Quantcast
Channel: Shayari
Viewing all articles
Browse latest Browse all 1232

Humain To Woh Bohat Achey Lage Hain + 4 Ghazals By Amjad Islam Amjad

$
0
0

Humain to woh bohat achey lage hain,
Najane hum unhen kese lage hain,

To kya yeh par nikalne ka hai mausam,
Hawaa main jaal se khulney lage hain,

Naye qaatil ka istaqbaal hai kya,
Puraney zakham kyon bharney lage hain,

Ajab hai yeh talissm* hum-zubaani,
Paraaye log bhi apne lage hain,

Dilon ka bhaid* Allah janta hai,
Bazaahir* aadmi achey lage hain..

*****************************

Chale gi yeh pareshaani kahan tak,
Bata aye ghar ki veerani kahan tak,

Bohat lambi thi ab ke, khushk’saali*,
Barastaa ankh se paani kahan tak,

Tere tootey huye gajron ke hote,
Mehekti raat ki raani kahan tak,

Rukey gi kab talak saanson mein khushbu,
Urrey ga rang yeh dhaani kahan tak,

Khilona hai isey to tootna hai,
Karain dil ki nigehbaani* kahan tak,

Usey baadal bulate hain hamesha,
Samandar main rahe paani kahan tak..

*****************************

Aaj yu’n muskuraa ke aye ho,
Jese sab kuch bhulaa ke aye ho,

Yeh nishani hai dil ke lagne ki,
Yeh jo tum aaj jaa ke aaye ho,

Bhool kar bhi jis tarah koi aye,
Sheher mein yu’n wafaa ke aye ho,

Kyon jhapakti nahin meri ankhain,
Chandni main nahaa ke aye ho,

Dil samandar mein chaand sa utra,
Kesi khushbu laga ke aye ho,

Subah ki avleen kiran ki tarah,
Raat saari jagaa ke aye ho,

Kya bahana bana ke jana hai,
Kya bahana bana ke aye ho,

Koi jhonkey se kis tarah pooche,
Kitni shamain bhujaa ke aye ho,

Aagaye ho to aao, Bismillah,
Der lekin lagaa ke aye ho,

Be’kali is qadar kyon Amjad,
Kya kahin kuch ganwaa ke aye ho..

*****************************

Nahin ab jahan pe nishaan bhi,
Yahan log bhi they makaan bhi,
Meri aarzuu main jiye woh,
Mujhe kab tha aesa gumaan bhi,

Teri berukhi ke fishaar se,
Kabhi mil sake gi amaan bhi,
Kisi khaakdaan ke hisaar main,
Meri khawhishon ka jahan bhi,

Ajab uss ka rang-e-jamaal hai,
Ke chamak utha hai makaan bhi,
Ajab us haseen ka khayal hai,
Ke mehak utha hai gumaan bhi,

Isi aasmaan ki chhat talay,
Mera aashiyan bhi urraan bhi,
Tere ik ishaare ke muntazir,
Yeh zameen bhi zamaan bhi,

Tere chashm-e-khush ki panaah main,
Mere khawb bhi mere maan bhi,
Main jahan geya mere sath thi,
Meri umar bhar ki thakaan bhi..


Viewing all articles
Browse latest Browse all 1232

Trending Articles