Sham humgama tha, khoshi’yan thi, haseen chehray thay..!
Kho gae mehfil-e-ehbab kahan raat-o-raat..
Sham kat gae ‘Akhtar’ aao apney ghar jaien..
Qaid muntazir ho gi, raat aney wali hai!
Shehar walo’n sey gila-mand nahi hun lekin..
Mein ney jis hath ko chuma wohi khanjar nikla.!
Mein zamaney key liye aik tana ban gaya hun
Tera jo dewana ban gaya hun
Mein ik acha bhala insaan hoa kerta tha
Aaj khod ik pagal-khana ban gaya hun
Shehar ka shehar hua jaan ka piyasa kesa..
Saans leta hai meray samney dariya kesa.!!
Shikast-e-dil per youn ansoo bahana chor do ‘Saqi’!
Diyar-e-sang mein shisey kabhi salam nahi hotey..
Mein ro’on bhi to meray roney sey kia ho paye ga
Isey to jana hai wo to chala jaye ga
Mein hun khak ka shehzada , wo asman’on ki pari
Hamara male kaha’n ho paye ga
Wo bhool janey ki hidayt to dey rahi hai ‘Gul’ per
Magar ye kambakht dil kaha’n bhol paye ga