Gard nafrat ki na gali’on mein urrai jaye
Aag ghar ghar siyasat ki na lagai jaye. . !
=======================
Gulshan parast hoon mujhy gul hi nahi aziz
Kaanto’n se bhi nibah kiye ja raha hoon mein.
=======================
Ghoongat k peechay dekh k tera haseen rukh
Seekha hai mahtaab ne chupna sahaab mein. .
=======================
Gali gali meri waraftagi k charchay hain
Kahan Kahan Mery ehsaas ko chupaogay. .
=======================
Gohr-e-wafa ki muhabbat k roz-o-shab ka khayal
Ye meri aankh bhi kia kia uchalti jaye. .
=======================
Guzarney walay youn sarsari na guzar dil se
Muskan shikasta sahi per makeen rakhta tha. !
=======================
Gae ruto’n k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?
=======================