‘faiz’ zinda rhain wo hain to sahi..
Kia hoa agar wafa shanas nahi!!
=======================
Faida kia hai agar ab wo milay bhi to ‘muneer’..!
Umar to beet gae rah par latay is ko..
=======================
Faraib-e-dosti to kha gaya hun main..!
Magar kuch tery nazdek agya hun main..
=======================
Qabar mein rakh k aziz-o-aqaarab ye kah gaye. .
Hum yahin tak sath aaye aagy teri taqdeer hai. . !
=======================
Qasar-e-jahan per to ghiray rehty hain baadal maut k. .
Qabar pe abad hayaat-e-jawidaa’n aaya to kia?
=======================
Qissa-e-shauq mein hain wo youn nigah’ain barham
Jaisy hum aaty hain kuch shikwa-e-heeja le kar. . !
=======================
Qadmo’n ko tery choomna aasaan hai lekin
Mein soch raha hoon tu khuda hai k bashar hai. .!
=======================