“Har Shakhs Hi Jaise Rukh-E-Batil Se Mila Ho,
“Ek Bhi Nahi Aisa Jo Humain Dil Se Mila Ho,
“Phir Raah Se, Rehbar Se, Musaft Se Gila Kya,
“Jab Hukam Palat Jane Ka Manzil Se Mila Ho,
“Andaaz-E Mulaqat Bhi Is Baar Juda Tha,
“Jaise K Unhain Waqt Bhi Mushkil Se Mila Ho!!
Main Chahta Hi Na Tha Use Lajawab Karna
Wrna Jawab Mere Paas Us K Har Swal Ka Tha
Uski Jeet Se Hoti Thi Khushi Mujhko
Yhi Jawaz Mere Pas Apni Haar Ka Tha
Ik mohabbat ka mashghala le ker
Zindagi khoob phir tabah ki hum ne…
Aesy bhi Mohabbat ki saza deti hai Duniya
Marr jayen to jeeny ki dua deti hai Duniya
Ye zakhm mohabbat ka hai ,Dikhana na kisi ko
La ker Sar-e-Bazar sajaa deti hai Duniya
Qismat pe karo naaz na itna b Faqeero
Hathon ki Laqeeron ko mitta deti hai Duniya
Marny k liye kerti hai Majboor to lekin
Jeeny k Tareeqy bhi Sikha deti hai Duniya
Aesy bhi mohabbat ki saza deti hai duniya ….
mana k hum hain ujrey howy shehar ki misaal..
tumhari aankhen bata rahi hain k viraan tum bhi ho
Parinda aakhir Ye Keh Gya Khushk Jheelon Say,
Mujhay Majbor Hijrat Pay Meray Halaat Kartay Hein…!!
Tumhara gham. Gham-e-dunya , uloom , aagahi
Kai azaab merey sath sath chaltey hain ….
Najanay kya kaha tha doobnay wale ne samadar se,
K lehrain aj tk sahil pe apna sir patakhti hain..
Meri aankhon se jo barasta hai ai hamnasheen
Woh qarz nahi teri yadon ka fasana kahti hai
Jab se huwa hoon main door tujhse mere qatil
Dunia mujhse teri haqiqat ka fasana kahti hai