Saray parind so gaye, khuwab nagar mein kho gaye, ,
Ows mein bheegta raha, raat ko baagh mein koi. . !
=======================
Hum ehl-e-qafas tanha bhi nahi, har roz naseem-e-subha-e-watan
Yaado’n se mo’atar aati hai, ashko’n se munawwar jaati hai. . !
=======================
Hum sehel-talab kon se farhaad they lekin. .
Ab sheher mein tere, koi hum sa kahan?
=======================
Hum ne khud se bhi chupaya aur saray sheher ko. .
Teray janay ki khabar deewar-o-dar karty rahy. . !
=======================
Hum tou samjhy thy k ik zakhm hai bhar jaye ga
Kia khabar thi k rag-e-jaa’n mein uter jaye ga. . !
=======================
Hum se pehly bhi ye martaba-e-daar na tha
Ishq ruswa tha magr yun sar-e-bazaar na tha!
=======================
Hamary paao’n mein tum ne zanjeer-e-wafa daali, ,
Tumhary haath se kyun rishta-e-mehr-o-karam choota. . !
=======================