Usey kaho ke hum us ke baghair jee lein ge,
Yeh gham agarchey zyada hai aadmi ke liye..
Teri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui,
Woh zindagi to mohabbat ki zindagi na huiii…
Gham is tarah raha hai musalsal khushi ke sath,
Saaya ho jis tarah se laga roshni ke saath..
Gham ki tashreeh* bohat mushkil thi,
Apni tasveer dikhaa di hum ne..
=========================
Gham-e-zindagi ko Adam sath le ker,
Kahan ja rahe ho, saweray saweray..
=========================
Sochta hoon bana hi daloon main,
Ek firqaa udaas logon ka..
Kartey hain meri haamiyon ka tazkraa is tarah,
Log apne amaal mein farishtaa hon jaisey..