Zafar admi us ko na jane ga ho wo kaisa hi sahab e fehm o zaka,
Jise ishq me yad e khoda na rahi jise taish me khof e khoda na raha.
Daikh kar bhi tere jalwe nahin daikhe jate,
Wohi pabandie adaab e nazar hai k jo thi.
Aye khuda teri shaan dekh raha hun
Bina satoon kay khara asmaan dekh raha hun
Teri jalwa giri hai jaga jaga
Teri ibadat say gafil yah jahan dekh raha hn
Zindagi mein kuch na de sako to na sahi.
Agr tum se pehle mar jaun to bakhshish ki dua zarur dena…!..
“Anmol Bat”
Jab “RAB” se baat karne ko dil chahe to “NAMAZ” parha karo,
Or jab tm chahte ho k “RAB” tm se baat kare to “QURAN” parha karo.
Ibtida hø kuch is tarha se tery naam k sath, ( YA ALLAH )
K din guzar jaye teri rahmatøn k nazøøl men..!!
Mere aamal ka badla to jahannum hi tha
Maii to jaata magar sarkar(s.a.w.)ne jaane na diya