Mein Zamana Mein Badnaam Faqat Es Liya Hoon . . .
Mujhay Logon Ki Tarah Badal Jana Nahi Aata . . . !!
==========================
Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah
Juri thhe aik bundhan saiy tumhari rah humari rah
Na phoolon main na khushboo main na moasum main talatum thha
Ajab bay khoaf lagti thhe tumhari rah humari rah
Chalay jana sunatay geet humara dooor tak aksar
Humain mudhoosh rakhti thhe tumhari rah humari rah
Chamman main koch nehi badla siwae hum nasheenoN k
Wohi hain hum juda hay ab tumhari rah humari rah
Humari zeest k badmast lumhon main wo ik lumha
Bana de jis nay baimaqsad tumhari rah humari rah
Chalo inkaar kartay hain mohobat k asooloN saiy
Ore ab dooor saiy daikhain tumhari rah humari rah
Mujhay ab sath laikar tum chalo shaukat onn ruston pay
Jahan main daikh sakoon her dum tumhari rah humari rah
==========================
os ky hath main tooty hoy sheeshy ki trah hon
itna hi boht hy k wo bikharny nahi daita
==========================
Umer kitni hi manzalein teh kar chuki
Dil jahaan thehra tha , thehra reh gia
==========================
Main udas rasta hon tutey sapno ka,
Mujhe ahaton ki talash hay,
ye sitare hain sab bujhe bujhe,
muje jugnoo ki talash hay
her khushi hy mujh se khafa
mujhe zindagi ki talash hay
ek hojoom sa hy rawa dawan
mujhe doston ki talash hay
meri zindgi hay ek rasta
mujhe manzilon ki talash hay
na jane kia hay jo kho gaya hay
mujhe shyd apni hi talash hai……..
==========================