Mujhy tum se nahi milna. .
Agar miltay milatay
yunhi hanstay hansaatay
Yunhi mantay manatay. .
Muhabbat Ho Gai TOu Phir?
==========================
Chaman tum, ibarat hai bahaar‘ain tum se zinda hain. . !
Tumharay samney phoolo’n se murjhaya nahi jata. . !
==========================
kitab-e-zeest k saray warq. .
Purzo’n ki surat ho chukay phir bhi
Wo pehla rung jo aankhon mein jaaga tha
Wo pehla naam jo acha mery honto ko laaga tha
Wo gao’n aur wo kachi si pakdandi
Wo pehli rut muhabbat ki
Wo ik anjaan sa sandesa teri shokh aankhon ka
Haya se wo mera palkain jhuka dena
Wo naa’n karty huay masoom sa iqraar kar dena
Wo haan kehty huay be-sakhta inkaar kar dena
Muhabbat k ye saray rung
Koi kab bhool sakta hai. . !
==========================
Itni kar muhabbat k wo khud kahain
Dekho wo mera aashiq aa raha hai. . !
Junoo’n ki raah mein sab kuch ganwa diya lekin. . !
Mery shaoor ki awargi nahi jaati. . !
Kuch zard si hai rangat kuch laaghari badan . .
Kia Ishq mein hua hai ae ‘Meer‘ haal apna. .