Sadian hain guzari hi chali jati hain nazish,
Lamhe hain k ik umer se chup chap khare hain.
Shekasti dil ki kashti ho k ho tofan hawadas ka,
Humen har hall me gham ka ye darya paar karna hai.
Shaid khoshi ka dard bhi aa jae ae nadeem,
Gham bhi to mil gea hai tamana kie beghair.
Shaid ye us k gham me solagne ka hai asar,
Itna gadaz to meri tehreer me na tha.
Zamane bhar k gham ya ik tera gham,
Ye gham ho ga to kitne gham na hon ge.
Rehbar dil ki na pall bhar ko bhi sunsan hoi,
Qafle gham k guzarte hain aksar kia kia.
Zaiqa kho de gi har ik she tumhare waste,
Tajarbon se tum samandar ki tarah bhar jao ge.