Shukar hai ‘ghausi’ key mujh jesa qalandar umer bhar..
Aik shehar-e-elm-o-hikmat ka numainda raha.!!
=======================
Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!!
Kis ki majal hai yaha’n hum sey nazar mila sakey..
=======================
Shama bujhti hai to mehfil mein dhuaa’n uthta hai.!!
Dil bhuja youn key zamaney ko khabar na hui…
=======================
Sholey mein hai ik rang tera.!
Baki hein tamam rang meray..
=======================
Shab-e-wisal ki be-khudi cha rahi hai!
Kaho to sitar’on ki sham’ein bhuja dun..!??
=======================
Shikayat to nahi karta hun lekin gharz itni hai..
Wo akhir kiya karey jo har tarha majboor ho jaye!!
=======================
Shidat-e-gham ko tabasum sey chupaney waley.!
Dil ka raaz nigah’on sey ayaa’n hota hai..
=======================