Chand lamho’n ka nahi ye umer bhar ka safar hai. . !
Raah ki partaal kar le, rahber ko dekh lay. . !
=======================
Chasm-e-dil khol is hi aalam per. . !
Yaa’n ki auqat khuwab ki si hai. . !
=======================
Chali hai jaan yaad-e-raftaga’n mein. . !
Musafir hai talash-e-karwa’n mein. . !
=======================
Churi ki dhaar se katti nahi charagh ki lou. . !
Badan ki maut se kirdaar mar nahi sakta. . !
=======================
Chashm-e-mushtaaq hua hai mera har zakhm-e-junoo’n. . !
Mosam-e-gul se kaho aaj idhar se guzray. . !
=======================
Chashm-e-tarr mein lahu ki koi boond nahi. . !
Jaan-e-man hum wuzu karain kaisay. . !
=======================
Chankay aangan mein nat koi kangna. . !
Hont per bansuri sadaa se hai. . !
=======================