Kia dekhta hai hath mera chorr de tabeeb. .
Yaan jaa’n hi badan mein nahi, nabz kia chalay. . !
=======================
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna
Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .
=======================
Kuch nishani to rahay mosam-e-gul ki ‘tashna’
Aik patta to hawa’on se bachaye rakhna. .
=======================
Kar raha tha ghum-e-jahan ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aye. .
=======================
Kehtay hain ik faraib musalsal hai zindagi
Is ko bhi wakf-e-hasrat-harmaa’n bana diya. .
=======================
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost . !
Tamaam raat sulagty hain dil k veeranay. .
=======================
Koi sota ho jaisay doobti kashti k takhtay per. .
Agar kuch hai to bus itni hi is duniya ki rahat hai. .
=======================