Roz kha letay hein hastey huay chehr’on sey fareb..
Kiya ker’ein apni nigah’on mein murawat hai bohat.!
=================
Chaley aao
Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man
Jholas jaye ga to hum ko
Ghari mein raakh ker dey ga
Chaley aao
Abhi umeed ki palk’on pey roshan deep hein jana’n!
Agar ye bhujh gaye to tergi shab khoon marey gi
Tumhara nam dharkan mein abhi tak raks kerta hai
Hawa’on ney tumhara lims jo
Tum sey churaya tha… hamarey pas laya tha
Abhi wo lims baki hai
Bohat be-chain kerta hai
Laho mein beyn kerta hai
Chaley aao
Abhi tak chand mein chehra tumhara muskurata hai
Abhi kushbo ka qasid dil pey dastak denay ata hai
Hasee’n pegham lata hai
Abhi tak sab wohi kuch hai
Wohi chaht bahri baat’ein
Wohi larna jagharna piyar mein aur roth jana bhi
Ghari bhar mein, bohal jana aur akhir maan jan bhi
Tumh’ein wo phone ker key kehna jald aa jao
Ye dil tum bin nahi lagta
Tumhara jald ana aur wo sub kuch
Muhabbat aur sharart sey bharey lamhey
Abhi tak sub wohi kuch hai
Chaley aao..
Kahin hum gum na ho jain
=================
Rut’on key sath kabhi bhi maslihat na rahi!
Ana parast thay hum aur be-samar thehary..
=================
Rakh ker nazar key samney khawab-e-naz.!
Pehr’on teray khayal mein doba raha hun mein..
=================
Raha jo umer bhar teri jawani ki dua kerta.!
Isi sey ker liya parda sanam tu ney jawa’n ho ker..
=================
Roz gir jati hai dewar teray waad’on ki!
Roz hum mout key saey mein raha kertay hein..
=================
Roh ki aab-o-hawa mein zehar phela is tarha..
Jism-o-jaa’n ki talkhi’yon ney khench li dil ki mithas.!!