Sabot hai ye mere dil ki dard mandi ka,
Howa tha ishiq jawani se peshtar muj ko.
Toot kar jab tak hawadas aashna hota nahin,
Aur kuch bhi ho to ho dil aina hota nahin.
Tere baghair guzarta nahin tha ik pal bhi,
Tere beghair magar zindagi guzari hai.
Phool khil jaen to uss shakhs se kam kam milna,
Aise mosam me muhabbat pe zawal aate hain.
Woh ashk ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai,
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai…
Iss trha doobe hain us ki yadon k samandar main
Ke dil ka dharakna b us k kadmon ki awaz lagti hai.
Ye zamane ki WAFAEN mere kaam ki nahi,
Mujhe teri WAFA chahiye kisi aam ki nahi,
Teri to ek muskurahat bhi anmol hai,
Ye tamam muskurahaten kisi kaam ki nahi,
Mujhe gham hai to tery chin jane ka hai,
Parwah mujh per lage ilzaam ki nahi,
Mere haath dekh kar najumi ye bola,
Bohat si chahaten tere liye hain baqi lekin…?
Tere haath mai koi bhi lakeer uske naam ki nahi….