Chaar harf aarzu ki sharah kar daity hain hum. !
Jab wo kehtay hain sunao koi afsana humain. . !
=======================
Chali hai thaam k badal k hath, Khushbu. !
Hawa k sath safar ka muqabla thehra. . !
=======================
Chamakta hai shaheedo’n ka lahu fitrat k parday mein. . !
Shafaq ka husn kia hai phool ki rangee’n qaba kia hai. . !
=======================
Chori chori hum tum se aa kar mily thy jis jaga. . !
Muddat’ain guzree’n per ab tak wo thikana yaad hai. . !
=======================
Cheiz karwi hai, jigr dhoop se bachnay k liye. . !
Neem ka pairr bhi aangan mein laga laitay hain. . !
=======================
Chaak-e-parda se ye ghamzay hain to ae parda nasheen. . !
Ik mein kia sabhi chaak-e-gireba’n hon gay. . !
=======================
Chara sazo’n se mareez-e-ghum ko fursat mil gae. . !
Ho chukay mayoos, aasar-e-tabiyat dekh kar. . !
=======================