Kia nazar karain hum ke barhey zeenat mousam…
Aankhon ka lahu hai jo pasand aaye khafa ko..
=======================
Kia bhala mujh ko parakhnay ka natija nikla?
Zakham-e-dil aap ki nazr’on sy bhi gehra nikla
=======================
Kia karay meri masehai bhi karnay wala. .
Zakham hi ye mujhay lga hai nahi bharnay wala. !
=======================
Kis konpal ki aas mein ab tak waisy hi sirsabz ho tum?
Ab tou dhoop ka mosam hai barsaat guzar gai jana’n. .!
=======================
Kal jinhain choo nahi sakti thi farishto’n ki nazar
Aaj wo ronaq-e-bazar nazar aatay hain. . !
=======================
Karri hai jung k ab k muqablay pe ‘Faraz’
Ameer-e-sheher bhi hai aur khateeb-e-sheher bhi hai. . !
=======================
Kabhi ye fikr k din ko bhi munh dikhana hai. .
Kabhi ye ghum k phir aaye na aaye sham-e-firaaq. .
=======================