Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge
Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge
Dekh K Jalegi Duniya Saari,
Is Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge
Denge Salaami Sab Humko,
Jab Pyar Ko Hum Bayaan Karenge
Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam,
Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge
Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar
Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge
Saaye Ki Tarah Tujhse Liptey Rahenge
Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge
Dard Se Na Rahe Tere Taalukat Kabhi
Khuda Se Bus Yahi Fariyad Karenge
Khatam Na Ho Kabhi Pyar K Silsiley
Qayaamat Tak Tera Hum Intezar Karenge..
============================
Aankh Ko Jaam Likho Zulf Ko Barsaat Likho
Jis Se Naaraaz Ho Uss Shakhs Kee Har Baat Likho
Jis Se Milkar Bhee Na Milne Kee Kasak Baaqee Hai
Usee Anjaan Shanaasaa Kee Mulaaqaat Likho
Jism Masjid Kee Tarah, Aankhein Namaazo?n Jaisee
Jab Gunaaho?n Mein Ibaadat Thee Vo Din -Raat Likho
Iss Kahaanee Ka To Anjaam Vahee Hai Jo Thaa
Tum Jo Chaaho To Muhabbat Kee Shuruaat Likho
Jab Bhee Dekho Use Apnee Nazar Se Dekho
Koee Kuchh Bhee Kahe Tum Apne Khayaalaat Likho
=============================
Insaan Mein Haivan Yahan Bhe Hai Vahan Bhi
Allah Nigah-E-Baan Yahaan Bhi Hai Vahan Bhi
Khunkhaar Darindo?n Ke Faqat Naam Alag Hain
Shahro?n Mein Bayaabaa?n Yahaan Bhi Hain Vahaan Bhi
Rahmaan Ke Qudarat Ho Ya Bhagvan Ke Moorat
Har Khail Ka Maidaan Yahaan Bhee Hai Vahaan Bhi
Hindo Bhi Maze Mein Hain Musalman Bhi Maze Mein
Insaan Pareshan Yahan Bhi Hai Vahan Bhi
Uthata Hai Dil-O-Jaan Se Dhuaa?n Dono Taraf Hey
Ye ?Meer? Ka Deevan Yahan Bhi Hai Vahan Bhi