Kehtay hain ik faraib musalsal hai zindagi
Is ko bhi wakf-e-hasrat-harmaa’n bana diya. .
======================
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost . !
Tamaam raat sulagty hain dil k veeranay. .
======================
Koi sota ho jaisay doobti kashti k takhtay per. .
Agar kuch hai to bus itni hi is duniya ki rahat hai. .
======================
Zamanay mein dukh tou aur bhi boht they lekin
Na janay kyun wo dukh mujh ko badal gaya. .
======================
Dil to jal chukka hai hijr mein tery. . !
Aur hum bhi marney k saharay dhoondtay hain. . !
======================
Ye ajab majra ho gaya hai. . !
Har cheiz mein tu hi nazar aaye
======================
Kaha tha kis ne ehd-e-wafa karo us se?
Jo youn kiya hai to phir kyun gila karo us se?
======================
Kia dam haqeeqat’on ka bharay koi haq-parast. .
Mamool ho chuka hai jahan khuwab dekhna. . !
======================
Kisi ki bazm-e-tarb mein hayaat banti thi. .
Umeedwar’on mein kal maut bhi nazar aai. . !
======================
Kyun surkh hain naqsh-e-kaf-e-paa raah-e-talab mein?
Koi na kahay, Paon ki zanjeer kahay gi. . !
↧
Sad Shayari – Kehtay hain ik faraib musalsal hai zindagi
↧