Quantcast
Channel: Shayari
Viewing all articles
Browse latest Browse all 1232

Two-Line Shayari – Mein sheher bhar mein aik hi eeza-pasand hoon

$
0
0

Mein sheher bhar mein aik hi eeza-pasand hoon
Gar chahiye dua tou mera dil dukhaiye. . !

=======================

Meray fann ka daaira phailay ga meray baad bhi
Phool murjhaye to khushbu ka safar rukta nahi’n. .

=======================

Majrooh jin se dil hi nahi’n, Rooh tak hui. .
Wo teer ittefaq se ik aashna ka tha. . !

=======================

Mae se gharz nishaat hai kis rosiyah ko. .
Ik gona-e-be-khudi, Mujhy din raat chahiye. .

=======================

Muflisi hiss-e-latafat ko mita deti hai. .
Bhook aadab k saanchay mein nahi’n dhal sakti. . !

=======================

Mein akela hi chala tha janib-e-manzil,
Log sath aaty gaye aur kaarwa’n banta gaya. . !

=======================

Na ganwao nawik-e-neem-kash, Dil-e-reza reza ganwa diya
Jo bachay hain sung samait lo, Tan-e-dagh dagh luta diya.

=======================


Viewing all articles
Browse latest Browse all 1232

Trending Articles