi mujh ko lakh zabt,
Ulfat woh raaz hai jo chupaaya na jaye ga..

==========================

Iss darjaa mutmayin hain woh zulfen sanwaar ke,
Jaise sadaa rahen ge zamaane bahaar ke..

==========================

Doosri baar bhi hoti to tum se hoti,
Main mohabbat jo bilfarz dobara karta..

==========================

Phool khilte hain to hum sochte hain,
Tujh se milne ke zamaane aaye..

==========================

Romantic Shayari – Aayina dekh ke kehte hain sanwarne waale

$
0
0

Aayina dekh ke kehte hain sanwarne waale,
Aaj be-maut maren ge mere marne waale..

==========================

Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hans do,
Aa jaye ga palatt kar guzraa hua zamaana..

==========================

Aap ke qurb se pehle mujhe maloom na tha,
Zindagi itni dil-awaiz bhi ho sakti hai..

==========================

Aik misraah hai zindagi meri,
aap chaahen to sher ho jaye..

==========================

Dil me kisi ke raah kiye ja raha hoon main,
Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main..

==========================

Roz woh khawb main aate hain galle milne ko,
Main jo sota hoon to jaag uthti hai kismat meri..

==========================

Tum mille ho to sab yoon hai ke jese,
Eilaan jannat ka ho gunahgaar ke liye..

==========================

Romantic Shayari – Aap pehlu main jo bethen to dil thaam ke bethen

$
0
0

Aap pehlu main jo bethen to dil thaam ke bethen,
Dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki..

==========================

Phir yoon hua ke sonnay ka bhao bhi gir geya,
Ik shaam jo utaara us ne kangan kalaayi se..

==========================

Kya ghazab hai ke uss ki khamoshi,
Mujh se batain hazaar karti hai..

==========================

Teri surat se nahin kisi ki surat milti,
Hum jahan main teri tasveer liye phirte hain..

==========================

Adaa hai khawb hai taskeen hai tamaasha hai,
Hamari aankhon main aik shakss be’tahasha hai..

==========================

Yeh mera masla hai ke qayaam kese ho ga,
woh dil main apne utarne to de mujh ko..

==========================

Eid Shayari – Eid ke chand ko koi dekhe na mere siwa

$
0
0

Eid ke chand ko koi dekhe na mere siwa,
Iss ke deedar ko ik saal guzara mene..

==================================

Eid ka Din hai Aaj to Gallay Mill le Nasir,
Rasm-e-Dunia bi hai Mouqa bi hai Dastoor bi hai..

==================================

Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Ke Libas,
Ab Moharram Ki Taraah Woh Eid Manaati Hogi…

==================================

Kitni mushkilon se falak per nazar aata hai,
Eid ke chand ne bhi andaaz tumhare seekhe..

==================================

Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se yu’n manati hai,
Phir bana lain ge naye kapre yeh Eid to har saal ati hai..

==================================

Dekha eid ka chand to mangi yeh rab se dua,
Dede tera saath eid ka tohfaa samajh ke..

==================================

Na kisi ki deed hui Na kisi k galy mily…
Kaisi khamosh Eid thi,Jo aai or chali gai.

==================================

Hmne Tmhain dekha nahi kiya Eid Manayen
Jis ny tmhain dekha usey Eid MUbarak …! =P

Eid Shayari – Is qurbaani ki Eid pe kuch aur na sahi

$
0
0

Is qurbaani ki Eid pe kuch aur na sahi,
Hum apni hasrtain hi qurbaan karte hain..

==================================

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid,

Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid,

Aate hain yaad jab woh phool se chehre,
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid,

Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid,

Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid..

==================================

Guzar gayi ye Eid bhi gham-e-zindagi ki tarhaa,
Hota jo koi apni apna to ham bhi khushyaan manatey. .

==================================

Bichre huyo’n ki yaad mein ankhain udaas hain,
Aye Subah-e-Eid, Ghar ko sajaaon to kis tarah..

==================================

Jab chahain hum EID mana lain,
Chaand hamara apna hai……

==================================

Eid ke chand kahin aur ujaaley le ja,
Mera weeran baseraa hi mujhe acha hai..

==================================

Is Ke Aanay Se Howay Zakham Haray Kitnay “Batool”
Eid Se Kehdo Mere Sheher Mein Aya Na Karay……….!

 


Intezaar Shayari – Chalo kuch din k liye dunya chor dety hain faraz

$
0
0

Chalo kuch din k liye dunya chor dety hain faraz

suna hai log bohat yaad kerty hai chaly jany k bahd

=========================

kia hai tanhaiyon ne bechain mujh ko

aur beqarar tu bhi

mujhy bhi hai doston ki khwahish

akely pan ka shikar tu bhi

meri bhi ankhen hain muddat se

chokhaton peae janan

tery bhi lehjy main hasraten hain

ik sarapa intzaar tu bhi

=========================

Nasiban vich vichory reh gaye

athrun ro ro thory reh gaye

ik na manni onny meri

hath vi mery jory reh gaye

jandi wari chor gya menu

bhijy waal nichory reh gaye

aj vi sajan murr nai aya

motiyee de phul tory re gaye

aj te a ja wasty rab de

saa vi hun te thory reh gaye

=========================

uski ankhon main mohabat ka sitara ho ga

ik din aye ga wo shakhs hamara ho ga

zindagi ab k mera nam na shamil karna

gar ye taeh hai k yehi khel dubara ho ga

dil main ujala sa hua jata hai achanak

dil ne chupky se tera nam pukara ho gaa

kam mushkil hai magar usy pa hi lun ga

agar sath mery wasi khuda ka sahara ho ga

=========================

yadon ka ik jhonka aya hum se milny barson bahd

pehly itna roya na thy jitna roye barson bahd

lamha lamha ghar ujra hai mushkil se ehsas hua hai

pathar aye barson pehly shishy tooty barson bahd

aj hmari khak pe dunya rony dhony bethi hai

phool hue hain itny sasty jany kesy barson bad

dastak ki umeed lagaye kab tak bethy rehty hum

kal ka wada karny waly milny aye barso bahd

=========================

Aj tk qayem hai oske loat any ki umeed

aj tak thehri hai zindagi apni jaga

lakh ye chaha k osy bhool jaun pr faraz

hosly apni jaga

bebasi apni jaga

Intezaar Shayari – Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo

$
0
0

Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo

Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo

Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo

Main to us k ek ek lamhay ka rakhta hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo

Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo…. .

=========================

us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hain
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aaNkhon mein Duubo
jis dil mein bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uuNchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aana

=========================


unka waada hai ke wo laut aayenge
isi ummeed par ham jeeye jayenge

yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyara hai
kar rahe the kar rahe hein aur kiye jayenge

=========================

Hum to moujood thy andheron main ujalon ki tarha

tum ne chaha hi nahi chahny walon ki tarha

=========================

mudat se koi shakhs rulany nahi aya

jalti hui ankhon ko bujhany nahi aya

kehta tha k hum sath jiyen sath maren ge

ab rooth gaye hain to manany nahi aya

=========================

Us Ney Kaha Sun
Ehead Nibhaney Ki Khatir Mat Aana
Ehaed Nibhaney Waley Aksar
Majboori Ya Mahjoori Ki
Thakaan Sey Louta Kartey Hain
Tum Jaoo
Aur Dariya Dariya Piyaas Bhujaoo
Jin Aankhoon Main Dubo
Jis Dil Main Bhi Utro
Meri Talab Aawaz Na Degi
Lekin Jab Meri Chahat Aur Khuwahish Ki Lou
Itni Tez Aur Itni Oonchi Ho Jaey
Jab Dil Ro Dey
TAB LOUT AANAA
TAB LOUT AANA

Judaii Shayari – kah diya Yak Dam

$
0
0

kah diya Yak Dam
Mujhy Us se Muhabbat Hai
MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !
=============================

Halaat ka takaza tha ik bar mil key hum..
Bichrey kuch is ada sey key dobara na mil sakey.!!
=============================

Andesha bi tha or Ehtiaat bi bohat ki,
Hoty Hoty wo shaks judda ho hi gaya…

=============================
Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se
Bicherney walay! Sabab to bata judai ka. . !
=============================

Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha
Tae kiya to sadiyon ki musafat thi

Ujray to hum they is ishq mein
Chehray pe us k saray zamanay ki thakan thi

Muddat baad usey pareshan dekha hai
Aansuon mein doobi na janay kin soch’on mein magan thi

Tum to mujhy faramosh kar gaye they lekin
Tujhy faramosh karny mein ik sadi lagi thi

Aaj gali mein kah raha tha koi k
Wo chorr gai hai jisy ‘Gul’ ko inteha ki lagan thi. .
=============================

Gar lams nahi to lafz bhe bhej!
Mein tujh se juda rahoo’n kab tak?

Intezaar Shayari – Yakeen hai ke na aye ga mujhse milne koi

$
0
0

Yakeen hai ke na aye ga mujhse milne koi
Tou phir yeh dil ko mere intizar kesa hai

=========================

Naadani ki hadd hai jara dekho to unhe…..
Mujhe kho kar wo mere jaisa dhoondh rahe hai….

=========================

Tum ko malum b hai kitne talabgar hu teri
Poch un farishto se jo roz likhty hai duyain meri or Naam teRa…!!!

=========================

koi muntazir hai uska kitni shiddat se….
wo janti hai par ANJAAN bani rehti hai….

=========================

Jaante the keh nahi ho sakte kabhi Tum Humare,
Phir bhi Khuda se Tujhe maangne ki aadat ho gayee,
Paiman-e-wafaa kya hai Hume kya maloom,
Ke bewafaaon se dil lagane ki aadat ho gayee…..

=========================

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai

=========================

Dhoka Shayari – Hum ne to wada kia tha wada nibhany k liye

$
0
0

Hum ne to wada kia tha wada nibhany k liye

dil dia tha ik dil pany k liye

unhon ne mohabat sikha di aur kaha

humne to mohabat ki thi tumhen azmany k liye

 

vo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha

usy hansany ki adat yhi ye dil kuch aur samjha tha

kaha osny nai daunya basaty hain

osy sujhi sharart thi ye dil kujh aur samjha tha

===============================

Samjha Lo Apne Dil Ko Pyaar Na Kare
Meri Fitrat Hai Bewafai Izhar Na Kare
Humse Paoge Dhoka Tum Yaad Rekhna
Pehle Hee Kahte Hai Koi Humara Aetbaar Na Kare

===============================

Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne
Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne
Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte
Baat Apas Ki Kiun Sab Ko Batai Tum Ne

===============================

Beetay Huwe Dinon Ko Bhulaya Nahi Jata
Jo Roo Rahay Hon Unko Rulaya Nahi Jata
Hasnay Walon Ko Rulana Aasan Hai
Lekin Ronay Walon Ko Kabhi Hasaya Nahi Jata
Apno Or Geroon Ko Bhulana Asaan Hai Lekin
Dil Todnay Walay Ko Bhulaya Nahi Jata
Umeed Ban Ke Log Zindagi Mai Atey Hain
Khawab Ben Ke Ankhon Mai Sama Jate Hain

===============================

Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai

===============================

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tujh Ko Usse Juda Kare
Tere Lub Hansna Bhool Jaen
Or Teri Aankh Purnam Raha Kare
Usse Dekh Ke Tu Ruk Pare
Or Woh Nazar Jhuka Ke Chala Kare
Tujhe Hijr Ki Woh Jhari Lage
Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare
Tere Khuwab Bikhrain Tooot Kar
Use Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tu Nagar Nagar Phira Kare
Tu Galli Gallli Sada Kare
Tujhe Ishq Ho Phir Yaqeen Ho
Use Tasbeehon Pe Parha Kare
Main Kahoon Ke Ishq Dhong Hai
Or Tu Nahin Nahin Kaha Kare

===============================

Viewing all 1232 articles
Browse latest View live