Aa bhi jao ab ke ankhen ho gayin bojhal meri,
Neend aa jaye gi, dar khulaa reh jaye ga..
=======================
Tamaam raat tere intezaar mein ae dost,
Mera yaqeen bhatakta raha, gumaan ki tarah..
Guzar hi jayen gi furqat ki yeh karri ratain,
Jo tu nahin, na sahi, tera intezaar to hai..
Mein intezaar ka qaayel na tha magar tu ne,
Lagaa diya mujhe deewaar se gharri ki tarah..
Baalon main apna saja liye apnay gajray tumharay naam kay,
Khud hi haya anay lagi saye barhay jab shaam kay ..
Bahaar ki badnaseeb raatain bhula rahi hain chalay ao bhi,
Kisi sitaaray ka dil ban kar , kisi kay dil ka karaar ban kar
Us waqt intizar ka aalam na puchiye,
Jab koi bar bar kahe, aa raha hoon mein..