Chaman walo khuda hafiz, qafas mein le chali gardish. . !
Watan mein gar andhera ho to mera ghar jala dena. . !
=======================
Charagh le kar irada tha bakht ko dhoondain. . !
Shab-e-firaaq thi koi charagh bhi na mila. . !
=======================
Chot yaado’n k waar karny lagi. . !
Jab paray be-nishaan parti hai. . !
=======================
Chalak na jaun kahin mein wajood se apny. . !
Hunar diya hai tou phir zarf-e-kibreyaai de. . !
=======================
Wafa jab maskehat ki shaal orhay tou
Sard rut ka roop dharay
Dil k aandan mein utarti hai
To palko’n per siotaro’n ki dhanak muskanay lagti hai
An dekhi si anjaani si khushbu aanay lagti hai
Kisi k sung beetay, an-ginat lamho’n ki zanjeerain
Achanak zehn mein jab gungunati hain
Nafs k taray mein sannata yak dam cheikh uthta hai
To youn mehsoos hota hai
hawain aa k sir-goshi si karti hain
Muhabbat ko tumhain idraak ab tou ho gaya ho ga
ye jo bhi zakhm deti hai kabhi seenay nahi deti
Muhabbat rooth jaye to. . !
KABHI JEENAY NAHI DETI. . !
=======================
Chamakna barq ka bara laazim para hai aab-e-baraa’n mein. .
Tasawwur chahiye ronay mein us k roe khandaa’n ka. . !
=======================