Dil key werany mein kis yaad ka jhonka guzra..
Kis ney ye rait per phool mehkaye.!!
=======================
Daikh ker her dar-o-dewar ko hera’n hona!
Wo mera pehl-e-pehal dakhil-e-zinda’n hona…
=======================
Dost kertay hein malamat, gher kertay hein gila..
Kiya qayamat hai mujhe ko sab bora kehnay ko hein.!
=======================
Doob jana to koi baat nahi hai lekin!
Bais-e-sharam hi toofa’n sey haras’an hona..
=======================
Dar hai teray haseen tasawor ka khoo’n na ho..
Mein nakash-e-na tamam hun socha na ker mujhy.!!
=======================
Daikh ley sokhi tehni’yon ki taraf!
Poch mat intizar kiya shey hai!
=======================
Dono jaha’n teri muhabbat mein har key!
Wo ja raha hai koi shab-e-gham guzar key..
=======================