Ajab tilassm* hay tere wajood ka mujh per,
Toota mera har khuwaab magar yeh nahin toota..
(tilassm;magic,jadu)
=======================
Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,
Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri…
=======================
Be-laus mohabbat ke silslay ab hatam,
Jis tarah ki duniya ab usi tarah ke hum..
=======================
Mohabbat tera mera masla tha,
Zamana darmeyaan kyun ageya hai..
=======================
Mohabbat kese hoti hai, Mohabbat kis ko kehtey hain,
Tera majboor kar dena, mera majboor ho jaana..
=======================
Jalaal asaan nahin abaad ghar karna mohabbat ka,
Yeh un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain..
=======================
Abhi na chairr mohabbbat ke geet, mere yaar,
Abhi zindagi ka mahol saazgaar nahin..
=======================
Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai,
Ke jab dekhiye imtihaan aur bhi hain..
=======================