Quantcast
Channel: Shayari
Viewing all 1232 articles
Browse latest View live

Romantic Shayari – Khoyi Khoyi Si Dheemi Dheemi Si

$
0
0

Khoyi Khoyi Si
Dheemi Dheemi Si

Thori Unkahi
Thori Si Muskuraati

Do Dilon Ki Hai Ijazat
Mera Naam Hai Mohabbat

Do Dilon Ki Hai Ijazat
Mera Naam Hai Mohabbat

Bheege Sapney
Kachi Yaaadein

Choti Choti Dil Ki Baatein
Kehti Hai Yeh Zindagi

Kaisi Hai Deewangi
Koi Rehta Hai

Aahaton Ke Sahaarey
Choolun To Sansanahat

Mera Naam Hai Mohabbat
Choolun To Sansanahat

Mera Naam Hai Mohabbat
Kuch Tehreerein

Likhte Rehna
Apne Ghar Mein Chalte Rehna

Anjaani Baaton Mein Bhi
Hoti Hai Dil Ki Lagi

Sookhe Lamhon Mein
Baarishon Ke Kinaarey

Honton Pe Hai Shararat
Mera Naam Hai Mohabbat

Honton Pe Hai Shararat
Mera Naam Hai Mohabbat

Kanta na hota, toh
phool ki hefazath na hoti,

Andhera na hota,to
roshini ki zarurath na hoti,

Agar mil jati har khushi duniya me,
Toh dil ki mulaqath dard se na hoti
==========================


Romantic Shayari – Tanhai hai pyar mein Barbaadi hai pyar mein

$
0
0

Tanhai hai pyar mein
Barbaadi hai pyar mein

Aansoon hai pyar mein
Bebasi hai pyar mein

Gam bhi hai pyar mein
Haar bhi hai pyar mein

Hamein sab pata hai
Lekin kya kare

Hum bhi hai pyar mein!
When I die and go to Heaven ,

I will put your name on a golden star,
so that all the angels can see
how much you mean to me!

==========================

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo
Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo

Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain
Us ne kaha ke raat ko socha na karo

Maine kaha ke raat ko neend nahi aati
Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera
Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo

Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain
Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai
Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai

Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi
Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo

==========================

Main Khush-Naseebi
Hoon Teri, Mujhy Raas

Hy Tu
Tera Libaas Hoon Main

Aur Mera Libaas hy Tu
Zindagi Meri Tere Gird

Ghoomti Hy Faqat
Aam Hy Sara Jahan

Mere Liye Ek Khaas Hy Tu
Ajeeb Shai Hy

Mohabbat Main Kahin
Chala Jao?n

Tere Qareeb Hoon Main
Meri Pyaas Hy Tu ? !!!

Judaii Shayari – Teri Judai Or Yah July Ki Akhri Raat

$
0
0

Teri Judai Or Yah July Ki Akhri Raat ,
Mill Kar Jala Rahe Hain Mujh Ko …!

=============================
Bicharr ke tujh se na dekha gaya kisi ka milaap,
Urra diye hain parindey shajar pe bethe huye..
=============================

Ab Hum Visaal-e-Yaar Se Bezaar Hain Bohat,
Dil Ka Jhukao Hijar Ki Jaanib Balaa Ka Hai..
=============================

Wo Bhi Mujhe Aziz Tha Main Bhi Usay Pasand,
Phir Jaane Kya huwa Ke Mohabbat Nahin Rahi..
=============================

Itni Mazbooti Se Viraaney Ke Dar Band Huye,
Dil Mein Utri Na Koi Zaat, Teri Zaat Ke Baad..

=============================
Woh kehta tha Qabuliyat Ka ek waqt hota hai,
Hairan hun yeh soch kar maine kis pal usey nahi manga..!!!!
=============================

Agar Tu Itifakan Mil Bhi Jaye,
Teri Furqat Ke Sadmey Kam Na Honge..

Romantic Shayari – Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho

$
0
0

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho.

==========================

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain

Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai

Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai

Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho

Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?

==========================

Log milte hai bichhad jaate hai,
sirf dil ke taar chhed jaate hai,

yun tho lete hai hum hazaron naam,
par tum jaise log dil me utar jaate hai.

==========================

 

Funny Shayari – Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage

$
0
0

Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Kyuki Tumare Ghar Ki Ghanti Hum Hi Baja Kar Bhage
Aap Itrate Bahut Ho
Dil Ko Behlate Bahut Ho
Sochte Hai Aap Ko DINNER Par Le Jaye
Par Kya Kare ZALIM Tum Khate Bahut Ho
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Gaur Farmaaiga..
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Ek Cup Shubah.. Or Ek Cup Shaam Ko Pilaenge
Mere Marne Ke Baad Mere Doston,
Yu Aansoo Na Bahana,
Agar Meri Yaad Aaye To,
Sidhe Upar Chale Aana!!
Kitna Pyaar Karte Hain Tumse
Kaash Tumko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaye
Magar Aisa Na Ho Ke
Woh Hosh Mein Tab Aaaye
Jab Hum Gehri Neend Mein So Jaaye
Amiri Ke Khwab Dekhne Laga
Angreji Sharab Chakhane Laga
Baap Ne Kabhi Pager Nahi Dekha
Aur Beta Mobile Rakhne Laga!!!
Hathi Nay Kaha Ja Kar Hathni Ki Kabar Per
Sadqay Jaoon Tumhari Patli Kamar Per
Tum Bhi Becahara,Hum Bhi Becahara
Fittay Mu Tumhara,Fittay Mu Hamara
Lahore Ki Larkiyan Dholki Bajati Hain
Multan Ki Larkiyan Halwa Banati Hain
Faisla Bad Ki Larkiyan Kachorian Banati Hain
Karachi Ki Larkiyan Pagal Banati Hain
============================

Idher To Shehar Ke Ganjey Mairi Talaash Mein Hain
Udher Tamaam Lafangey Mairi Talaash Mein Hain
Main Unn Ka Maal Gaban Ker Ke Jab Say Bhaitha Hoon
Yateem Khaaney Ke Bachey Mairi Talaash Mein Hain
Mila Hai Nuskha Jawaani Palat Ka Jab Say Mujhey
Tumharey Shehar Ke Bhudey Mairi Talaash Mein Hain
Main Jinn Ke Waastey Jootey Chura Le Jail Gaya
Woh Ley Ke Haath Mein Jootey Mairi Talaash Mein Hain
Diya Hai Naam Kafan Chor Jab Say Tum Ne Mujhey
Puraani Qabron Ke Murdey Mairi Talaash Mein Hain
Patey Ki Baat Jo Moonh Say Nikal Gayi Paagal
Tumharey Shehar Ke Pagley Mairi Talaash Mein Hain

Judaii Shayari – Roney se to bichrey huye sathi nahin milte

$
0
0

Roney se to bichrey huye sathi nahin milte,
Maana ke yehi kaam din raat kiya..

=============================
Buss Aakhri Saans Hai,
Tum Aate Ho Ke Le Loon ?

=============================
Kehte ho k bichare koi mudat nahin guzari
Lagata hai kabhi tum ne celandar nahin daikha
=============================

Tumhare pass nahin to phir kis ke pass hai ?
Woh toot’ta Huwa dil akhir Gaya Kahan.???
=============================

Aa jaye Kisi Din Tu Aisa bhi Nahi lagta,
Lekin Woh Tera Wada Jhota bhi Nahi lagta.
=============================

Bohat Mushkil Ho Gaya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna,
Magar Woh Keh Gaya Hai Apna Khayal Rakhna…

=============================
Ab Unse Door Ka Bhi Waasta Nahi,
Jo Loog Mere Ratjagon Mein Shaamil Thay..

Yaad Shayari – Tujhe yaad karte hain har sans k bad

$
0
0

Tujhe yaad karte hain har sans k bad
Kabhi subh se pehle kabi sham k bad
Kabhi milo to kuch karen batein
Ek jam se pehle ek jam ke bad
Dil ki dewaron pe tera nam likte hain
Kabhi fursat mein kabhi kaam ke bad
Mere marne k bad b log tujhe pukarenge
Kabhi mere naam se pehle kabhi mere naam k bad…

===========================

Aj Teri Yaad Ne Mujhe Kuch Likhne Par Majboor Kiya
Aisa Laga Jese Tum Ne Bhi Mujhe Yaad Hai Zaroor Kiya.
Agar Thi Mujhse Itni Mohabbat Tumko Janam
To Phir Tum Ne Mujhe Kiun Khud Se Itna Door Kiya.

===========================

Phir palat aai hain barish ke sohani raatain,
Phir teri yaad main jalny k zamany aaye…

===========================

Teri yadon se bach niklun muje tadbir de koi,
Meri janib se har rasta teri ghar k janib nikalta hai..

===========================

Yadain Jaag Jati Hai Barisho K Mosam Mai
Har Ghari Satati Hai Barisho K Mosam Mai
Shaam B Kisi Surat,Chain Se Nahi Kat-ti
Subhain B Satati Hai Barisho K Mosam Mai
Zehn K Jarokay Mai Jab Koyi Sadaa Obray
Aankain Bheeg Jati Hai, Barisho K Mosam Main…..

===========================

Tu Koun Hay, Mera Kia Lagta Hay
Baar Ha Dil Main Sawaal Aata Hay
Aanch Aaye Girti Hoii Boondo Say Jab
Mujh Ko Yeh Khayal Aata Hay
Apni Nakaamiyan Apnay Dard Yoon Tu
Chupana Tujhay Kamaal Aata Hay
Jaan Laiti Hain Phir Bhi Aankhain Meri
Tujhay Kab Kiya Khayal Aata Hay
Aansoo Teray Ubhrain Nigahon Say Meri
Aisi Chahat Ko Kab Zawaal Aata Hay

===========================

Ishq Shayari – Bohot mudat se aisa hai k tum khamosh rehty ho

$
0
0

Bohot mudat se aisa hai k tum khamosh rehty ho

koi gehra hai gum shayad jisy chup chap sehty ho

unhi chalty hue tanha

koi gamgeen sa nagma tum aksar gungunaty ho

doran-e-guftago unhi milen nazron se jab nazren

to baten bhool jaty ho

kisi guum suum si halat main

ya phir barish k mosam main

faqat itna hi kehty ho

udasi bewaja si hai

bohot bojhal tabiyat hai

bata phir q nahin dety

Tmhen phie se MOHABAT ho gai hai

=================================

Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda Itne
Ki Chalne Se Pehle Meri Raahein Bikhar Jati Hai
Hazar Zakmo Ke Baad Aaj Aisa Aalam Hai Ke
Ishq Ke Naam Se Hi Rooh Sihar Jati Hai

=================================

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye
Saans Bhi Lo To Khushboo Usi Ki Aaye
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chhaaye
Baat Koi Bhi Ho Par Naam Usi Ka Aaye

=================================

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai
Ishq Nahi Kya To Kar Ke Dekho
Zalim Har Dard? Sehna Sikha Deta Hai

=================================

Raha Gurdishon Main Hardam Mere Ishq Ka Sitara
Kabhi Dagmagai Kishti Kabhi Kho Gia Kinara

Koi Dil K Khel Dekhe K Mohabbaaton Ki Bazi
Wo Kadam Kadam Pe Jeete, Main Kadam Kadam Pe Hara

Ye Hamari Bad Nasibi Jo Nahin Hai To Aur Kia Hai
K Usi K Ho Gai Hain, Jo Na Ho Saka Hamara

=================================

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho


Yaad Shayari – Khowab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarna Chahon

$
0
0

Khowab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarna Chahon
Phool Ban Kar Teray Qadmon Main Bikharna Chahon

Tu Chalay Saath Meray Saya -e- Gul Ki Manind
Ban Kay Main Mouj -e- Saba Tujh Say Ulajhna Chahon

===========================

Meri jaa.n sochti hon main
Agar tum mil na paay tu

Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaao.n gi!

Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaao.n gi!!

Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoo.n gi!!!

meri jaa.n sochti hon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!

Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoo.n gi!

Jo aadhi um’r jeeni hay
Wo main kaise bitaao.n gi!!

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!

Teri yaadai.n jo aae.n gi
Mujhe pal pal rulai.n gi

Merey Anchal ko kainchai.n gi
Mujhe kutch gud-gudai.n gi

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!!

Jo baatai.n tum sey karti hon
bhala kis ko bataao.n gi!

Naya jab sher likhoo.n gi
Tu main kis ko sunaao.n gi!!

meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!

Meri jaa.n Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoo.n gi

Yaad Shayari – hai azal se yun to jaari shab-o-roz ka tasalsul

$
0
0

hai azal se yun to jaari shab-o-roz ka tasalsul
tere sath din jo guzre kabhi loat kr na aye

===========================

Bss Teray Tasawur SAy Fursat He nai Milti…
Rehti Hain Teri Yaadaain Her Saans Say Wabasta…!

===========================

Yaad_e_Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye
Is Say Behtar Hai Kay Har Baat Bhula Di Jaye
Main nay Apno Kay Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya
Dil Kay Angan Mai Bhi Dewaar Utha Di Jaye
Mai Nay Yaroon Kay Bhicharne Say Ye Seekha “MOHSIN”
Apne Dushman Ko Bhi Jeene Ki Dua Di Jaye

===========================

Din Guzra tha bari Mushkil se
Phir tera wada e Shab yad aya

===========================

Kitne lgte the khobro hm \jab tmare sath the
They chand taron se ho ba ho hm\jab tmare sath the
Ab dobara sametney ki khud ko tago do kren ge
Bikhar gay the char soo hm \jab tmare sath the
Pehle c mehfil me che magoiyan SHAKIR na pehle se mudaha
Ab na wese he sukhan go hm\jab tmare sath the

===========================

Sad Shayari – Na Mila Dil Ka Qadar daan Is Zamaney main

$
0
0

Na Mila Dil Ka Qadar daan Is Zamaney main….
Yeh Rishtaa Toot Gaya Dekhney Dikhaaney Main…
Sochta Hon Ik Roz Shama Sey Poochon Sagar_
Maza Kis Mein Hai Jalney Main Ya Jalaney Main….!!!!!!!
========================
Kisi Musafir Ka Kabhi Aitbar Na Karna
Dosti Ki HadonKo Kbhi Par Na Krna
Kho Doge Use Hmesha K Liye
Isliye Jo Achha Lage Use Kabhi Pyar Na Karna.
========================
Us ki khamoshi se mujhe dar lagta hy,
Dor na ho jaye aisa Q lagta hy,
Dunia se Osay cheen lene ka hosla hy mujh me,
Lekin wo sath Na de ga aisa Q lagta hy.
========================
Hum Na Samjhay Teri Nazron Ka Taqaza Kya hai…
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kya Hai…
Teri Makhmoor Si Nighahon Main Ronaq Hai SAAQI…
Warna Is MaeKhanay Mein Rakha Kya Hai…
========================
Tabeer Jo Mill Jati To Ik Khuwaab bhot tha….
Jo Shakhs Ganwa Bethi Hon Nayaab Bhto Tha…..
Main kaise Bacha Leti Bhala Kashti_e_Dil Ko Sagar_
Darya_e_Muhabbat Main Saylaab Bhot Tha…
========================
Kabhi Yu Bhi Aa Meri Aankho Me Ki,
Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Tujhe-Bhulane Ki Dua Bhi Mangu,
To Meri Dua Me Asar Na Ho !
========================
Saari dunya k riwaajon se baghawat ki thi
Yaad aata hai kabhe Ham ne muhabbat ki thi
Os ko hanstay howay chorha tha magar ghar aa kar
Etna royay thai k aankhon ne shikaayat ki thi
========================
Daraz Palkain Visal
Ankhen
Musawari Ka Kamal
Ankhen
Sharab Rab Ne
Haram Kar Di
To Phir Kyun Rakhi’n
Halal Ankhen
Hazaron inse Qatal
Huay Hain
Khuda K Bande
Sambhal Ankhen…
========================

 

Sad Shayari – Kis haal mein hain terey sataey huey ghareeb

$
0
0

Kis haal mein hain terey sataey huey ghareeb,
Tuu ney yeh puchhney kee zehmat kabhi naa kee.
Chaha hai jis ko main ney bari shiddaton k sath,
Iss tarha uss ney mujh sey mohabbat kabhi naa kee.
========================
Pyaas aisi ke pee jaaun samunder saare,
Naseeb aisa ke Mayassar zeher bhi nahi,
Wafaayein koyi humse seekhe ,
Jisse toot ke chaha Usse khabar bhi nahi
========================
Jatay thay mere haq mein sab hi faislay magar,,
munsif ne bhi har baar diya saath ussi ka,,
Ek wo hai k yun Tor diye rishtay sabhi hum se
Ek DIL hai ke rehta hy tarafdaar ussi ka…..!!!!!
========================
Suno!!
Mujhe Har Pal Tumhari
Yaad Aati Hai,
Kabhi Saanso K
Chalne Pe,
Kabhi Dil K
Machalnay Pe,
Kabhi Barish
Barasnay Pe,
Kabhi Aankhen
Chalakne Pe,
Kabhi Chanda
Nikal Pe,
Kabhi Suraj K
Dhalne Pe,
Kabhi Shab K
Andheron Me,
Kabhi Din K
Sawairon Me,
Kabhi Logo K
Melay Me,
Kabhi Tanha
Akele Me,
Tumhari,
Bus Tumhari Yaad
Aati Hai…
Suno!!
Mujhe Har Pal Tumhari
Yaad Aati Hai.
========================

========================
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
========================
Woh rula kar hans na paya der tak
jab mein ro kar muskuraya der tak
bhoolna chaha kabhi us ko agar
aur woh yaad aya phi der tak
be-sakhta mein khud hi hanss parra
us ne is darja rulaya der tak
bhookey bachon ki tasali ke liye
maan ne phir paani pakaya der tak
gungunata howa ja raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der tak
kal andheri raat mein meri tarah
ik jugnu jagmagaya der tak
========================

Dhoka Shayari – Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai

$
0
0

Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai
Dhoka Shayari
Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai,
Kuch Tou Dunya Se Munfarid Kartay !!
=============================

Mery mehboob ne wada kia hai
Dhoka Shayari
Mery mehboob ne wada kia hai panchve’n din ka,
kisi se sun kiya hoga ye duniya chaar din ki hai..!
=============================

Lehron se khailna to sagar ka shoq hai
Dhoka Shayari
Lehron se khailna to sagar ka shoq hai,
Lagti hai chott kaise, kinaroon se poochiye…

=============================

Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar Chalte,
Main Ne Mohabaat Main Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..!!

=============================

Dekhay Ga Kisi Aur Ke Hamrah Wo Mujhy Kya,
Wo Shakhs To Mujh Ko Mera Bhi Hony Nahi Deta.

=============================

Haal e dil to khul chuka is sheher mein har shakhs per,
Haan magar iss sheher mein ik bekhabar bhi dekha hai..

=============================

Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye,
Kabhi ik baat hi se insaan toot ke bikhar jatey hain..

Sad Shayari – Mein Dil Ka Ameer Muqaddar Ka Ghari

$
0
0

Mein Dil Ka Ameer Muqaddar Ka Ghari? Thaa
Mil K ?ichadna Mera Nasee? Thaa
Chaah K ?hi Kuch Nakar Sake Hum
Ghar ?hi Jaltaa Raha Aur Samandar ?hi Qaree? Thaa
========================
Mohabbat Jab Sakoon e Zindgi Barbad Kerti Hay
To Labb Khamosoh Rehtey Hein Nazar Fariyad Kerti Hay
Jiggar Rahey Wafa Mein Nakash Essy Choher Aya Hoon
Ke Duniya Dekhiti Hay Oar Abb Tak Yaad Kerti Hay
========================
Wo aaj bhe sadyon ki masafat pe kharha hai
Dhonda tha jisay waqt ki dewaar gira kar
Iss shab ki muqaddar mein sahar hee nahe Mohsin
Dekha hai kae baar chiraghon ku bujha kar
========================
Uddaasi ki to ab aadat si hai humain,
Khushiyon ko ab Dil anjan kehta hai,
Chahat thi jis ki wo nhi hua apna,
Yun to apna humein saara jahan kehta hai…!
========================
Wo kuch sunta to mein kheta, Mujhy kuch aur khena tha,
Wo Pal bhar ko jo Ruk jata, mujhy Kuch aur khena tha,
Galat Fehmi ny Batoon ko barha dala yunhi warna,
Kaha tha kuch Wo Smjha kuch, Mujhy kuch aur khena tha….
========================
kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoN
tu phirey qarya ba qarya ku ba ku mere liye
maiN to ho jaoN kisi thehre samndur ki tarah
tu bahe darya ba darya ju ba ju mere liye ….
========================
Mujh se ye
log kehtay hain
Kahan DiL chhor aaye ho?
Bohat
chup chaap
…rehtay ho
Na bantay
na sanwartay
Ho Na koi baat
kartay ho
Bhari Mehfil mein bhi aksar
Hamesha khoye
rehtay ho
Uddasi
aankhon mein
le kar
har ik
chehray ko
tuktay ho
koi jab yaad
aata hai
Tu Thandi aah
bhartay hoTu khul kar
Q nahi kehtay
kisi ko yad
kartay ho….
========================

Dard Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay

$
0
0

Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay
dil jisy kehtain hy wo saz hy juda sab sy

======================

Tooti fasil-e-lab na dar chasme wa hawa
ghut ghtu kar mar gia mery andar ka admi

======================

Thokar sy mera paon zakhmi tu howa zaroor
rasty mai jo kharda tha wo khosar hat gia

======================

Toot gia jab dil ka rishta,ab kuin rezy chunti ho
rezon sy bhi kabhi kesi ny shesha phir banaya hy

======================

Tu mery ek hi gham ko jo ordh ly tan par
mai tery sary dukhon ka libas ho jaon

======================

Tord kar khud apny haton khuwab ke sab aeyny
nagy paon karchiyon par ghomna kesa laga

======================

Tumhara kia hy tumhey tu bas bazi sy taluq hy wajbi sa
ye khail hy meri zindagi ka, ka mera jo kuch hy dao par hy

======================

Tamam umar hi guzri hy dastaken suntay
hamey tu ras na aya khud apny ghar rehna

======================

yaksaan kabhi kisi ki zamanay main
yaadsh bakheer bethay thay kal aashiaanay main


Dard tum to soo baar maan jao gay

$
0
0

tum to soo baar maan jao gay
dil hamara bahl nahi sakta

======================

dkh ki baatain meri baatain
sukh ki baatain sab ki baatain

======================

Khamosh zubaan par talkhi aahi jati hai,
Dard apnon ne dia ho tu yah batain aahi jati hai..

======================

Ek din tu meri roh ke zakhmo ka hal poch
ek pal qadam tu rook, palat kar kalam kar

======================

Peeti rahi hy chandni muje ko tamam shab
shbnam ki aanch paird ki chaon may qaid hy

======================

Piyar ki shakh tu jaldi samar lay ai
dard ke phool bardi dair may ja kar niklay

======================

Panyon ki nazar ho jata ho  khud kagaz ki kashti ki tarah

jis tarah phir moj lay jati hy muje ko us taraf behta ho may

======================

Palat ke any wala shaks koi or hota hy

bichardny waly tu loot ke aya nay jata

======================

Pehly to sary ghar may esay dhondti rahi

phir mery sath sisakny lagi raat

 

Mashoor Ashaar – Famous Shayari for WhatsApp مشہور اشعار

$
0
0

ā.īna kyuuñ na duuñ ki tamāshā kaheñ jise
aisā kahāñ se lā.ūñ ki tujh sā kaheñ jise

by
MIRZA GHALIB

—-

āgāh apnī maut se koī bashar nahīñ
sāmān sau baras kā hai pal kī ḳhabar nahīñ

HAIRAT ALLAHABADI

—-

aahoñ se soz-e-ishq miTāyā na jā.egā
phūñkoñ se ye charāġh bujhāyā na jā.egā

by
AMEER MINAI

—-
āḳhir gil apnī sarf-e-dar-e-mai-kada huī
pahuñchī vahīñ pe ḳhaak jahāñ kā ḳhamīr thā
JAHANDAR SHAH JAHANDAR

—-
aate aate aa.egā un ko ḳhayāl
jaate jaate be-ḳhayālī jā.egī

Yaad
JALEEL MANIKPURI

—-

ab to jaate haiñ but-kade se ‘mīr’
phir mileñge agar ḳhudā laayā

by
MIR TAQI MIR

—-

agar baḳhshe zahe qismat na baḳhshe to shikāyat kyā
sar-e-taslīm ḳham hai jo mizāj-e-yaar meñ aa.e

NAWAB ALI ASGHAR

—-
ai sanam vasl kī tadbīroñ se kyā hotā hai
vahī hotā hai jo manzūr-e-ḳhudā hotā hai

, Filmi
BARQ MIRZA RAZA

ai ‘zauq’ dekh duḳhtar-e-raz ko na muñh lagā
chhuTtī nahīñ hai muñh se ye kāfar lagī huī

Sharab, Maikashi,
SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

—-
ajiib lutf kuchh aapas ke chheḌ-chhāḌ meñ hai
kahāñ milāp meñ vo baat jo bigāḌ meñ hai

INSHA ALLAH KHAN ‘INSHA’
‘anīs’ dam kā bharosā nahīñ Thahar jaao
charāġh le ke kahāñ sāmne havā ke chale

, Maut
MEER ANEES

==
bāġhbāñ ne aag dī jab āshiyāne ko mire
jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage

, Dhoka
SAQIB LAKHNAVI

bahut jī ḳhush huā ‘hālī’ se mil kar
abhī kuchh log baaqī haiñ jahāñ meñ

ALTAF HUSSAIN HALI

bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ

, Aahat, Filmi
FIRAQ GORAKHPURI

baiTh jaatā huuñ jahāñ chhāñv ghanī hotī hai
haa.e kyā chiiz ġharīb-ul-vatanī hotī hai

HAFEEZ JAUNPURI

bajā kahe jise aalam use bajā samjho
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā samjho

SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

bandish-e-alfāz jaḌne se nigūñ ke kam nahīñ
shā.erī bhī kaam hai ‘ātish’ murassa-saaz kā

Sher,
HAIDAR ALI AATISH

==
be-ḳhudī be-sabab nahīñ ‘ġhālib’
kuchh to hai jis kī parda-daarī hai

Bekhudi,
MIRZA GHALIB

bhāñp hī leñge ishāra sar-e-mahfil jo kiyā
tāḌne vaale qayāmat kī nazar rakhte haiñ

, Filmi
MADHAV RAM JAUHAR

chal saath ki hasrat dil-e-marhūm se nikle
āshiq kā janāza hai zarā dhuum se nikle

Aashiq,
MIRZA MOHAMMAD ALI FIDVI

==
chaman meñ iḳhtilāt-e-rang-o-bū se baat bantī hai
ham hī ham haiñ to kyā ham haiñ tum hī tum ho to kyā tum ho

Filmi
SARSHAR SAILANI

===
chuuñ sham-e-sozāñ chuuñ zarra hairāñ ze mehr-e-aañ-mah bagashtam āḳhir
na niiñd naināñ na añg chaināñ na aap aave na bheje patiyāñ

Khat, Neend, Hijr, , Judai
AMEER KHUSRAU

dil ke phaphūle jal uThe siine ke daaġh se
is ghar ko aag lag ga.ī ghar ke charāġh se

Chiragh, , Filmi, Dil

MAHTAB RAI TABAN

==
diloñ ko fikr-e-do-aalam se kar diyā āzād
tire junūñ kā ḳhudā silsila darāz kare
HASRAT MOHANI

==

ik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā hai
simTe to dil-e-āshiq phaile to zamāna hai

Mohabbat, Ishq, , Filmi, Love
JIGAR MORADABADI

==

farishte se baḌh kar hai insān banñā
magar is meñ lagtī hai mehnat ziyāda

, Insaan
ALTAF HUSSAIN HALI

===
fasl-e-bahār aa.ī piyo sūfiyo sharāb
bas ho chukī namāz musallā uThā.iye

Sharab,
HAIDAR ALI AATISH

garmi-e-hasrat-e-nākām se jal jaate haiñ
ham charāġhoñ kī tarah shaam se jal jaate haiñ

, Filmi

QATEEL SHIFAI

===

ġhazal us ne chheḌī mujhe saaz denā
zarā umr-e-rafta ko āvāz denā

Waqt, Zindagi, , Filmi
SAFI LAKHNAVI

===
go zarā sī baat par barsoñ ke yārāne ga.e
lekin itnā to huā kuchh log pahchāne ga.e

KHATIR GHAZNAVI

hai justujū ki ḳhuub se hai ḳhuub-tar kahāñ
ab Thahartī hai dekhiye jā kar nazar kahāñ

, Justaju
ALTAF HUSSAIN HALI

ham jis pe mar rahe haiñ vo hai baat hī kuchh aur
aalam meñ tujh se laakh sahī tū magar kahāñ

ALTAF HUSSAIN HALI

====
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke ḳhush rakhne ko ‘ġhālib’ ye ḳhayāl achchhā hai

, Filmi, Jannat, tanz
MIRZA GHALIB

ham ko miTā sake ye zamāne meñ dam nahīñ
ham se zamāna ḳhud hai zamāne se ham nahīñ

Hausla, , Filmi, Motivational
JIGAR MORADABADI

===

hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle
bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle

Hasrat, Aarzoo, Tamanna, , Filmi

MIRZA GHALIB

hazāroñ saal nargis apnī be-nuurī pe rotī hai
baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ diida-var paidā

, Filmi, Tribute
ALLAMA IQBAL

==
hazrat-e-daaġh jahāñ baiTh ga.e baiTh ga.e
aur hoñge tirī mahfil se ubharne vaale

DAGH DEHLVI

==
hue nāmvar be-nishāñ kaise kaise
zamīñ khā ga.ī āsmāñ kaise kaise

, Filmi, Maut
AMEER MINAI

—0
iid kā din hai gale aaj to mil le zālim
rasm-e-duniyā bhī hai mauqa.a bhī hai dastūr bhī hai

Filmi, Eid
QAMAR BADAYUNI
ishq ik ‘mīr’ bhārī patthar hai
kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai

Mohabbat, Ishq, , Love

MIR TAQI MIR

ishq ne ‘ġhālib’ nikammā kar diyā
varna ham bhī aadmī the kaam ke

Ishq,

MIRZA GHALIB

jahāñ rahegā vahīñ raushnī luTā.egā
kisī charāġh kā apnā makāñ nahīñ hotā

Chiragh, , Motivational
WASEEM BARELVI

kah rahā hai shor-e-dariyā se samundar kā sukūt
jis kā jitnā zarf hai utnā hī vo ḳhāmosh hai

NATIQ LAKHNAVI
ḳhabar sun kar mire marne kī vo bole raqīboñ se
ḳhudā baḳhshe bahut sī ḳhūbiyāñ thiiñ marne vaale meñ

, Filmi

DAGH DEHLVI
ḳhanjar chale kisī pe taḌapte haiñ ham ‘amīr’
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai

, Unity
AMEER MINAI
ḳhud apnī mastī hai jis ne machā.ī hai halchal
nasha sharāb meñ hotā to nāchtī botal

Sharab, , Filmi
ARIF JALALI
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai

khudi, , Filmi, Motivational
ALLAMA IQBAL

khultā kisī pe kyuuñ mire dil kā mo.āmla
sheroñ ke intiḳhāb ne rusvā kiyā mujhe

Sher,
MIRZA GHALIB

kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se tauba
haa.e us zuud-pashīmāñ kā pashīmāñ honā

Jafa, , Filmi, Qatil

MIRZA GHALIB

koī haath bhī na milā.egā jo gale miloge tapāk se
ye na.e mizāj kā shahr hai zarā fāsle se milā karo

, Fasla
BASHIR BADR

koī kyuuñ kisī kā lubhā.e dil koī kyā kisī se lagā.e dil
vo jo bechte the davā-e-dil vo dukān apnī baḌhā ga.e

, Mayoosi, Filmi
BAHADUR SHAH ZAFAR
kuchh to majbūriyāñ rahī hoñgī
yuuñ koī bevafā nahīñ hotā

Majburi, , Bewafai

BASHIR BADR
kyā roz-e-bad meñ saath rahe koī ham-nashīñ
patte bhī bhāgte haiñ ḳhizāñ meñ shajar se duur

, Filmi, Khizan
IMAM BAKHSH NASIKH
laa.e us but ko iltijā kar ke
kufr TuuTā ḳhudā ḳhudā kar ke

, But
PANDIT DAYA SHANKAR NASEEM LAKHNAVI
lagā rahā huuñ mazāmīn-e-nau ke phir ambār
ḳhabar karo mere ḳhirman ke ḳhoshā-chīnoñ ko

MEER ANEES

lage muñh bhī chiḌhāne dete dete gāliyāñ sāhab
zabāñ bigḌī to bigḌī thī ḳhabar liije dahan bigḌā

HAIDAR ALI AATISH

maiñ akelā hī chalā thā jānib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kārvāñ bantā gayā

Manzil, Mashwara, , Safar, Filmi, Motivational
MAJROOH SULTANPURI

maktab-e-ishq kā dastūr nirālā dekhā
us ko chhuTTī na milī jis ko sabaq yaad huā

Mohabbat, Ishq, , Love
MEER TAHIR ALI RIZVI
maut māñgī thī ḳhudā.ī to nahīñ māñgī thī
le duā kar chuke ab tark-e-duā karte haiñ

Dua, Maut
YAGANA CHANGEZI
‘mīr’ amdan bhī koī martā hai
jaan hai to jahān hai pyāre

Zindagi,
MIR TAQI MIR
mire ḳhudā mujhe itnā to mo’tabar kar de
maiñ jis makān meñ rahtā huuñ us ko ghar kar de

Ghar
IFTIKHAR ARIF

muflisī sab bahār khotī hai
mard kā e’tibār khotī hai

, Muflisi
WALI MOHAMMAD WALI

na chheḌ ai nik.hat-e-baad-e-bahārī raah lag apnī
tujhe aTkheliyāñ sūjhī haiñ ham be-zaar baiThe haiñ

, Filmi
INSHA ALLAH KHAN ‘INSHA’

na gor-e-sikandar na hai qabr-e-daarā
miTe nāmiyoñ ke nishāñ kaise kaise

, Filmi, Maut
HAIDAR ALI AATISH

na jaanā ki duniyā se jaatā hai koī
bahut der kī mehrbāñ aate aate

DAGH DEHLVI

na satā.ish kī tamannā na sile kī parvā
gar nahīñ haiñ mire ash.ār meñ ma.anī na sahī

MIRZA GHALIB

na to kuchh fikr meñ hāsil hai na tadbīr meñ hai
vahī hotā hai jo insān kī taqdīr meñ hai

Qismat, , Filmi

HAIRAT ALLAHABADI
nāzuk-kalāmiyāñ mirī toḌeñ adū kā dil
maiñ vo balā huuñ shīshe se patthar ko toḌ duuñ

, Filmi
SHEIKH IBRAHIM ZAUQ
nahīñ hai nā-umiid ‘iqbāl’ apnī kisht-e-vīrāñ se
zarā nam ho to ye miTTī bahut zarḳhez hai saaqī

, Motivational
ALLAMA IQBAL

nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin
bahut be-aabrū ho kar tire kūche se ham nikle

, Ruswai

MIRZA GHALIB

pattā pattā buuTā buuTā haal hamārā jaane hai
jaane na jaane gul hī na jaane baaġh to saarā jaane hai

, Filmi

MIR TAQI MIR

qais jañgal meñ akelā hai mujhe jaane do
ḳhuub guzregī jo mil baiTheñge dīvāne do

, Filmi
MIYAN DAD KHAN SAYYAH

raah-e-duur-e-ishq meñ rotā hai kyā
aage aage dekhiye hotā hai kyā

, Filmi
MIR TAQI MIR

sadā aish daurāñ dikhātā nahīñ
gayā vaqt phir haath aatā nahīñ

Waqt,
MEER HASAN
sair kar duniyā kī ġhāfil zindagānī phir kahāñ
zindagī gar kuchh rahī to ye javānī phir kahāñ

Jawani, Zindagi, , Filmi
KHWAJA MEER ‘DARD’
saare jahāñ se achchhā hindostāñ hamārā
ham bulbuleñ haiñ is kī ye gulsitāñ hamārā

, Filmi, Deshbhakti
ALLAMA IQBAL
sar-e-mizhgāñ ye naale ab bhī aañsū ko taraste haiñ
ye sach hai jo garajte haiñ vo bādal kam baraste haiñ

SHAH NASEER
sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meñ hai
dekhnā hai zor kitnā baazu-e-qātil meñ hai

Hausla, , Filmi, Deshbhakti
BISMIL AZIMABADI

shab ko mai ḳhuub sī pī sub.h ko tauba kar lī
riñd ke riñd rahe haath se jannat na ga.ī

Sharab, Tauba, Maikashi,
JALEEL MANIKPURI
shabān-e-hijrāñ darāz chuuñ zulf roz-e-vaslat chū umr kotāh
sakhī piyā ko jo maiñ na dekhūñ to kaise kāTūñ añdherī ratiyāñ

Hijr, , Tasawwuf, Judai
AMEER KHUSRAU

shahr meñ apne ye lailā ne munādī kar dī
koī patthar se na maare mire dīvāne ko

, Filmi
SHAIKH TURAB ALI QALANDAR KAKORVI
shah-zor apne zor meñ girtā hai misl-e-barq
vo tifl kyā giregā jo ghuTnoñ ke bal chale

Hausla, Filmi, Motivational
MIRZA AZEEM BEG ‘AZEEM’
shikva-e-aabla abhī se ‘mīr’
hai piyāre hanūz dillī duur

Shikwa, Aabla,
MIR TAQI MIR
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ

, Filmi, Motivational
ALLAMA IQBAL

siyah-baḳhtī meñ kab koī kisī kā saath detā hai
ki tārīkī meñ saayā bhī judā rahtā hai insāñ se

, Filmi, Muflisi
IMAM BAKHSH NASIKH
sun to sahī jahāñ meñ hai terā fasāna kyā
kahtī hai tujh ko ḳhalq-e-ḳhudā ġhā.ebāna kyā

HAIDAR ALI AATISH

surḳh-rū hotā hai insāñ Thokareñ khāne ke ba.ad
rañg laatī hai hinā patthar pe pis jaane ke ba.ad

, Filmi
SYED GULAM MOHAMMAD MAST KALKATTVI
tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jā.iyo
dāman nichoḌ deñ to farishte vazū kareñ

, Tasawwuf

KHWAJA MEER ‘DARD’

tum mire paas hote ho goyā
jab koī dūsrā nahīñ hotā

Tasawwur,

MOMIN KHAN MOMIN

tumheñ ġhairoñ se kab fursat ham apne ġham se kam ḳhālī
chalo bas ho chukā milnā na tum ḳhālī na ham ḳhālī

Filmi
JAFAR ALI HASRAT
ulTī ho ga.iiñ sab tadbīreñ kuchh na davā ne kaam kiyā
dekhā is bīmāri-e-dil ne āḳhir kaam tamām kiyā

, Filmi

MIR TAQI MIR

umr to saarī kaTī ishq-e-butāñ meñ ‘momin’
āḳhirī vaqt meñ kyā ḳhaak musalmāñ hoñge

MOMIN KHAN MOMIN

umr-e-darāz maañg ke laa.ī thī chaar din
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ

Zindagi, , Filmi

SEEMAB AKBARABADI

This sher is in the the name of Bahadur Shah Zafar but its actually written by Seemab Akbarabadi. Seemab read the complete ghazal in a mushaira at Aligarh in 1919.
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche

Mohabbat, , Filmi
JIGAR MORADABADI

vaqt do mujh par kaThin guzre haiñ saarī umr meñ
ik tire aane se pahle ik tire jaane ke ba.ad

MUZTAR KHAIRABADI
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī yaanī va.ada nibāh kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

, Wada, Yaad, Filmi

MOMIN KHAN MOMIN

yahāñ libās kī qīmat hai aadmī kī nahīñ
mujhe gilās baḌe de sharāb kam kar de

BASHIR BADR

ye ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh liije
ik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai

Ishq, , Filmi
JIGAR MORADABADI

ye jabr bhī dekhā hai tārīḳh kī nazroñ ne
lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī

Hadsa, , Filmi, Jabr
MUZAFFAR RAZMI

zamāna baḌe shauq se sun rahā thā
hamīñ so ga.e dāstāñ kahte kahte

, Maut
SAQIB LAKHNAVI
ze-haal-e-miskīñ makun taġhāful durā.e naināñ banā.e batiyāñ
ki taab-e-hijrāñ nadāram ai jaañ na lehū kaahe lagā.e chhatiyāñ

, Filmi, Tasawwuf
AMEER KHUSRAU

zindagī zinda-dilī kā hai naam
murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ

آگاہ اپنی موت سے کوئی بشر نہیں
سامان سو برس کا ہے پل کی خبر نہیں

مشہور اشعار

آہوں سے سوز عشق مٹایا نہ جائے گا
پھونکوں سے یہ چراغ بجھایا نہ جائے گا
امیر مینائی
آخر گل اپنی صرف در مے کدہ ہوئی
پہنچی وہیں پہ خاک جہاں کا خمیر تھا

شراب, مشہور اشعار
جہاندار شاہ جہاندارؔ
اب تو جاتے ہیں بت کدے سے میرؔ
پھر ملیں گے اگر خدا لایا

الوداع, مشہور اشعار, فلمی اشعار
میر تقی میر غزل دیکھیے
بہت پہلے سے ان قدموں کی آہٹ جان لیتے ہیں
تجھے اے زندگی ہم دور سے پہچان لیتے ہیں

مشہور اشعار, آہٹ, فلمی اشعار
فراق گورکھپوری غزل دیکھیے
بندش الفاظ جڑنے سے نگوں کے کم نہیں
شاعری بھی کام ہے آتشؔ مرصع ساز کا

شعر, مشہور اشعار
حیدر علی آتش
بھانپ ہی لیں گے اشارہ سر محفل جو کیا
تاڑنے والے قیامت کی نظر رکھتے ہیں

مشہور اشعار, فلمی اشعار
مادھو رام جوہر غزل دیکھیے
غزل اس نے چھیڑی مجھے ساز دینا
ذرا عمر رفتہ کو آواز دینا

وقت, زندگی, مشہور اشعار, فلمی اشعار
صفی لکھنوی
ہزاروں سال نرگس اپنی بے نوری پہ روتی ہے
بڑی مشکل سے ہوتا ہے چمن میں دیدہ ور پیدا

مشہور اشعار, فلمی اشعار, خراج
علامہ اقبال
جہاں رہے گا وہیں روشنی لٹائے گا
کسی چراغ کا اپنا مکاں نہیں ہوتا

چراغ, مشہور اشعار, ترغیبی
وسیم بریلوی غزل دیکھیے
خود اپنی مستی ہے جس نے مچائی ہے ہلچل
نشہ شراب میں ہوتا تو ناچتی بوتل

شراب, مشہور اشعار, فلمی اشعار
عارف جلالی
کی مرے قتل کے بعد اس نے جفا سے توبہ
ہائے اس زود پشیماں کا پشیماں ہونا

جفا, مشہور اشعار, فلمی اشعار, قاتل
ترجمہ مرزا غالب غزل دیکھیے
کچھ تو مجبوریاں رہی ہوں گی
یوں کوئی بے وفا نہیں ہوتا

مجبوری, مشہور اشعار, بے وفائی
ترجمہ بشیر بدر
کیا روز بد میں ساتھ رہے کوئی ہم نشیں
پتے بھی بھاگتے ہیں خزاں میں شجر سے دور

مشہور اشعار, فلمی اشعار, خزاں
امام بخش ناسخ
لگے منہ بھی چڑھانے دیتے دیتے گالیاں صاحب
زباں بگڑی تو بگڑی تھی خبر لیجے دہن بگڑا

مشہور اشعار
حیدر علی آتش غزل دیکھیے
میں اکیلا ہی چلا تھا جانب منزل مگر
لوگ ساتھ آتے گئے اور کارواں بنتا گیا

منزل, مشورہ, مشہور اشعار, سفر, فلمی اشعار, ترغیبی
مجروح سلطانپوری غزل دیکھیے
مکتب عشق کا دستور نرالا دیکھا
اس کو چھٹی نہ ملی جس کو سبق یاد ہوا

محبت, عشق, مشہور اشعار, لَو
میر طاہر علی رضوی
راہ دور عشق میں روتا ہے کیا
آگے آگے دیکھیے ہوتا ہے کیا

مشہور اشعار, فلمی اشعار
میر تقی میر غزل دیکھیے
سارے جہاں سے اچھا ہندوستاں ہمارا
ہم بلبلیں ہیں اس کی یہ گلستاں ہمارا

مشہور اشعار, فلمی اشعار, وطن پرستی
علامہ اقبال
شکوۂ آبلہ ابھی سے میرؔ
ہے پیارے ہنوز دلی دور

شکوہ, آبلہ, مشہور اشعار
میر تقی میر
سن تو سہی جہاں میں ہے تیرا فسانہ کیا
کہتی ہے تجھ کو خلق خدا غائبانہ کیا

مشہور اشعار
حیدر علی آتش غزل دیکھیے
سرخ رو ہوتا ہے انساں ٹھوکریں کھانے کے بعد
رنگ لاتی ہے حنا پتھر پہ پس جانے کے بعد

مشہور اشعار, فلمی اشعار
سید محمد مست کلکتوی
تم مرے پاس ہوتے ہو گویا
جب کوئی دوسرا نہیں ہوتا

تصور, مشہور اشعار
ترجمہ مومن خاں مومن غزل دیکھیے
الٹی ہو گئیں سب تدبیریں کچھ نہ دوا نے کام کیا
دیکھا اس بیماری دل نے آخر کام تمام کیا

مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ میر تقی میر غزل دیکھیے
وقت دو مجھ پر کٹھن گزرے ہیں ساری عمر میں
اک ترے آنے سے پہلے اک ترے جانے کے بعد

مشہور اشعار
مضطر خیرآبادی
بہت جی خوش ہوا حالیؔ سے مل کر
ابھی کچھ لوگ باقی ہیں جہاں میں

مشہور اشعار
الطاف حسین حالی غزل دیکھیے
بجا کہے جسے عالم اسے بجا سمجھو
زبان خلق کو نقارۂ خدا سمجھو

مشہور اشعار
شیخ ابراہیم ذوقؔ غزل دیکھیے
چمن میں اختلاط رنگ و بو سے بات بنتی ہے
ہم ہی ہم ہیں تو کیا ہم ہیں تم ہی تم ہو تو کیا تم ہو

فلمی اشعار
سرشار سیلانی
چوں شمع سوزاں چوں ذرہ حیراں ز مہر آں مہ بگشتم آخر
نہ نیند نیناں نہ انگ چیناں نہ آپ آوے نہ بھیجے پتیاں

خط, نیند, ہجر, مشہور اشعار, جدائی
امیر خسرو غزل دیکھیے
گرمیٔ حسرت ناکام سے جل جاتے ہیں
ہم چراغوں کی طرح شام سے جل جاتے ہیں

مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ قتیل شفائی غزل دیکھیے
ہے جستجو کہ خوب سے ہے خوب تر کہاں
اب ٹھہرتی ہے دیکھیے جا کر نظر کہاں

مشہور اشعار, جستجو
الطاف حسین حالی غزل دیکھیے
ہم جس پہ مر رہے ہیں وہ ہے بات ہی کچھ اور
عالم میں تجھ سے لاکھ سہی تو مگر کہاں

مشہور اشعار
الطاف حسین حالی
ہم کو مٹا سکے یہ زمانہ میں دم نہیں
ہم سے زمانہ خود ہے زمانے سے ہم نہیں

حوصلہ, مشہور اشعار, فلمی اشعار, ترغیبی
جگرؔ مرادآبادی غزل دیکھیے
خبر سن کر مرے مرنے کی وہ بولے رقیبوں سے
خدا بخشے بہت سی خوبیاں تھیں مرنے والے میں

مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ داغؔ دہلوی
لگا رہا ہوں مضامین نو کے پھر انبار
خبر کرو مرے خرمن کے خوشہ چینوں کو

مشہور اشعار
میر انیس غزل دیکھیے
موت مانگی تھی خدائی تو نہیں مانگی تھی
لے دعا کر چکے اب ترک دعا کرتے ہیں

دعا, موت
یگانہ چنگیزی
نہ چھیڑ اے نکہت باد بہاری راہ لگ اپنی
تجھے اٹکھیلیاں سوجھی ہیں ہم بے زار بیٹھے ہیں

مشہور اشعار, فلمی اشعار
انشاءؔ اللہ خاں غزل دیکھیے
نازک کلامیاں مری توڑیں عدو کا دل
میں وہ بلا ہوں شیشے سے پتھر کو توڑ دوں

مشہور اشعار, فلمی اشعار
شیخ ابراہیم ذوقؔ
قیس جنگل میں اکیلا ہے مجھے جانے دو
خوب گزرے گی جو مل بیٹھیں گے دیوانے دو

مشہور اشعار, فلمی اشعار
میاں داد خاں سیاح غزل دیکھیے
سدا عیش دوراں دکھاتا نہیں
گیا وقت پھر ہاتھ آتا نہیں

وقت, مشہور اشعار
میر حسن
سیر کر دنیا کی غافل زندگانی پھر کہاں
زندگی گر کچھ رہی تو یہ جوانی پھر کہاں

جوانی, زندگی, مشہور اشعار, فلمی اشعار
خواجہ میر دردؔ
سر مژگاں یہ نالے اب بھی آنسو کو ترستے ہیں
یہ سچ ہے جو گرجتے ہیں وہ بادل کم برستے ہیں

مشہور اشعار
شاہ نصیر
شبان ہجراں دراز چوں زلف روز وصلت چو عمر کوتاہ
سکھی پیا کو جو میں نہ دیکھوں تو کیسے کاٹوں اندھیری رتیاں

ہجر, مشہور اشعار, تصوف, جدائی
امیر خسرو غزل دیکھیے
شہر میں اپنے یہ لیلیٰ نے منادی کر دی
کوئی پتھر سے نہ مارے مرے دیوانے کو

مشہور اشعار, فلمی اشعار
شیخ تراب علی قلندر کاکوروی
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں

مشہور اشعار, فلمی اشعار, ترغیبی
علامہ اقبال غزل دیکھیے
تر دامنی پہ شیخ ہماری نہ جائیو
دامن نچوڑ دیں تو فرشتے وضو کریں

مشہور اشعار, تصوف
ترجمہ خواجہ میر دردؔ غزل دیکھیے
عمر دراز مانگ کے لائی تھی چار دن
دو آرزو میں کٹ گئے دو انتظار میں

زندگی, مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ سیماب اکبرآبادی غزل دیکھیے
This sher is famous in the the name of Bahadur Shah Zafar but its actually written by Seemab Akbarabadi. Seemab read the complete ghazal in a mushaira at Aligarh in 1919.
وہ جو ہم میں تم میں قرار تھا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو
وہی یعنی وعدہ نباہ کا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

مشہور اشعار, وعدہ, یاد, فلمی اشعار
ترجمہ مومن خاں مومن غزل دیکھیے
زحال مسکیں مکن تغافل دوراے نیناں بنائے بتیاں
کہ تاب ہجراں ندارم اے جاں نہ لیہو کاہے لگائے چھتیاں

مشہور اشعار, فلمی اشعار, تصوف
امیر خسرو غزل دیکھیے
زندگی زندہ دلی کا ہے نام
مردہ دل خاک جیا کرتے ہیں

زندگی, مشہور اشعار, فلمی اشعار
امام بخش ناسخ غزل دیکھیے
آئینہ کیوں نہ دوں کہ تماشا کہیں جسے
ایسا کہاں سے لاؤں کہ تجھ سا کہیں جسے

مشہور اشعار, آئینہ
مرزا غالب غزل دیکھیے
آتے آتے آئے گا ان کو خیال
جاتے جاتے بے خیالی جائے گی

یاد
جلیلؔ مانک پوری غزل دیکھیے
اگر بخشے زہے قسمت نہ بخشے تو شکایت کیا
سر تسلیم خم ہے جو مزاج یار میں آئے

مشہور اشعار
نواب علی اصغر
اے صنم وصل کی تدبیروں سے کیا ہوتا ہے
وہی ہوتا ہے جو منظور خدا ہوتا ہے

مشہور اشعار, فلمی اشعار
مرزارضا برق ؔ غزل دیکھیے
اے ذوقؔ دیکھ دختر رز کو نہ منہ لگا
چھٹتی نہیں ہے منہ سے یہ کافر لگی ہوئی

شراب, مے کشی, مشہور اشعار
شیخ ابراہیم ذوقؔ
انیسؔ دم کا بھروسا نہیں ٹھہر جاؤ
چراغ لے کے کہاں سامنے ہوا کے چلے

مشہور اشعار, موت
میر انیس
باغباں نے آگ دی جب آشیانے کو مرے
جن پہ تکیہ تھا وہی پتے ہوا دینے لگے

مشہور اشعار, فریب
ثاقب لکھنوی غزل دیکھیے
بیٹھ جاتا ہوں جہاں چھاؤں گھنی ہوتی ہے
ہائے کیا چیز غریب الوطنی ہوتی ہے

مشہور اشعار
حفیظ جونپوری غزل دیکھیے
بے خودی بے سبب نہیں غالبؔ
کچھ تو ہے، جس کی پردہ داری ہے

بے خودی, مشہور اشعار
مرزا غالب غزل دیکھیے
چل ساتھ کہ حسرت دل مرحوم سے نکلے
عاشق کا جنازہ ہے ذرا دھوم سے نکلے

عاشق, مشہور اشعار
مرزا محمد علی فدوی
دل کے پھپھولے جل اٹھے سینے کے داغ سے
اس گھر کو آگ لگ گئی گھر کے چراغ سے

چراغ, مشہور اشعار, فلمی اشعار, دل
ترجمہ مہتاب رائے تاباں
دلوں کو فکر دوعالم سے کر دیا آزاد
ترے جنوں کا خدا سلسلہ دراز کرے
حسرتؔ موہانی غزل دیکھیے
فرشتے سے بڑھ کر ہے انسان بننا
مگر اس میں لگتی ہے محنت زیادہ

مشہور اشعار, انسان
الطاف حسین حالی
حضرت داغ جہاں بیٹھ گئے بیٹھ گئے
اور ہوں گے تری محفل سے ابھرنے والے

مشہور اشعار
داغؔ دہلوی
اک لفظ محبت کا ادنیٰ یہ فسانا ہے
سمٹے تو دل عاشق پھیلے تو زمانہ ہے

محبت, عشق, مشہور اشعار, فلمی اشعار, لَو
جگرؔ مرادآبادی غزل دیکھیے
خنجر چلے کسی پہ تڑپتے ہیں ہم امیرؔ
سارے جہاں کا درد ہمارے جگر میں ہے

مشہور اشعار, یکجہتی
امیر مینائی
خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے بتا تیری رضا کیا ہے

خودی, مشہور اشعار, فلمی اشعار, ترغیبی
علامہ اقبال غزل دیکھیے
کوئی ہاتھ بھی نہ ملائے گا جو گلے ملوگے تپاک سے
یہ نئے مزاج کا شہر ہے ذرا فاصلے سے ملا کرو

مشہور اشعار, فاصلہ
بشیر بدر غزل دیکھیے
نہ ستایش کی تمنا نہ صلے کی پروا
گر نہیں ہیں مرے اشعار میں معنی نہ سہی
ترجمہ مرزا غالب غزل دیکھیے
نہیں ہے ناامید اقبالؔ اپنی کشت ویراں سے
ذرا نم ہو تو یہ مٹی بہت زرخیز ہے ساقی

مشہور اشعار, ترغیبی
علامہ اقبال غزل دیکھیے
پتا پتا بوٹا بوٹا حال ہمارا جانے ہے
جانے نہ جانے گل ہی نہ جانے باغ تو سارا جانے ہے

مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ میر تقی میر غزل دیکھیے
شب کو مے خوب سی پی صبح کو توبہ کر لی
رند کے رند رہے ہاتھ سے جنت نہ گئی

شراب, توبہ, مے کشی, مشہور اشعار
جلیلؔ مانک پوری
تمہیں غیروں سے کب فرصت ہم اپنے غم سے کم خالی
چلو بس ہو چکا ملنا نہ تم خالی نہ ہم خالی

فلمی اشعار
جعفر علی حسرت
ان کا جو فرض ہے وہ اہل سیاست جانیں
میرا پیغام محبت ہے جہاں تک پہنچے

محبت, مشہور اشعار, فلمی اشعار
جگرؔ مرادآبادی غزل دیکھیے
یہ جبر بھی دیکھا ہے تاریخ کی نظروں نے
لمحوں نے خطا کی تھی صدیوں نے سزا پائی

حادثہ, مشہور اشعار, فلمی اشعار, جبر
مظفر رزمی غزل دیکھیے
عجیب لطف کچھ آپس کے چھیڑ چھاڑ میں ہے
کہاں ملاپ میں وہ بات جو بگاڑ میں ہے

مشہور اشعار
انشاءؔ اللہ خاں
فصل بہار آئی پیو صوفیو شراب
بس ہو چکی نماز مصلٰی اٹھائیے

شراب, مشہور اشعار
حیدر علی آتش غزل دیکھیے
گو ذرا سی بات پر برسوں کے یارانے گئے
لیکن اتنا تو ہوا کچھ لوگ پہچانے گئے

مشہور اشعار
خاطر غزنوی غزل دیکھیے
ہم کو معلوم ہے جنت کی حقیقت لیکن
دل کے خوش رکھنے کو غالبؔ یہ خیال اچھا ہے

مشہور اشعار, فلمی اشعار, جنت, طنز
مرزا غالب غزل دیکھیے
ہزاروں خواہشیں ایسی کہ ہر خواہش پہ دم نکلے
بہت نکلے مرے ارمان لیکن پھر بھی کم نکلے

حسرت, آرزو, تمنا, مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ مرزا غالب غزل دیکھیے
ہوئے نامور بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گئی آسماں کیسے کیسے

مشہور اشعار, فلمی اشعار, موت
امیر مینائی
عید کا دن ہے گلے آج تو مل لے ظالم
رسم دنیا بھی ہے موقع بھی ہے دستور بھی ہے

فلمی اشعار, عید
قمر بدایونی
عشق اک میرؔ بھاری پتھر ہے
کب یہ تجھ ناتواں سے اٹھتا ہے

محبت, عشق, مشہور اشعار, لَو
ترجمہ میر تقی میر غزل دیکھیے
عشق نے غالبؔ نکما کر دیا
ورنہ ہم بھی آدمی تھے کام کے

عشق, مشہور اشعار
ترجمہ مرزا غالب غزل دیکھیے
کہہ رہا ہے شور دریا سے سمندر کا سکوت
جس کا جتنا ظرف ہے اتنا ہی وہ خاموش ہے

مشہور اشعار
ترجمہ ناطقؔ لکھنوی
کھلتا کسی پہ کیوں مرے دل کا معاملہ
شعروں کے انتخاب نے رسوا کیا مجھے

شعر, مشہور اشعار
مرزا غالب غزل دیکھیے
کوئی کیوں کسی کا لبھائے دل کوئی کیا کسی سے لگائے دل
وہ جو بیچتے تھے دوائے دل وہ دکان اپنی بڑھا گئے

مشہور اشعار, مایوسی, فلمی اشعار
بہادر شاہ ظفر
لائے اس بت کو التجا کر کے
کفر ٹوٹا خدا خدا کر کے

مشہور اشعار, بت
پنڈت دیا شنکر نسیم لکھنوی
میرؔ عمداً بھی کوئی مرتا ہے
جان ہے تو جہان ہے پیارے

زندگی, مشہور اشعار
میر تقی میر
مرے خدا مجھے اتنا تو معتبر کر دے
میں جس مکان میں رہتا ہوں اس کو گھر کر دے

گھر
افتخار عارف غزل دیکھیے
مفلسی سب بہار کھوتی ہے
مرد کا اعتبار کھوتی ہے

مشہور اشعار, مفلسی
ولی محمد ولی غزل دیکھیے
نہ گور سکندر نہ ہے قبر دارا
مٹے نامیوں کے نشاں کیسے کیسے

مشہور اشعار, فلمی اشعار, موت
حیدر علی آتش غزل دیکھیے
نہ جانا کہ دنیا سے جاتا ہے کوئی
بہت دیر کی مہرباں آتے آتے

مشہور اشعار
داغؔ دہلوی غزل دیکھیے
نہ تو کچھ فکر میں حاصل ہے نہ تدبیر میں ہے
وہی ہوتا ہے جو انسان کی تقدیر میں ہے

قسمت, مشہور اشعار, فلمی اشعار
ترجمہ حیرت الہ آبادی
نکلنا خلد سے آدم کا سنتے آئے ہیں لیکن
بہت بے آبرو ہو کر ترے کوچے سے ہم نکلے

مشہور اشعار, رسوائی
ترجمہ مرزا غالب غزل دیکھیے
سرفروشی کی تمنا اب ہمارے دل میں ہے
دیکھنا ہے زور کتنا بازوئے قاتل میں ہے

حوصلہ, مشہور اشعار, فلمی اشعار, وطن پرستی
بسملؔ عظیم آبادی غزل دیکھیے
شہ زور اپنے زور میں گرتا ہے مثل برق
وہ طفل کیا گرے گا جو گھٹنوں کے بل چلے

حوصلہ, فلمی اشعار, ترغیبی
ؔمرزا عظیم بیگ عظیم
سیہ بختی میں کب کوئی کسی کا ساتھ دیتا ہے
کہ تاریکی میں سایہ بھی جدا رہتا ہے انساں سے

مشہور اشعار, فلمی اشعار, مفلسی
امام بخش ناسخ
عمر تو ساری کٹی عشق بتاں میں مومنؔ
آخری وقت میں کیا خاک مسلماں ہوں گے

مشہور اشعار
ترجمہ مومن خاں مومن غزل دیکھیے
زمانہ بڑے شوق سے سن رہا تھا
ہمیں سو گئے داستاں کہتے کہتے

مشہور اشعار, موت
ثاقب لکھنوی
یہاں لباس کی قیمت ہے آدمی کی نہیں
مجھے گلاس بڑے دے شراب کم کر دے

Romantic Shayari – Jissay Tum Zindagi Jaano

$
0
0

Jissay Tum Zindagi Jaano
Tumhain Woh Roog Kehta Ho

K Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Woh Apnay Dil K Darwazay Tumhain Par Band Kar Day

Tu Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsaar Karnay Ko

Jo Sang Baantay Logon Main
Sabah Ko Rooknay Ka Qafl Daalay Jo Dareechoon Main

Kar K Band Ghar K Darwazay
Saans Par Pehra Lagaye

Tu Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Yeh Kis Nay Keh Diya Tum Say

Mohabbat Mar Nahin Sakti
K Jab Koi Tumhain Jaan Say Ghuzar Jaanay Ko Kehta Ho

Aadhi Raah Main Khud Hi Mur Jaanay Ko Kehta Ho
Woh Apni Bay Wafai Ka Khud Hi Aetraaf Kar Lay Tu

Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai?..

==========================

Rehnewalon Se Nahi,
Jaanewalon Se Pucho

Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai.
Panewalon Se Nahi,

Khonewalon se Pucho
Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai.

Amiron Ko Kya Dekthe Ho,
Zara Garibon Se Pucho

Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai,
Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi,

Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho
Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Hai.

==========================

Romantic Shayari – Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko

$
0
0

Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko
Tamam Umar Samne Bithaaon Tumko

>Mere Zakhmon Ka Haal Poocho Ager Jaan-e-Jaan
To Ek Ek Zakhm Ki Tafseel Sunaaon Tumko

>Mout Ki Neend Se B Gehri Ek Neend Hoti Hai
Tere Baazuon Ka Ho Takya To Dikhaaon Tumko

>Yehi DUA Hai K Wo Waqt Aaye Ek Baar Phir
Tum Jo Rootho To Hath Jor Kr Manaaon Tumko

>Hr Shakhs Main Mujhe Ek Raqeeb Nazar Aata Hai
Bol Ae Mere ?HUM NAWA? Kis Kis Ki Nazar Se Bachaaon Tum ko.

==========================

Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye ,

TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye ,
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye ,

Tu Chambeli Hy? Nargis Hy K ! Raat Ki Rani ,
TujhKo Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye

==========================

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai

==========================

 

Judaii Shayari – Dunya Mujhi Se Mera Pata Poochti Rahi

$
0
0

Dunya Mujhi Se Mera Pata Poochti Rahi,
Mera Wajood Guum Tha Ksi Aur Zaat Mein…!
=============================

Shaam Hoti Hai Tou Jal Uthti Hai,
Hijr Ki Qabar Meri Aankhon Mein..!
=============================

Tujh Ko Kia iLm Tujhe Haarnay Waalay Kuch Log,
Kis Qadar Sakht Nidaamat Se Tujhe Dekhtay Hain..

=============================
Juda ho kar bhi dono jee rahay hain ek muddat se,
Kabhi dono hi kehte they ke aisa ho nahi sakta.
=============================

Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida,
Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum…

=============================
Mujhay Mojzon Par Yaqeen Tha.
Tu Bicher Gaya, So Nahi Raha..!!

=============================
Tere hijer main jo bi guzri hai,
Aye humnawa behaal hi guzri hai..

Viewing all 1232 articles
Browse latest View live