Roshani le k bahot door khari hai dunia,
Muj se kehti hai tere pass to saea bhi nahin.
==========================
Zehan awara dil awara nazar awara,
Kaise iss hal ko pohncha na kisi ne pocha.
Zara qareeb se guzra to me ne pehchana,
Kisi k paon k neche kisi ka sar ho ga.
Zikar us ka hi sahi bazAM me bethe ho faraz,
Dard kaisa hi othe hath na dil pe rakhna.
==========================
Dhalte saeon me tere kochee se,
Koi guzra ha barha tanha.
Dunia hamare katal ko kehti hai khod koshi,
Marne k bad bhi humen ruswa kia gea.
Dil to mera udas hai nasir,
Sheher kion saen saen karta hai.
Dafan hon ehsas ki sadion purani qabar me,
Zindagi ik zagham hai aur zagham bhi taza nahin.
Khoshi chini hai to gham ka bhi ehtamad na kar,
Jo rooh gham se bhi okta gai to kia ho ga.
Khod namai to nahin shewa e arbab e wafa,
Jin ko jalna ho wo aram se jaal jate hain.