Koi mausam ho, dil mein hai tumhaari yaad ka mausam,
Ke badla hee naheen jaanan tumhare baad ka mausam,
Nahee tou aazma ke dekh lo, kaisay badalta hai,
Tumhaaray muskaraanay se dil-e-nashaad ka mausam,
Parindon ki zubaan badli, kahin se dhoond le tu bhi,
Nayi tarzz-e-fawaan ae dil ke hai ijaad ka mausam,
Ruton ka qaayeda hai, waqt pe aati jaati hain,
Hamare sheher main kyun ruk gaya faryaad ka mausam,
Kahin se uss haseen ki awaz ki khushbuu pukaare gi,
To uss ke sath badle ga dil-e-barbaad ka mausam,
Kaheen se os haseen awaaz ki khusbuu pukaaray gi,
Tou is ke saath badlay ga dil-e-barbaad ka mausam,
Qaffass ke baam-o-dar mein roshni si aayi jaati hai,
Chaman mein aagaya shayad lab-e-aazaad ka mausam,
Mere sheher-e-pareshaan mein teri be-chaand raaton mein,
Bohat hee yaad karta hun teri bunyaad ka mausam,
Na koi gham khizaan ka hai, na khwaahish hai bahaaron ki,
Hamaaray saath hai “amjad” kisi ki yaad ka mausam..
*****************************
Koi bhi aadmi pura nahin hai,
Kahin ankhain kahin chehra nahin hai,
Yahan se kyon koi begana guzre,
Yeh mere khawb hain rasta nahin hai,
Jahan par they teri palkon ke saye,
Wahan ab koi saaya nahin hai,
Zamana dekhta hai har tamasha,
Yeh larka khel se thakta nahin hai,
Hazaron sheher hain hamraah us ke,
Musafir sheher mein tanhaa nahin hai,
Yeh kese khawb se jaagi hain ankhain,
Kisi manzar pe dil jamta nahi hai,
Jo dekho to har ik jaanib samandar,
Magar peeney ko ik qatra nahin hai,
Khudaa ki hai yehi pehchaan shayed,
Ke koi aur us jesa nahin hai..
*****************************
Jab bhi ik shaam yaad ati hai,
Jese duniya theher si jati hai,
Ik taraf dil hain, Ik taraf duniya,
Aur yeh scene kayenaati hai,
Yu’n bhi hota hai sher, baaz aukat,
Jese bijli si koond jati hai,
Maut se ham’kalaam hone ke,
Zindagi raste dikhati hai,
Haar hoti hai aarzi, us ko,
Be-dili mustakil banati hai,
Haadsey aik pal nahin rukte
Zindagi hai ke chalti jati hai,
Us ke dam se hain ronaq’en sari,
Yeh jo dunya ki be-sabaati hai,
Baat koi samajh nahin ati,
Baat itni samajh mein ati hai..
*****************************
Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,
Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,
Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,
Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,
Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,
Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,
Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,
Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?
*****************************
Sitaron ko badalna chahate hain
Tare ham rah chalna chahte hain
Bohat barhaq sahe, paste hamare
Magar ab ham sanbhalna chahte hain
Sehar jase bhe ho, pher bhe sehar he
Shab-e-gum se nikalna chahte hain
Chaton se barf rokhsat ho rahe he
Ye mosam ab badalna chahte hain
Mehakte shokh jazbon ke tarha ham
Tare dill men machalna chahte hain
Nahe rokte same ke teez andhe
Deye to kab se jalna chahte hain