Yeh Bahtaa Khoon-E-Insaan Kah Rahaa Hai, Ruko Shaitaanou
Kaheen Aisaa Na Ho, Taameer-E-Rab Khatrey Mein Parh Jaaye?
Mileygaa Kyaa Tumhain, Ae Qaatilo, In Beygunaahoun Kaa
Bahaa Kar Khoon, Ley Kar Jaan Khaatoonoun Ki, Bachchoun Ki?
Bataaou Koun Saa Mazhab Hai, Jis Mein Farz Ho Yeh Sab?
Zameen Hai Jannat-E-Insaan, Banaaou Mat Isey Dozakh
Zaraa Socho, Yeh Harkat Kaayaraanaa Kar Rahey Ho Kyoun?
Tumhain Uksaa Rahey Hain Jo, Wo Waarish Hain Yazeedoun Key
Khudaa Kee Rahmatoun Sey Door, Dozakh Mein Girogey Jaa
Musalmaan, Bouddh, Hindu, Sikh, Isaayee, Paarsee, Jainy
Sabhi Martey Hain, Jab Bhi Tum, Bharhak Kar, Forhtey Ho Bam
==================================
Aap Key Jigar-O-Dil ?Navneet?-Sey Mulaayam Hain
Zulm Kyaa Cheej Hai, Waisey To Jaantey Hain Sab
Aap Gahraayee Sey Mahsoos Kar Fafaktey Hain
Ham To Aansoo Bhi Bahaa Paatey Naheen Hain Utney
Ham Samajhtey They Wazeeroun Ko Sharm Aayegee
Un Kee Aouqaat Pai, Ab Ham Ko Sharm Aatee Hai
Woh To Rahtey Hain Fouziyoun Sey Ghirey Pahroun Mein
Aam Logoun Kaa Khoon Bahtaa Hai Baazaaroun Mein
Koyee Batlaaye Yeh Kaisee Namak-Halaalee Hai?
==================================
Dahar Guzarey Hain, Pai, Dour-E-Hayaat Zindaa Hai!
Tootati-Jurhati Rah-E-Zeest Bhi Paaindaa Hai!
Shab-E-Roshan Hai, Sitaarey Hain, Chaand Hai Sir Par!
Supurd-E-Khak Huyaa Bhi, Adeeb Zindaa Hai!!
==================================
Koyee Beygaanah Naheen Hai Yahaan, Wahaan Yaa Kaheen
Mein To Insaanee Khaandaan Kaa Hoon Ik Waarish
Koyee Shikwaa Naheen Hai; Mein Bhi Chook Jaataa Hoon
Galt Kartey Naa, To, Insaan Naheen, Khudaa Hotey
==================================
Jaan-E-Hukkaam-O-Sarbraah Qimti Hai Bahut
Aam Logoun Kaa Khoon Bah Rahaa Hai, Bahney Do?
Apnee Sarkaar Pai Jokhim Na Ho Paidaa Koyee:
Bas Itnaa Khyaal Rakho? Ra?itoun Ko, Kahney Do?
==================================
Beygunaahoun Kaa Khoon, Fir Bahaa Hai Bharat Mein
Fir Sey, Insaaniyat Cheekhee Hai, Marey Hain Bachchey
Dahshat-O-Qatl Rawaan Hain Fazaa-E-Duniyaa Mein
Dushman-E-Amn Yeh, Bandey Naheen Rub Key Sachchey
==================================
Sachchaayi Hai, Ki, Noor-E-Hoor Ab Bhi Hai Yahaan
Ik Nazar-E-Inaayat Idhar Kareyngey Mehrabaan?
Firdous Ki Hooreyn To Hain Hazaar Saal Keen
Hoor-E-Zameen Bees Hain Un Sey! Sahee Hai, Haan