Baat meri kabhi suni hi nahin,
Jaante woh buri bhalli hi nahin,
Dillagi un ki dillagi hi nahin,
Ranj bhi hai faqat hansi hi nahin,
Lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid,
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin,
Urr gayi yuun wafaa zamaane se,
Kabhi goya kisi main thi hi nahin,
Jaan kya duu ke jaanta hoon main,
Tum ne yeh cheez le ke dii hi nahin,
Hum to dushman ko dost kar lete,
Pr karen kya teri khushi hi nahin,
Hum teri aarzuu pe jeete hain.
Yeh nahin hai to zindagi hi nahin,
Daag kyun tum ko bewafa kehta,
Woh shikayat ka aadmi hi nahin..
*************************
Hamare khat main neya ik salaam kis ka tha,
Na tha raqeeb to aakhir woh naam kis ka tha,
Woh qatl kar ke mujhe har kisi se puchte hain,
Yeh kaam kis ne kiya hai yeh kaam kis ka tha,
Wafa karen ge nibhayen ge baat maanen ge,
Tumhen bhi yaad hai kuch yeh kalaam kis ka tha,
Raha na dil main woh bedard aur dard raha,
Muqeem kaun hua hai maqaam kis ka tha,
Naa puch-gachh thi kisi ki wahan na aao-bhagat,
Tumhari bazam main kal ehtimaam kis ka tha,
Hamare khat ke to purze kiye parrha bhi nahin,
Suna jo tu ne ba-dil woh payaam kis ka tha,
Guzar geya woh zamana kahoon to kis se kahoon,
Khayaal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha,
Har ik se kehte hain kya “dagh” bewafa nikla,
Yeh puche un se koi woh ghulaam kis ka tha..
*************************
Aarzuu hai wafaa kare koi,
Jee na chaahe to kya kare koi,
Gr maraz ho davaa kare koi,
Marne wale ka kya kare koi,
Kosstay hain jale huye kya kya,
apne haq main duaa kare koi,
Un se sab apni apni kehte hian,
Mera matlab adaa kare koi,
Chaah se aap ko to nafrat hai,
Mujh ko chaahe khuda kare koi,
Iss gile ko gila nahin kehte,
Gar maze ka gila kare koi,
Yeh mili daad ranj-e-furqat ki,
Aur dil kaa kahaa kare koi,
Tum saraapa ho suurat-e-tasveer,
Tum se phir baat kya kare koi,
Kehte hain hum nahin khudaa-e-kareem,
Kyun hamari khataa kare koi,
Jis mei laakhon baras ki huuren hon,
Aisi jannat ko kya kare koi,
Is jafaa pr tumhe tamanna hai,
Ke meri iltijaa kare koi,
Muun lagaate hi Daagh itraaya,
Lutf hai phir jafaa kare koi..
*************************
phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar
ye bala ghar se nikli hui ai kyon kar
tu ne ki gair se meri burai kyon kar
gar na thi dil main to lab par tere ai kyon kar
tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne mana
man jayegi ise sari khudai kyon kar
aina dekh k vo kahne lage ap hi ap
aise achon ki kare koi burai kyon kar
kasrat-e-ranj-o-alam sun k ye ilzam mila
itne se dil main hai itnon ki samai kyon kar
dag kal tak to dua ap ki maqbul na thi
aj munh mangi murad ap ne pai kyon kar